Hindi Shayari

Hindi Shayari - A large collection of Hindi Shayari. We and our regular valuable users regularly add their shayari into Hindi Shayari category as well as in other various shayari categories. So We have a best and huge collection of Hindi Shayari and other shayari messages from various shayari categories in various language.

  
Post Hindi Shayari
Name:
Email:
Category:
Shayari :

Enter the code below shown above

List of Hindi Shayari

Showing Hindi Shayari 1341 - 1350 of 3592, Page 135 of 360 pages.


Manzile bahut hai afsane bahut hai,
Raahe zindagi me imtehan aane bahut hai,
Mat kar gila uska jo na mila tujhe..
Iss duniya me Jine ke bahane bahut hai.

 0 People liked it
0 Ratings


Dil ke jakhmo ko aansuoo main baha lenge ham
Pochh un aansuoo ko yoon hi muskura lenge ham
Hame bhool bhi jaogi to koi bat nahi
Teri yadon se iss dil ko saja lenge ham
Dono jahan ki khushi mubarak ho tumhe
Ab to apne gam ki hi maja lenge ham
Janta hoon ek din aa hi jaoge isiliye
Tere intezar ki aadat laga lenge ham
Hamse Chhudana chaho daman chhuda lo beshak
Bekrar apne iss dil ko mana lenge ham
Mujhe malum hai teri har rat hogi raushan
Andhero se hi apne dil ko laga lenge ham..

 0 People liked it
0 Ratings


Hum roj hi tumse milte hain,
Magar hal-e-dil kah pate nahi
Wo kaun sa aisa din hai
Jab tum mujhe yad aate nahi..

 0 People liked it
1 Ratings


Jab Raat K Tanha Lamhon Mein
Koi Aahat Mujh Se Kehti Hai
Is Dil Mein Halchal Rehti Hai
Koi Jugnu Pass Se Guzre To
Koi Baat Halak Se Nikle To
Main Khud Se Ulajhne Lagta Hon
Phir Jaane Kya Kya Kehta Hon
Phir Yaad Uski Aati Hai
Phir Pal Do Pal K Lamhe Ko
Yeh Sans Meri Ruk Jati Hai
Ek Sholah Dil Mein Bharakta Hai
Woh Dard Sehar Tak Rehta Hai
Phir Weham Mujhe Yeh Kehta Hai
Koi Mere Dil Mein Rehta Hai
Koi Mere Dil Mein Rehta Hai..

 0 People liked it
0 Ratings


Pyaar kya tha yeh nahi pata,
Pyaar kya hai yeh bhi nahi pata,
Bus itna jante hai ki woh humse door hai,
Magar phir bhi unka naam humare jine ka shara hai.
Meri har jaroorat ka dhyan rakhti ho tum,
Bin kahe har baat samajh jaati ho tum,
Iss kadar pyaar paya hai maine tumse,
Jab bhi saans loon yaad aati ho tum.
Jab do log ek doosre se pyaar karte hai,
Bin kahe har baat woh samajh jate hai,
Juban se toh kuch bhi kehte nahi hai,
Aankon se dil ka haal bata jate hai..

 0 People liked it
0 Ratings


RETH PE NAAM KABHI LIKHTE NAHI
RETH PE LIKHE NAAM KABHI TIKTE NAHI
LOG KEHTE HAI KI HUM PATTHAR DIL HAI
LEKIN PATTHARON PE LIKHE NAAM KABHI MITTE NAHI
ZINDAGI KE ZEHER KO AMRUT BANAKAR PI GAYE HAI
SHUL ME BHI FUL JAISE MUSKURAKAR JI RAHE HAI
MAUT BHI UNHE KYA CHU SAKEGI
JO LAKHO DILO MEIN PYAR BANKAR JI RAHE HAI
KANTO KO CHUNA SIKHAYA NAHI JATA
PHULON KO KHILNA SIKHAYA NAHI JATA
KOI BAN JATA HAI KHUD HI APNA
KISIKO APNA BANAYA NAHI JATA.
TADAP KE DEKHO KISIKI CHAHAT MEIN
TO PATA CHALE KI PYAR KYA HOTA HAI
YUN HI MIL JAYE HAR KOI RAHO MEIN
TOH KAISE PATA CHALE KI INTEZAR KYA HOTA HAI
PYAR SE TAB TAK PYAR MAT KARO
JAB TAK PYAR TUMSE PYAR NA KARE
AGAR PYAR TUMSE PYAR KARE
TOH USE ITNA PYAR KARO KI
WOH KISI AUR SE PYAR NA KARE

 0 People liked it
0 Ratings

Duwa karna yaro juda ho rahe hai,
Rahi zindagi to fir aaker milenge..
Ager mergaye to duwa karte rehna,
Aansun bahane ki koshish na karna
A duniya badi bewafa hai samajhna,
Kahin dil lagane ki koshish na karna.
Mere doston zindagi ek safer hai samajhna,
Kahin thaher jane ki koshish na karna.
Danishon ki duniya hai sari,
Alfazon ka mydan hai sara.
Zer aur zaber ko pehechan na pao,
To mydan me aane ki koshish na karna.
Kashti ummidon ki ger sahil na paye,
To khud dub jane ki koshish na karna.
Kadam pe andhera karegi ye duniya,
Kahin dil jalane ki koshish na karma.
Kabhi ro ke muskuraye , kabhi muskura ke roye,
Jab bhi teri yaad aayi tujhe bhula ke roye,
ek tera hi to naam tha jise hazar bar likha,
Jitna likh ke khush hue us se jayada mita ke roye.
Akela sa mehsus karo jab tanhai me,
Yaad meri aye jab judai me,
Mehsus karna tumhare karib hu me,
Jab chahe dekh lena apni hi parchai me.
Kadam yuhi dagmaga gaye raaste me,
Warna sambhlna hum bhi jaanthe the,
Thokar bhi lagi tho us pathar se,
Jise hum apna mante the.
Kaash woh samajthe is dil ki tadap ko,
Tho yun humein ruswa na kiya hotha.
Unki ye berukhi zulm bhi manzoor thi humein,
Bas ek baar humein samaj-liya hota
Wo roye to bahut, par mujhse muh mod kar roye
Koi majburi hogi to dil tod kar roye
Mere samne kar diye mere tasveer ke tukde
Pata chala mere piche wo unhe jod kar roye
Mere khwabon mein aana aapka kasur tha
Aapse dil lagana hamara kasur tha
Aap aaye the zindagi mein pal do pal ke liye
Aapko zindagi samajh lena hamara kasur tha..

 0 People liked it
0 Ratings


Har Subah teri yaad aati hai,
Har Shaam teri yaad aati hai!.
Har pal teri yaad itni aati hei ki,
Aaina hum dekhte hai aur Surat teri nazar aati hai!.

 0 People liked it
0 Ratings

Previous Page

Post Shayari

Next Page

Showing Hindi Shayari 1341 - 1350 of 3592, Page 135 of 360 pages.