Hindi Shayari

Hindi Shayari - A large collection of Hindi Shayari. We and our regular valuable users regularly add their shayari into Hindi Shayari category as well as in other various shayari categories. So We have a best and huge collection of Hindi Shayari and other shayari messages from various shayari categories in various language.

  
Post Hindi Shayari
Name:
Email:
Category:
Shayari :

Enter the code below shown above

List of Hindi Shayari

Showing Hindi Shayari 1391 - 1400 of 3592, Page 140 of 360 pages.


Wife: Suniye g aap ka dost galat larki se shaadi kar raha hai.
aap usse rokte kyon nahi?
Husband: Main kyon rokon? us ne mujhe roka tha kiya

 0 People liked it
0 Ratings


Ek Mohabbat Hai Badgumaan Hona
Ek Haqeeqat Hai Daastan Hona
Ek Takkalum Hai Bezubaan Hona
Ek Doori Hai Raazdaan Hona
Aankh Kashti Hai Waqt Paani Hai
Dil Pe Likha Hai Baadbaan Hona
Mere Soochein Jala Kar Rakh Dega
Teri Yaadoun Ka Saaiyebaan Hona
Ek Mohabbat Tera Samar Dena
Ek Tabahi Tera Kamaan Hona
Tu Jo Aaye Toh Mohabbat Banti Hai
Warna Umroun Ka Rayegaan Hona
Ruby Hoti Hain Aisi Baatein Bhi
Jinka Mumkin Nahi Bayan Hona.

 0 People liked it
0 Ratings


Aaj phir aakhein tumhari bhi chamak jayeingi
Aaj phir baahein tumhari bhi tadap jayeingin;
Koi to ayaa hai mehfil mein, naya josh lekar
Aaj phir raahein tumhari bhi machal jayeingin.
Aaj ko aaj hi rakh lena sambhal yaadon mein
Aaj ko aah ki raah, sang apne uda le jayeingin;
Pareshan hone se milte nahin, kabhi milnewale
Aaj ko chah ki daah, rang apne laga jayeingi.
Aaj tum mujhako samjh lo, ki main milta rahunga
Aaj gum sapne samjh lo. ki badliyan phir aayeingin;
Yah ek dastak nahin, toofan hai machlate dil ka
Aaj ghoom khud samet kar, sadayein meri tadpayeingin.

 0 People liked it
0 Ratings


Tere badan se chura ker mehak hawa degi,
Zakhm ko rang hara shokhi-e-saba degi.
Mujhe yaqeen hai jab mera tazkara ho ga,
Woh kuch kahe na kahe aankh muskura degi.
Mera her sher teri yaadon se aashna yun hai,
Meri her ghazal mere dard ka pata degi.
Main kuch kahon na kahon lab se magar yeh meri ghazal,
Dua ko aik naya tarz-e-iltija degi.
Jo khud ko bashar kahe or dare bashar se hi,
Khuda ki gaibi madad saath us ka kia degi.
Tere khayal ki khushbu tere lafzon ki mehak,
Mujhe yeh darr hai ke shayar mujhe bana degi.
Main Tanhaa tha to nahi jurm-e-muhabbat se qabal,
Kya khabar thi ke woh tanhayee ki sazaa degi.!!!

 0 People liked it
0 Ratings


Doston,
Aap ko Deepawali Mubarkh ho.Ek kavita pesh kar raha hoon.aadat se
mazboor hoon, isliye chand labz is kavita ke baare mein.Insaan
marne ke baad agar kuchh sochta hai, to woh kya ho sakti hai?? sayad
ye bhi soch sakta hai jo is kavita mein likhi gai hai.Haan ye koi
haqeeqat to nahin magar kahin ek soch jo mere andar thi use main
raushni mein laya hoon is kavita ke roop main.
Disha – Maut ke Baad
sone jaa rahe the hum maut ke baho mein
chand saanse aaye hamein jagane le liye
iskadar nashe mein khoye huye the hum
iltaza kiya unhe chale jaane ke liye
raat kali nazar aaye hamein,
palke band ho jane ke baad
yakeen tha hamein rausni mein na aayenge kabhi
rooh kehene laga humse,
chhod kar zishm hamara
naye chehre mein hi sahi par aa jayenge kabhi
sukun se dam nikla soch kar yehi
bagair hamare waqt theheregi nahin
aaj hum nahin hain to naa sahi
kal phir nazar aa jayenge kahin
aaj maut naseeb hui hai, kal phir gale lagayegi
wohi purana rooh hamara, roop badalti jayegi
wohi purana rooh hamara, roop badalti jayegi

 0 People liked it
0 Ratings


Aansu ko bohoth samjhaaya tanhai me aaya karo
Mehfil me humara mazaak na udaya karo
Ispar aansu tadapkar bola
Itne logoun me aapko tanha pathe hain
Isliye chale aathe hain.
`
dukh hai dard hai toh dawaa hai dosti,iss ghutan bhari zindagi ki haseen fiza hai dosti.
jo na samjhe uske liye kuch nahi,jo samjhe uske liye khuda hai dosti..
`
Meri zindgi hi mujhe azaab lage,
aankh me ashkon ka sailaab lage.
tere husn ka sani duniya me nahi koi,
chehra tera mujhe khilta gulaab lage.
kya zarurat hai tumhe parde ki,
tere qesu hi sanam tera naqaab lage.
`
humein izhar karna na aaya,
unhein pyaar karna na aaya.
hum bus dekhte hi reh gaye,
aur waqt ko thamana na aaya.
woh chalte chalte itne door chale gaye,
`
Mere haathon se gir gayi lakeeren kahin,
Bhool aaye hum apni takdeeren kahin,
Agar mile tumko kahin to utha lena,
Mere hisse ki har khushi apne haathon pe saja lena.

 0 People liked it
0 Ratings


” WAQT NAHI “
Har khushi Hai Logon Ke Daman Mein,
Par Ek Hansi Ke Liye Waqt Nahi.
Din Raat Daudti Duniya Mein,
Zindagi Ke Liye Hi Waqt Nahi.
Maa Ki Lori Ka Ehsaas To Hai,
Par Maa Ko Maa Kehne Ka Waqt Nahi.
Saare Rishton Ko To Hum Maar Chuke,
Ab Unhe Dafnane Ka Bhi Waqt Nahi.
Saare Naam Mobile Mein Hain,
Par Dosti Ke Liye Waqt Nahi.
Gairon Ki Kya Baat Karen,
Jab Apno Ke Liye Hi Waqt Nahi.
Aankhon Me Hai Neend Badee,
Par Sone Ka Waqt Nahi.
Dil Hai Gamon Se Bhara ,
Par Rone Ka Bhi Waqt Nahi.
Paison ki Daud Me Aise Daude,
Ki Thakne ka Bhi Waqt Nahi.
Paraye Ehsason Ki Kya Kadr Karein,
Jab Apne Sapno Ke Liye Hi Waqt Nahi.
Tu Hi Bata E Zindagi,
Iss Zindagi Ka Kya Hoga,
Ki Har Pal Marne Walon Ko,

 0 People liked it
0 Ratings


Mehefil mai bhi tanha hota hu na jaane kyu,
Teri khushiyo mai bhi roh padta hu na jaane kyu!!
Jis din miloge tum humse us din jaan jaoge,
Teri yaado se dil mai dard hone lagta hai na jaane kyu!!...

 0 People liked it
0 Ratings

Previous Page

Post Shayari

Next Page

Showing Hindi Shayari 1391 - 1400 of 3592, Page 140 of 360 pages.