Hindi Shayari

Hindi Shayari - A large collection of Hindi Shayari. We and our regular valuable users regularly add their shayari into Hindi Shayari category as well as in other various shayari categories. So We have a best and huge collection of Hindi Shayari and other shayari messages from various shayari categories in various language.

  
Post Hindi Shayari
Name:
Email:
Category:
Shayari :

Enter the code below shown above

List of Hindi Shayari

Showing Hindi Shayari 1151 - 1160 of 3592, Page 116 of 360 pages.


Talaash uss ki hai jis ko kabhi dekha bhi nahi
Khayal uss ka hai dil main jisay socha bhi nahi.
Khuda say apnay liyae iltija main kya karta
Talab hai uss ki hai jis ko kabhi maanga bhi nahi.
Sakoot-e-dil main ye ehsaas-e-zindagi kya hai ?
Qareeb paata hoon uss ko jisay chaha bhi nahi.
Qasaas mujh se woh kis kay lahoo ka maangtay hain
Woh khoon hai mere haatoo pay jo baha bhi nahi.
ilaaj mujh se bhi mumkin nahi mohabbat ka
Woh zakhm hai mere seenay pay jo saha bhi nahi.

 0 People liked it
0 Ratings

Kithna bebas hai insaan kismat ke aage,
Har sapna toot jata hai hakikat ke aage,
Jisne kabhi duniya main jhukna nhi sikha,
Vo bhi jhukh jata hai pyar ke aage …

 0 People liked it
0 Ratings

Hum Bewafa Her Giz Na They , Par Hum Wafa Kar Na Sake,
Hum Ko Mili Us Ki Saza ,Hum Jo Khata Kar Na Sake,
Kitni Akeli Theen Wo Raheen Hum Jin Pe,Ab Tak Akele Chalte Rahe
Tuj Se Bechar Kay Bhi O Bekhabar, Tere Hi Gham Mae Jalte Rahe
Tu Ne Kia Jo Shikwa,Hum Wo Gila Kar Sa Sake,
Hum Bewafa Her Giz Na They,Par Hum Wafa Kar Na Sake,
Tum Ne Jo Dekha Suna, Sach Tha Magar,Kitna Tha Sach Ye Kis Ko Pata,
Jane Tumhain Mae Ne Koi Dhoka Dia ,Jane Tumhain Koi Dhoka Hua,
Iss Pyar Mae Sach Jhoth Ka, Hum Faisla Kar Na Sake,
Hum Bewafa Her Giz Na They, Par Hum Wafa Kar Na Sake

 0 People liked it
0 Ratings


Zakhm gahare nahi is dil ke,
Dard mein is kadar mithas na thi.
Ye unki hi meherbani hai varna,
Zindagi is kadar udas na thi.
Tu he mil jaye mujhe ye he kaafi hai,
Meri har saans ne ye hi dua maangi hai,
Jaany kyon Dil khincha jata hai Teri taraf,
Kya tu ne bhi mujhe paany ki DUA maangi hai !!!
Kaash Hume Bhi Koi Chahta
Koi Apni Palko Tale Hume Sulata,
Sirf Apni Zindgi Me Hum Hanste Rahenge
Kash Apni Yaado Se Koi Hame Rulata.

 0 People liked it
0 Ratings


Kabhi milte khushi se jhum uthte the,
Aaj dur tak kahi wo nazar nahi aate,
Kaise kahe ki wo hume bhul jayenge,
Wo to kabhi mere bin reh bhi nahi pate..

 0 People liked it
0 Ratings


Chahat kis kadar tuti hai,
Ki aahat bhi na hui hai..
Aab halat kya bataye,
Jab humhe khabar hi na hui hai..
Jo na socha tha kabhi,
anjaame-manjil vahi hui hai..
ahbaab samjha tha jise Kabhi,
mushkil ab usi ko hui hai..
na thi hume jo umeed,
Kabhi vahi aaj hakikat bani hui hai.
Tariff tho karte,
Pal bhar ke liye kabhi.
Ab itni bhi buri meri,
Shaskkiyat bhi naa hui hai..
Saffagoyi hai pasand hume,
Phir bhi uljhi q zindagi meri hui hai.
Yaa khuda bas itna bata de,
Jo naa mangi thi naa chahi thi

 0 People liked it
0 Ratings


Matlabi hai bahut yanha,
kisi aise say na dil lagana
jinke badle dil aise jaise ,
kisi mausam ka badal jaana,
Roj sunayenge phir woh,
koi aur naya bahana
nayi dastaan yeh nahi ,
Varso ka hai yehi fasaana..

 0 People liked it
0 Ratings


Teri talaash main niklay thay hum haath maltay huye
Rula diya aaj humain suraj ne dhaltay huye
Kisi ghata se kaho, Hum ko ab utha le jaaye
Ke Umer Beet gayee hum ko jaltay huye
Yahan to kuch bhi nahin hai siwaye kaanton ke
Kahan tak aagaye hum is raastay per chaltay huye
Sikha rahi hai zamanay ko zindagi ka chalan
Guzarti hai rail Deewane, Patrian badaltay huye

 0 People liked it
0 Ratings

Previous Page

Post Shayari

Next Page

Showing Hindi Shayari 1151 - 1160 of 3592, Page 116 of 360 pages.