Hindi Shayari

Hindi Shayari - A large collection of Hindi Shayari. We and our regular valuable users regularly add their shayari into Hindi Shayari category as well as in other various shayari categories. So We have a best and huge collection of Hindi Shayari and other shayari messages from various shayari categories in various language.

  
Post Hindi Shayari
Name:
Email:
Category:
Shayari :

Enter the code below shown above

List of Hindi Shayari

Showing Hindi Shayari 1451 - 1460 of 3592, Page 146 of 360 pages.


Main Aiyna Hoon,Wo Mera Khayal Rakhti Hay
Main Toot-ta Hoon Tu Chun Kar Sambhal Rakhti Hay,
Har Aik Maslay Ka Hal Nikal Rakhti Hai
Zaheen Hai,Mujhay Hairat Main Daal Rakhti Hay,
Main Jab Bhi Tark-e-taluq Ki Baat Karta Hoon
Woh Rokti Hay Mujhay, Kal Pay Taal Rakhti Hay,
Woh Mairay Dard Ko Chunnti Hay Apnay Pooron Say
Woh Mairay Wastay Khud Ko Nidhaal Rakhti Hay,
Woh Dobnay Nahi Daiti Hay Dukh Kay Darya Main
Mairay Wajood Ki Naow Uchaal, Rakhti Hay,
Duain Uss Ki , Balaoon Ko Rook Laiti Hain?
Woh Mairay Chaar Soo Hathon Ki Dhaal Rakhti Hay,
Ik Aisi Dhunn ,Kay Nahin Phir Kabhi Main Nay Suni
Woh Munfarid Saa Hansi Main Kamal Rakhti Hay ,
Usay Nadamatain Mairi Kahan Gawara Hain,,
Woh Mairay Wastay Asaan Sawal Rakhti Hay,
Bichar Kay Uss Say Main Duniya Ki Thokaron Main Hon
Woh Pass Ho Tau Mujhay Lazawaal Rakhti Hay ,
Woh Muntazir Mera Rehti Hay Dhoop Main
Main Laut-ta Hoon To Chahoon Nikal Rakhti Hay.!

 0 People liked it
0 Ratings


Kya naam du is rishte ko tere
mujhe maloom nahin..
dil kehta hai ke hai ye bahut purana rishta
vahee rishta..
jo chand ka hai chandni se..
sitaro ka hai aasma se..
hi.
samunder ka hai gehraee se..
jism ka hai aatma se..
phoolo ka hai khooshboo se..
suraj ka hai roshni se..
kya naam du is rishte ko tere
mujhe maloom nahin..
kuch hee dino kee ye mulakato ne
bechen kur dala hai dil ko
khayal rehta hai tumhara hur dum, hur pal, hur lumhah..
chavi hai tumhari ankho mei
khooshboo hai tumhari sanso mei
tum duur ho tuo paas ho
pass ho to duur
ye kya hai ? kyu hai ? kaise hai ?
kuch maloom nahin..
is rishte kee hud
mujhe maloom nahin
kya ye sahi hai ya galut ?
mujhe maloom nahin
kya naam du is rishte ko tere
mujhe maloom nahin ..

 0 People liked it
0 Ratings


Khushi se dil ko aabad karna,
Aur gham ko dil se azad karna,
Hamari bus itni gujarish hai ki hame bhi,
Din me ek baar yaad karna.

 0 People liked it
0 Ratings


Kash Ye Dil Shishe ka bana hota,
Chot Lagti to Beshak ye Fanah hota. .
Par Sunte Jab Wo Aawaz iske Tutne ki,
Tab Unhe b Apne Gunah ka Ehsaas hota.
Wo mere liye kuch khaas hai yaaro’
Jinke laut aane ki na koi aas hai Yaaro’
Wo najro se door hai to kya huwa..
Banke dil ki dhadkn mere paas to hai yaaro’
Nigaho me or koi dosti ke kabil na raha,
Is kinare ka or koi sahil na raha.
Chand jaisa dost mila hume zamin par,
Aasma ka chand bhi ab deedar k kabil nahi raha.

 0 People liked it
0 Ratings


Aap ko miss karna roz ki baat hai
yaad karna aadat ki baat hai
aap se door rehna kismat ki baat hai
magar aap se milna naseeb ki baat hai.

 0 People liked it
0 Ratings


Sard Raaton Ki Tanhaai Mein..
Hum Teri Yaadon Ke Chirag Jalaye Bethe Hain,
Kabhi To Tum Zindagi Ki Haqeeqt Banogi,
Sochkar Palkon Mein Khwab Sajaye Bethe Hain!
Tumhare Saath Ke Lamhe Har Waqt Sata-te Hain,
Ab Tumhare Aane Ki Bus Aas Lagaye Bethe Hain,
Aankhon Mein Ashkon Ko Ab Rok Nahi Pate,
Ki Dil Ko Bilal Sambhale Huye Bethe Hain!
Kaash Tum Mere Dard-E-Dil Ko Samajh Paao,
Hum Jo Seene Mein Abhi Tak Dabaye Bethe Hain,
Par Woh Jo Humse Dard Bayaan Nahi Karte,
Rehkar Khamosh Konsa Raaz Chhipaye Bethe Hain!
Khushi Bhale Thodi Si Par Dene Ke Liye Shukriya,
Paigam Tere Bheje Huye Seene Se Lagaye Bethe Hain,
Hai Ek Tasveer Bhi Nighahon Mein Teri,
Bus Ab Usiko Mann Ki Murat Banaye Bethe Hain!
Tujhe Yaad Karna Teri Raah Takna Hurdum,
Sab Bhulakar Ab Yeh Ek Naya Kaam Liye Bethe Hain,
Janta Hon Tujhe Paane Ka Anjaam “E-NaaZ”,
Phir Bhi Hum Naadan Tumhi Se Dil Lagaye bethe Hain..!!

 0 People liked it
0 Ratings


Duniya Ke Afsaney Main
Har ikk shaks ki iss duniya ke afsaney main
mohabbat ki ikk apni dastan hoti hey
sabh ke dilon pe kisi ke naam ki mohrain hain lagi hotin
har aik ko zaroor kisi na kisi se pyar hota hey
tamam omr kuch pyar ko chupaney main guzar daitey hain
to kuch kholla izhaar kar ke duniya main badnam hotey hain
dil hotey hain kuch tootey hoey zakhmi aur piyasey
aur kahi dilon ke bhag to shadaab hotey hain
paata hey koi duniya main manzil aur khushian sabhi
kuch ki kamai to bas dard aur ghum hi hotey hain
qismat waley to sacha pyar apna paa hi laitey hain
pyar ko haar kar bhi kuch loug jeet jatey hain
guzartey hain omr kuch kisi ko bhool janey main
kisi ki zindagi to sirf kisi ki yaad hoti hey
kuch sonatey hain mohabbat ke kissey namm ankhoon se
aur kuch pyar ki kahani sonatey muskuratey hain
koi kisi ki yaad main tarapta rehta hey
aur kisi ki bewafai main koi neel bahata hey
dekha jaye to zindagi ki kathin rahon main
har koi roswa aur tanha hi hota hey
duniya ke iss wasih afsaney main aafi
har ikk ki apni aik dastan hoti hey.

 0 People liked it
0 Ratings

Tairna hai to smandar mein tairo
nadi naalo mein kya rakha hai?
Pyar karna hai to watan se karo
In bewafa ladko mein kya rakha hai.
JAI HIND Happy Republic Day 2010
Gandhi swapna jab satya bana,
Desh tabhi jab gantantra bana,
Aaj fir sae yaad kare woh mehnat,
Jo thi ki veero ne,aur bharat gantantra bana.
Gantantra Divas Ki Shubhkamnayen
Lets celebrate and solute the noble cause,
Its our nation which is shining as it was,
Its REPUBLIC DAY Today
Don’t forget the effort,make it movement of mass !!
28 States,
1618 Languages,
6400 Castes,
6 Religions,
6 Ethnic Groups,
29 Major Festivals
1 Country!
Be Proud To Be An Indian!.
Great Republic.
Happy Republic Day !!
Still Sleeping? The nation needs you!
You need to be Awaken!
You are part of world’s biggest Democracy,
Today is the day when We got our own constitution,
Its Indian Republic Day..
Wake up and Value this Day – 26th January 2010
Our life is full of Colours
I hope this 26th January 2010
Will add more colours to your life
Happy Republic Day 2010
Buland Bharat ke nikkamme baccho,
valentines/friendship day hota to
ab tak 100 sms ho gaye hote.
Come on, it’s a great day.
So wish everybody
JAI HIND..
Let us remember the golden heritage of
our country and feel proud to be a part of India.
HAPPY REPUBLIC DAY 2010
Independence a Precious gift of God.
May We Always Remain Independent Ameen.
A Very Happy Republic Day To You.
Here’s wishing each and everyone of you a very Happy Republic Day.
There is this feeling which we all experience and
which cannot be expressed in words,
feeling of being an Indian, feeling of triumph.
There’s certainly something magical about being an Indian, you gotta be one to experience this.
Happy Republic Day 2010 to you
Pankh failaye hue more bahut dekhe hain,
Ghan par chaye Ghanghor bahut dekhe hai,
Nadi kehti hai Samandar se umhadna Seekho,
Humne Barsaat ke ye shor bahut dekhe hain.
Happy Republic Day 2010 to You
DESH bahkto kai balidaan sai, SWATNATRA hoai hai hum..koi puche kon ho to GRAV sai kahnge bhartiya hai ham.
****HAPPY REPUBLIC DAY.. IN ADDVANCE***
!”””’!
!!””(*)”!
!!”””’!
!!
!!
!!
!!
Happy Replubic Day
We salute out Great Freedom fighters
“JAI HIND”.
“VANDE MATARAM”
aaj main aap se apne dil ki bat kahna chahata hun,
han wohi 3 alfaz jo aap sunna chahte hai,
wo hi 3 alfaz jo aap k dil ko chhu le.
***HAPPY REPUBLIC DAY***
zuban se,
Na nigahon se,
Na dimag se,
Na rango se,
Na greeting se,
Na gift se,
Aapko Happy Republic Day direct dil se
Happy Republic Day

 0 People liked it
0 Ratings

Previous Page

Post Shayari

Next Page

Showing Hindi Shayari 1451 - 1460 of 3592, Page 146 of 360 pages.