Hindi Shayari

Hindi Shayari - A large collection of Hindi Shayari. We and our regular valuable users regularly add their shayari into Hindi Shayari category as well as in other various shayari categories. So We have a best and huge collection of Hindi Shayari and other shayari messages from various shayari categories in various language.

  
Post Hindi Shayari
Name:
Email:
Category:
Shayari :

Enter the code below shown above

List of Hindi Shayari

Showing Hindi Shayari 1201 - 1210 of 3592, Page 121 of 360 pages.


Nazar jub tum se milti hai main khud ko bhool jata hoon,
Bas ek dharkan dharakti hai, main khud ko bhool jata hon,
Tumhain milne se pehle main bohut sajta sanwarta hon,
Magar jub tum sanwarti ho main khud ko bhool jata hon,
Main aksar kitabon pe tera hi naam likhta hon,
Magar kuch tum jo likhti ho main khud ko bhool jata hon,
Main aksar yehi kehta hon, main tum say pyar karta hon,
Magar jub tum yeh kehti ho main duniya bhool jata hon..

 0 People liked it
0 Ratings


ek allar kudi na dil la baithe
iske de baze vich dil nu haar baithe,
bas ekko chahat c uhna nu paane d,
jinha nu asi hatho gavaa baithe,

 0 People liked it
0 Ratings


Jo Kuch Din Beet Gaye Mere Bagair
Toh Zindagi Bhi Beet Hi Jayegi.. ..
Abb Aapki Zindagi Me Koi Aur Aagaya Hai
Toh Aapke Dil Me Bhi Bass Hi Jayegi.. ..
Jo Dil Me Koi Aur Bass Jayega
Toh Naya Wadaa Nayi Qasmein Hongi .
Jo Naye Wade Nayi Qasmein Tum Khaoge
Toh Purane Wade Tum Bhool Hi Jaoge .
Toh Purani Yaadein Bhi Bhool Jaoge
Toh purana Pyaar Bhi Bhool jaoge .
Phir Agar Barsoun Ke Baad Saamna Hoga
Toh Dil Tumahar Kahega.
Shayed isse Kahin Dekha Hai..

 0 People liked it
0 Ratings

From Tum Bin Movie
Tum Bin Jiya Jaaye Kaise
Kaise Jiya Jaaye Tum Bin
Sadiyon Se Lambi Hain Raatein
Sadiyon Se Lambe Hue Din
Aa Jaao Lautkar Tum, Yeh Dil Keh Raha Hai…
Phir Shaam-E-Tanhaai Jaagi
Phir Yaad Tum Aa Rahe Ho
Phir Jaan Nikalne Lagi Hai
Phir Mujhko Tadpaa Rahe Ho
Phir Mujhko Tadpaa Rahe Ho
Is Dil Mein Yaadon Ke Mele Hain
Tum Bin Bahut Hum Akele Hain
Aa Jaao Lautkar Tum, Yeh Dil Keh Raha Hai…
Kya Kya Na Socha Tha Maine
Kya Kya Na Sapne Sajaaye
Kya Kya Na Chaaha Tha Dil Ne
Kya Kya Na Armaan Jagaaye
Kya Kya Na Armaan Jagaaye
Is Dil Se Toofaan Guzarte Hai
Tum Bin To Jeete Na Marte Hai
Aa Jaao Lautkar Tum, Yeh Dil Keh Raha Hai…
Tum Bin Jiya Jaaye Kaise
Kaise Jiya Jaaye Tum Bin
Sadiyon Se Lambi Hain Raatein
Sadiyon Se Lambe Hue Din
Aa Jaao Lautkar Tum, Yeh Dil Keh Raha Hai…

 0 People liked it
0 Ratings


Mjhe mohhabat hai tumse..
Yeh baat kab tak raaz rakkhu mai.
Tum aaj bhi be khabar ho is baat se.
Ki dur kahi koi tadap raha hai tumhare pyar mai..
Ab toh aajao tum mere pass mai.
Kahi der na hojaye tere intezar mai..

 0 People liked it
0 Ratings


Meray khuwabon k gulshan main,
Khizaen raqs karti hen,
mere honton ki larzish main,
wafaen raqs karti hen.
mujhy wo laakh tarpaey,
magar us shkhs ki khatir,
mere Dil k andheron main,
Duaen raqs karti hen..
usy kehna k lot aaey,
sulagti shaam se pehly,
kisi ki khushk aankhon main,
sadaen raqs karti hen.
Khuda jaany kesi kashish he, teri yadon main.???
main tera zikir sheron to,
Hawaen raqs karti hen.!!!!

 0 People liked it
0 Ratings


Rehte hai dilbar teri ankhon me
Ankhon ko ashiyana banaye rakha hai
Har gam jisse ho tujhe takleef jara si bhi
Un gamo ko humne apnaye rakha hai
`
Kabhi teri nazro se jo ho jate hai ru-baru
Har sitam wo nazrana banaye rakha hai
Wo manzar jo manzar nahi par manzar hai
Sahil se dor unka thikana banaye rakha hai
`
Kabhi rote hai kabhi has ke kam chalate hai
Har shams teri yaade seene se lagate hai
Wo murkar dekhte hai mujhe kuch is tarah
Ke har manjar tujhe hi gale lagate hai.

 0 People liked it
0 Ratings


Mana teri nazar mein tera pyaar hum nahi,
kaise kahen ki tere talabgaar hum nahi,
Khud ko jala ke khak kar dala, mita diya,
lo ab tumhari raah mein dewaar hum nahi,
Jis ko sanwara humne tamannaon ke khoon se,
gulshan mein us bahar ke haqdaar hum nahi,
Dhokha diya hai khud ko muhobbat ke naam se,
kaise kahen ki tere gunahgaar hum nahi

 0 People liked it
0 Ratings

Previous Page

Post Shayari

Next Page

Showing Hindi Shayari 1201 - 1210 of 3592, Page 121 of 360 pages.