Hindi Shayari

Hindi Shayari - A large collection of Hindi Shayari. We and our regular valuable users regularly add their shayari into Hindi Shayari category as well as in other various shayari categories. So We have a best and huge collection of Hindi Shayari and other shayari messages from various shayari categories in various language.

  
Post Hindi Shayari
Name:
Email:
Category:
Shayari :

Enter the code below shown above

List of Hindi Shayari

Showing Hindi Shayari 1331 - 1340 of 3592, Page 134 of 360 pages.


Woh na aaye unki yaad wafaan kar gayi
unki aane ki ummeed jindagi tabaah kar gayi
ahaat huie to laga ki woh aaye hai dekha
to mazaak humse hawaan kar gayi .

 0 People liked it
0 Ratings


Nakaam si koshish kiya karte hain,
Hum hain ki unse pyar kiya karte hain,
Khuda ne takdir me ek tuta tara nahi likha,
Aur hum hain ki chaand ki aarzu kiya karte hain.

 0 People liked it
0 Ratings


Shayriana mehfil mein aap sub ko humara salaam
Shukriya un yaaron ko jino nay pasand kiya mera pehle kalaam (seriously thanks
for all those who replied to Dil hai ke manta nahin)
abh toh bus hum liktay ja-ingay
dost agar yun hi miltay ja-ingay!
Kal Ho Na Ho
Kal ho na ho..aaj pyar kar lo
‘I Love You’.jaa kar use keh do
‘yes’.. ya phir milay ga tume.. ‘no’
‘no’..mila toh use bhar bhar apnay pyar ka yakin do
waqt ka kiya hai.woh toh chalta hai rukta nahin
sacha pyar hai toh .woh jukhsakta nahin
Jab pyar hai toh use izhaar bhi karo
sab kuch us ek jaanaman par hee nisaar karo
chup na raho saree duniya se jaa kar laro
woh agar tume mila nahin
dost toh lakh milagay..par PYAR nahin
Rahe jaogay akeelay boht. thora tanha
ban ke ekh kora panha
jaise chand ke bina bhi sitare chamktay rehay gay
waise dard-a judaai ke diyah barso talak jaltay rehay gay
is ghum se mera yaaron door raho
isliya kehta hoon baath meri man lo
Kal Ho Na Ho..aaj pyar kar lo
‘I Love You’.jaa kar use keh do..

 0 People liked it
0 Ratings


A boy and a girl loved each other,
Unfortunately d boy died. . . .
After death he said to the girl
“Ek vaada tha tera har vade k peche,
TU milegi mujhe har darwaze k piche,
Par TU mujhe ruswa kar gayi,
Ek TU hi na thi mere janaze k peche”.
Itne mein lakdi ki awaz aayi,
She said . . . . .
Ek vaada tha mera har vaade k peche,
Mai milungi tujhe har darwaze k peche,
Par tune hi mud k na dekha,
Ek aur janaza tha tere janaze k peche..

 0 People liked it
0 Ratings


Agar ham kahein aur wo Muskuraa dein
ham unake liye Zindagaani Lutaa dein
Har ek Mod par ham Gamon ko Sazaa dein
Chalo Zindagii ko Mohabbat banaa dein
Kabhii Gham ki Aandhi, jinhein chhuu na paaye
Wafaaon ke ham, wo Nasheman banaa dein
Qayaamat ke deewaane kahate hain hamase
chalo unake chahare se pardaa hataa dein
Sazaa dein, Silaa dein, banaa dein, Mittaa dein
Magar wo koii Faisalaa to sunaa dein.

 0 People liked it
0 Ratings


Hi all,
Jo guzar gaye un lamho main
Jo saath hain un yaado main
Yeh kya dundhata hu
Haatho ki in chand lakiro main
Jo kal raath dekha tha us sapne main
Har aane waale kal main
Apni kismat ko dundhata hu
Haatho ki in chand lakiro main
Jo bichad gaye un logon main
Har anjaan se chehre main
Ek Dost dundhata hu
Haatho ki in chand lakiro main
Jo dekha hai sirf khwaabo main
Chaha hai jisko dil-hi-dil main
Humsafar wohi dundhata hu
Haatho ki in chand lakiro main
Comments and brickbats awaited..

 0 People liked it
0 Ratings


Samay nirantar chalta jata
Samay nahi ruk pata hai
Achhe karm ka der se bhale
Achha fal mil jata hai
Bade se bade zakhm lage ho
Manab ke iss zivan me
Har pida har zakhm ko
Samay hi bhar pata hai
Bartman me samay sab kuch
Samay nahi to zivan kya ?
Zivan ke har pahlu me
Kaam samay hi aata hai
Samay ki kimat ko pahchno
Suno meri aawaz ko
Samay nilkal jaye to fir
Samay hath nahi aata hai
Samay ki sari baten mai
Thik Samay batlaunga
Samay izazat deta hai to
“SAGAR” kuch likh pata hai..

 0 People liked it
0 Ratings


Log phoolon se mohabbat karte hai,
kaaton ko kisne yaad kiya,
hum kaaton se mohabbat karte hai,
kyunki phool ne hume barbaad kiya
—————————————
Dil k zakhmo ki sifarish na hui
hmari muskan ki farmaish na hui
jise dekhne ko Tarasti rahi aankhe
magar unhe humse milne ki khwahish na hui..

 0 People liked it
0 Ratings

Previous Page

Post Shayari

Next Page

Showing Hindi Shayari 1331 - 1340 of 3592, Page 134 of 360 pages.