Hindi Shayari

Hindi Shayari - A large collection of Hindi Shayari. We and our regular valuable users regularly add their shayari into Hindi Shayari category as well as in other various shayari categories. So We have a best and huge collection of Hindi Shayari and other shayari messages from various shayari categories in various language.

  
Post Hindi Shayari
Name:
Email:
Category:
Shayari :

Enter the code below shown above

List of Hindi Shayari

Showing Hindi Shayari 1431 - 1440 of 3592, Page 144 of 360 pages.


mera dil tujhy yaad kerta hay
milne ki phir se faryad kerta hay
lut aao phir se zindagi main
suna gher jisy koi aadaab kerta hay
bichray hoy do dil mile aese
jesy koi kisi ko qeed se azaad kerta hay
zara jee bhar k tumhe dekh to lon
dobara phir milne ki wo deed kerta hay
pyaar k badly mile dhoka ager
wo dil humesha zindagi barbaad kerta hay

 0 People liked it
0 Ratings


Yeh kaajal yuhi rahene do,
Apne naino k talee,
Khubsurat kar deti hai yeh kaajal,
Tumhare naino k liye,
Nazar se bachayegi yeh kaajal,
Tumhari khubsurti k liye,
Rehene do yuhi yeh kaajal,
Apne naino k liya..
Naino ko nain se milate yeh kaajal,
Aapas main milne k liye,
Humare man ko khush kar deta,
Jab rehata yeh kaajal,
Tumhare naino k talee..
Judaai k gham main,
Naino se mat chuttne dena,
Kabhi aashko k yeh dhara,
Baha le jayega tumhara yeh kaajal,
Jo hai naino k talee..
Maqbull tha yeh dil mera,
Tumhare maino k aage,
Kaajal ne tho aur bhi,
Kar diy khubsurat,
Tumhare naino k talee.

 0 People liked it
0 Ratings


Sakoot-e-jaan ka matlab batado phir chale jana
Ya phir sargoshiyan dil ki suna do phir chale jana
Jo mera or tumhara waqt guzra hansne rone main
Usay Poori tarah se tum bhulado phir chale jana
Kisi ko chahne ka aur kisi se chahe jane ka
Jo hai ehsaas tum usko bhulado phir chale jana
Bus ek hansi se apne ashkon ko chupane ka
Jo fun aata hai tum ko, wo shikhado phir chale jana
Wo jo ek lafz-e-ulfat hai, juda hai apne maane se
Bus in alfaz-o-maa’ine ko mitado phir chale jana
Jo kehte kehte ruk gaye, un sari batoon ki
Sama`at ko talab hai wo suna do phir chale jana
Na jane kyun hai, lekin dekhne ki tum ko aadat hai
Meri ye be-wajah aadat churha do phir chale jana
Mery in Roz-O-Shab ka ek fakat unwaan bas tum ho
Mujhe tum doosra unwaan laado phir chale jana!!!
U ME OUR HUM
U ME OUR HUM.

 0 People liked it
0 Ratings


Bura waqt inssan ko kamjor nahi bebas bana deeta hai,
Jo apnee hote hai, parayee hoo jatee hai,
Jo dil main hoo woh tumhee problem kahethee hai..

 0 People liked it
0 Ratings


Albums of Jagjit Singh!
1.
chak jigar ke see lete haiN
jaise bhi ho jee lete haiN
dard mile to seh lete haiN
ashk mile to pee lete haiN
aap kaheN to mar jaayeN hum
aap kaheN to jee lete haiN
bejari ke andhi-yaare meiN
jeene wale jee lete haiN
hum to haiN un fuloN jaise
jo kaanTo meiN jee lete haiN
2.
kabhi khamosh baithogi, kabhi kuchh gungunaaogi
maiN utna yaad aaoonga, mujhe jitna bhulaaogi
koi jab poochh baithega, khamoshi kaa sabab tumse
bahot samajahna chaahogi, magar samjhaa na paogee
kabhi duniya mukkammal banake, aayengi nigaahOn meiN
kabhi meri kami duniya ki, har ek shey meiN paaOgi
kahiN par bhee raheN hum tum mohabbat fir mohabbat hai
tumhe hum yaad aayenge, hameN tum yaad aaogee
3.
wo kaun hai, duniya meiN jise, gam nahiN hota
kis ghar meiN khushi hoti hai, maatam nahiN hota
aise bhi haiN, duniya meiN jinheiN, gam nahiN hota
ek hum haiN hamaara, kabhi kam nahiN hota
kya surmaa bhari, aankhoN se, aansoo nahiN girte
kya mehandi lage, hathoN se, matam nahiN hota
kuch aur bhee, hotiN haiN, bigadane ki adaayeN
par meri samaj ye, ek aalam nahiN hota
4.
aaj ham bichhade haiNto, kitne rangeele ho gaye
meri aankheN sukhi, tere haath peele ho gaye
kab ki patthar ho chuki thee muntazir aankhe magar
chhooke dekha to mere hath geele ho gaye
jane kya ehsas saaz-e-husn taroN meiN haiN
jinko chhoote hi mere nagmeN raseele ho gaye
ab koi ummeed hai sahid, na koi aarzoo
aasre TooTe to jeene ke waseele ho gaye
5.
tum ye kaise juda ho gaye
har taraf har jagah ho gaye
apana chehra na badlaa gaya
aayine se khafa ho gaye
jaane waale gaye bhi kahaaN
chand suraj ghaTa ho gaye
bewafa to na wo the na hum
yuuN hua bas juda ho gaye
aadmi banana aasaaN na tha
sheikhjee aarasa ho gaye

 4 People liked it
0 Ratings


Har Muhabbat Wafa Nahi Hoti
Har Wafa Adda Nahi Hoti
Kya Tamanna Ki Ab Zaroorat Hai
Puri Koi Dua Nahi Hoti
Mil Gaye Har Aik Gaam Per!
Doosti Woh Dawa Nahi Hoti
Sab Key Hathoun Mey Hain Diyeh Lekin
Roshni Ayye Khuda Nahi Hoti
Assmaan Yeh Qayaam Ho Ga Abb
Qeemat-E-Zameen Adda Nahi Hoti
Dhondtey Kya Ho Shehar Mey Abb
Har Soraat Tu Ashnaa Nahi Hoti..

 0 People liked it
0 Ratings


Teri ane ki ahhat jab hoti hai..
Mann mai ek khushi ki lehr si uth thi hai.
Tumse milke ataa hai chain mjhe.
manno pure hue ho dil ke armaan mere.

 0 People liked it
0 Ratings


Hum murjhaye phoolon ko khila dete hai ,
bhooli yaadon ko jga dete hai ,
ehsaas hota nahi samne walo ko ,
hum usi se usi ko chura lete hai .
jab tutne lage hosle to bas ye yad rakhna ,
bina mehnat k hasil takhto-taj nahi hote ,
dhund lete hai andhero me manzil apni ,
Quki jugnu kbi roshni k mothaj nhi hote .

 0 People liked it
0 Ratings

Previous Page

Post Shayari

Next Page

Showing Hindi Shayari 1431 - 1440 of 3592, Page 144 of 360 pages.