Hindi Shayari

Hindi Shayari - A large collection of Hindi Shayari. We and our regular valuable users regularly add their shayari into Hindi Shayari category as well as in other various shayari categories. So We have a best and huge collection of Hindi Shayari and other shayari messages from various shayari categories in various language.

  
Post Hindi Shayari
Name:
Email:
Category:
Shayari :

Enter the code below shown above

List of Hindi Shayari

Showing Hindi Shayari 1271 - 1280 of 3592, Page 128 of 360 pages.


Maine Kaha Wo Ajnabi Hai
Dil Ne Kaha Ye Dil Ki Lagi Hai
Main Ne Kaha Wo Sapna Hai
Dil Ne Kaha Phir Bhi Apna Hai
Mene Kaha Wo Do Pal Ki Mulaqat Hai
Dil Ne Kaha Ye Sadyun Ka Sath Hai
Mene Kaha Wo Meri Haar Hai
Dil Ne Kaha Yahi To Pyar Hai!!.

 0 People liked it
0 Ratings


Har ek dhadkan ki pukaar ban gaye ho tum,
har ek saans ki agaaj ban gaye ho tum.
Are tumse kya batayein k kitna chahte hain ham tumhe,
Banjar dharti ki pyaas ban gaye ho tum..

 0 People liked it
0 Ratings


Jab pyaar nahi karna tou bhulaa kyon nahin detey,


Jab pyaar nahi karna tou bhulaa kyon nahin detey,
Khat kiss liye rakhey hain jalaa kyon nahi detey,
Kiss vastey likhaa hai hatheli pay meraa naam,
Main harf gallat hun tou mitaa kyon nahin detey,
Lilaah shabb – o – roz kee uljhan say nikalo,
Tum merey nahin ho tou bataa kyon nahin detey,
Reh reh kay na tadphao ae bedard maseeha,
Hathon say mujhay zehar pilaa kyon nahi detey,
Jab is kee wafaon pay yakeen tum ko nahin hai,
Hasrat ko nighahon say giraa kyon nahin detey,

 0 People liked it
0 Ratings


Aaj ke Daur mein aye Dost ye manzar kyuun hai
Zakhm Har Sar pe har ek Haath mein Patthar kyuun hai
Jab Haqiiqat hai ke Har Zar’re mein tuu Rahataa hai
Phir zameen par kahin Masjid kahin Mandir kyuun hai
Apanaa Anjaam to Maaluum hai sab ko phir bhi
Apani Nazaron mein har Insaan Sikandar kyuun hai
Zindagii jeene ke Qhaabil hi nahin ab “Faakir”
Warnaa har Aankh mein Ashkon ka samandar kyuun hai

 0 People liked it
0 Ratings


Begair mere tujhe chain aa nahin sakta,
Meraa javaab kahin say tuu laa nahin sakta,
Hazaar pardy bhii daalo agar banaavat kay,
Dilon kii baat ko chehraa chhupaa nahin sakta,
Banaa diyaa hai zamaanay nay dil ko patthar kaa,
Sataaye koyi bhii mujh ko rulaa nahin sakta,
Hasiin taaj mahal kay banaanay vaalaa bhii,
Dilon kay tuutay gharaunday banaa nahin sakta,

 0 People liked it
0 Ratings


A Girl n a Boy loved very much but suddenly girl dead.
After sometime girl her voice came from the sky ” Ek Wada Tha Har Wade Ke Peeche. Tu Milega Mujhe Har Gali Har Darwaze Ke Peeche. Tujhe Pyar Bahut Kiya Tha Par Tu Hi Nahi Tha Mere Janaze Ke Peeche”
Suddenly Voice Of The Boy Came ” Ek Wada Tha Har Wade Ke Peeche, Main Miluga Tujhe Har Gali Har Darwaze Ke Peeche, Tune Hi Mud Kar Nahi Dekha Ek Aur Janaza Tha, tere Janaze Ke Peeche”

 0 People liked it
0 Ratings


Kaanto ke Badle Phool Kya doge..?
Aaanshu ke Badle Khushi kya dooge..?
Hum chahte hain aapde umar bhar Dosti..
Hamare iss Sawal la Jawab kya Doge.?

 0 People liked it
0 Ratings


Koi hasaae to has lete hai,
Dil mein dard ho to ro lete hai,
Neend waise bhi kam aati hai,
Par sapno mein tum aaogi,
Yeh soch ke so lete hai..

 0 People liked it
0 Ratings

Previous Page

Post Shayari

Next Page

Showing Hindi Shayari 1271 - 1280 of 3592, Page 128 of 360 pages.