Hindi Shayari

Hindi Shayari - A large collection of Hindi Shayari. We and our regular valuable users regularly add their shayari into Hindi Shayari category as well as in other various shayari categories. So We have a best and huge collection of Hindi Shayari and other shayari messages from various shayari categories in various language.

  
Post Hindi Shayari
Name:
Email:
Category:
Shayari :

Enter the code below shown above

List of Hindi Shayari

Showing Hindi Shayari 1501 - 1510 of 3592, Page 151 of 360 pages.


Kabhi Jab Aankh Chalke Toh
Kabhi Jab Dil Na Sambhle Toh
Mujhe Aawaz De Lena
Kabhi Jab Durr Ho Koi
Bohut Majboor Ho Koi
Koi Aawaz Naa De Toh
Mujhe Aawaz De Lena
Koi Aansoo Naa Poche Toh
Koi Hansne Se Roke Toh
Koi Tumko Sataye Toh
Mujhe Aawaz De Lena
Kabhi Jab Din Naa Guzre Toh
Kabhi Jab Raat Tadpaye Toh
Kabhi Jab Din Me Andhera Ho
Mujhe Aawaz De Lena
Mein Tere Paas Hoti Hoon
Mein Har Pal Tere Sath Hoti Hoon
Magar Phir Bhi Ek Guzarish Hai
Mujhe Aawaz De Lena.

 3 People liked it
0 Ratings


Sochte sab hai badalta nahi koi,
Dil ki raah par chalta nahi hai koi,
Tej chalna to sabko aata hai,
Magar thokar lagne par sambhalta nahi hai koi.
`~`
Jo aapke masoom se hotho par hasi hai,
Wo dard ki aahat ki hakeekat me khushi hai,
Ek muddat huye bichade huye tumase lekin,
Teri soorat abhi bhi mere dil me basi hai.
`~`
Din ko chain nahi, raat ko aaraam nahi,
Na jee lage kahi, ae khuda kya yahi pyaar hai,
Jawaab aaya- are paagal, ye pyaar nahi,
Ye to ‘summer’ ki garmi hai.
`~`
Lamhe judaai ke bekaraar nahi karte hai,
Haalaat mere mujhe lachaar karte hai,
Aankhen hamaari pad lo kabhi,
Ham kaise kahi ki ham aapse pyaar karte hai.
`~`
Sadiya gujar gai, tera deedaar na hua,
Gulaab tuta ek baar phir gulajaar na hua,
Hamne to yara tujhako pyaar kiya hardam,
Magar tujhko kabhi bhi hamse pyaar na hua.
`~`
Maangta hu to deti nahi jawaab meri baat ka,
Deti hai to khada ho jata hai rom-rom jazabaat ka,
Pata nahi kyon wo bolti hai,
Ki dheere se daalo baalo me phool gulaab ka.
`~`
Boond-boond se hai saagar ki gehraai,
Iski har boond hai mujh me samaai,
Koi maange to ek boond na de sakenge,
Kyonki har boond me hai aapki dosti samaai.
`~`
Pyaar ek lamba,
Meetha sapna hota hai,
Aur shaadi ek alarm ghadi.
`~`
Meethe dard ka asar hai, sehkar to dekho,
Pyaar katra nahi samundar hai, behkar to dekho,
Tumhaare liye to chod denge jamana,
Ek baar hame dost kehkar to dekho.
`~`
Ye SMS kewal khoobsurat aur smart logo ke liye tha,
Galti se ise hamne aapke mobile par bhej diya hai,
Isaliye jyada khush mat hona,
Asuvidha ke liye ham dil se maafi maangte hai.
`~`
Sooraj se roshan hai saara jahaan,
Hame ek diye ki talaash hai,
Apne paas logo ki kami nahi hai par
Door apne bhi koi khaas hai,
Chaahta hu tujhe pyaar du,
Dosti pe apni jindagi waar du,
Jab bhi tera SMS nahi milata to,
Man karta hai ki teri jaan nikaal du.
`~`
Kaash aisa ho ki tumko tumse chura lu,
Waqt ko rokkar waqt se ek dil chura lu,
Tum paas ho to is raat se ek raat chura lu,
Tum saath ho to is jahaan se ye jahaan chura lu.
`~`
Mere rab mere yaar ko,
Saari khushi dena,
Bhool jaaye na dosto ko wo khushiyo ke mele me,
Isaliye thodi yaad unhe ham dosto ki bhi de dena.
`~`
Main aasmaan me baadlo ko dekh raha tha,
Bahut hi sundar najara tha,
Tum aa gaye to main tumhe dekhne laga,
Aur kya tha bas dekhta hi reh gaya.
`~`
Tumhaari yaado ko rok pana hai mushkil,
Rote huye dil ko manana hai mushkil,
Ye dil aapko kitna yaad kar raha hai,
Is ek SMS se likh paana hai mushkil.
`~`
Intajaar uska jiske aane ki koi aas ho,
Khushboo bhi us phool ki jo mere paas ho,
Manjil na mil saki hame to koi baat nahi,
Gam bhi usi shakhs ka hota hai jise pyaar ka ehsaas ho.
`~`
Shaam ki tanhaai me kho na jana,
Kisi ki masti me doob na jana,
Milegi jaroor kal manjil tumhe,
Use paakar is naacheez ko bhool na jana.
`~`
Yaado me tum, khyaalo me tum,
Teri aankhon me ho gaye ham gum,
Bhool gaye saari duniya,
Bas yaad hai to sirf tumtumtum.
`~`
Mujhe hamesha apna dost banakar rakhna aur,
Main tumhe apne dil me rakhkar tala lagakar
Chabi kahi bahut door fenk doonga taaki
Koi tumhe mujhase door nahi le ja sake.
`~`
Yaad aati hai jab unki yaaro to
Ek sher ban jata hai,
Waise to hamko yaaro
Likhna bhi kahaa aata hai.
`~`
Jee chaahe jitna sataao,
Shikayat karne waale ham nahi,
Ittefaak ki baat hai ki pyaar aapse hai,
Warna itane keemti SMS karne waale ham nahi.
`~`
Mat kariye dost apni girl friend se itni mohabbat,
Wo aankhon se waar karti hai,
Maine dekha hai uski aankhon me,
Wo mujhse bhi pyaar karti hai.
`~`
Mujhko gulaab mat dena mere sanam,
Mere liye tum hi gulaab ho,
Mere dile sawaalo ka tum hi jawaab ho,
Mere khuda ho tum, meri jaan ho tum,
Aapka koi jawaab nahi, aap to laajwaab ho.
`~`
Hajaaro bete kal aur laakho aane waale kal
Ke beech ka din aaya hai aur
Main use aise hi nahi jaane doonga,
Tumse main jaroor kahuga ki tum bahut khoobsurat ho
Aur main tumse bahut pyaar karta hu.
`~`
Jogi ko pyaar hai apni raakh se,
Kabaadi ko pyaar hai apni khaak se,
Jaasoos ko pyaar hai apni jhaanch se,
Par hame pyaar hai aapki aankh se.
`~`
Ham aapki yaad me udaas hai,
Bas aapse milane ki aas hai,
Chaahe dost kitne hi kyon na ho,
Apne liye to bas aap hi khaas hai.
`~`
Jakhm ki baat nahi hai, jaane dard kyon hota hai,
Dhokhe ki baat nahi hai, jaane wishwaas kyon hota hai,
Jaante hai ki bewafa hai,
Na jaane phir bhi pyaar kyon hota hai.
`~`
Kuch kismat hi aisi rahi dosto,
Ki ab jindagi se koi tamanna nahi rahi,
Jisako chaha usko pa na sake,
Aur jo mila use mohabbat nahi huyi.
`~`
Naseeb se milta hai pyaar,
Naseeb se milta hai deedaar,
Badi naajuk cheej hai jara sambhaal ke rakhna,
Kyonki naseeb waalo ko milta hai kisi ka sacchaa pyar.
`~`
Ek aadmi poori jindagi sochta raha,
Sochta raha, sochta raha aur
Sochte-sochte hi mar gaya ki
Agar meri bahan ke 2 bhaai hai, to mera ek kaise?
`~`
Is dil me dekho tasweer tumhaari hai,
In aankhon me dekho tasweer tumhaari hai,
Jee rahe hai ab tak apni marjee se,
Lekin ye maut ab amaanaat tumhaari hai.
`~`
Tum jab se aa gaye jindagi me,
Jitane the gam sab kho gaye,
Pehale the ham patthar ke,
Lekin ab mom ke ho gaye.
`~`
Apna samajhkar tumhe chaahte rahe,
Bereham se khud ko behlaate rahe,
Na miloge tum phir bhi maanta nahi man,
Maante tumhe paane ki tum maangte rahe.
`~`
Meri shaadi hogi to aapse hogi,
Ye mera wada hai,
Main mar jaauga tumhaare bina,
Ye mera irada hai.
`~`
Ae dost jab bhi tu udaas hoga,
Mera khyaal tere hi paas hoga,
Dil ki gehraaiyo se jab bhi karoge yaad hame,
Tumhe hamaare kareeb hone ka ehasaas hoga.
`~`
Jitna maine kiya kaun itna pyaar karega,
Meri baate sanam tujhe yaad aaya karegi bahut,
Meri aashiki, meri deewaangi bhulegi kaise tu,
Teri dhadkan, teri saanse tujhe roolaya karegi bahut.
`~`
Na aisi baat karo,
Dil dhadak jaata hai,
Pyaar karne ko betaabi se machal jata hai.
`~`
Daali se patte, yu hi gira nahi karte,
Bichad ke log jyada jiya nahi karte,
Kuch naye SMS ho to bhejiye,
Puraane ham baar-baar pada nahi karte.
`~`
Aaj phir dil hai kuch udaas jaane kyon,
Ek maayusi si chaai hai,
Aaj phir palko par paani,
Bheed me hu phir bhi kyon ye tanhaai hai.
`~`
Aapse bahut pyaar karta hu,
Ab shaadi karna chaahta hu,
Main kisi ke saath nahi,
Tumhaare saath marna chaahta hu.
`~`
Dil ko kisi pal bhi karaar na aaya,
Na tera koi khat ya sandesh na aaya,
Tum nadaan ho, nasamajh ho ya phir kuch aur,
Tumhe sab kuch aaya magar pyaar karna na aaya.
`~`
Kahaan tak jaalim tera intajaar karu,
Tu bewafaa to nahi magar kitna aitbaar karu,
Sitam mujh par huye aur tum chup hi rahe,
Ae sanam ab kis tarah use pyaar karu.
`~`
Meri aankhen tere deedaar ko tarasti hai,
Meri nas-nas tere pyaar ko fadakti hai,
Tu to bata jaanam tujhko bhulaau kaise,
Meri rooh tak teri yaad me tadapti hai.
`~`
Dekha nahi hai koi tujhsa,
Dekhane tujhe jannat se bhi laut aayenge,
Jab tak deedaar na ho tera,
Mar kar bhi ham chain se na mar paayenge.
`~`
Dil to hai ek raahi jana, jiski tum manjil ho,
Dil to hai ek kashti jana, jiski tum saahil ho,
Dil na phir kuch maangega jana,
Agar tum haansil ho.
`~`
Ham tere pyaar me ae yaar waha tak pahuche,
Jaha ye bhool gaye ham ki kaha tak pahuche,
Ek sadi tak na waha pahuchegi duniya saari,
Ek hi ghoont me deewaane jaha tak pahuche.
`~`
Najar jab mili to fasaane ho gaye,
Ek pal me ham aapke deewaane ho gaye,
Jab se aaye hai aap hamaari jindagi me,
Andaaz hi hamaare shaayrana ho gaye.
`~`
Diya ummeedo ka yu bujhaya nahi karte,
Pyaar karne waalo ko yu bhulaya nahi karte.
`~`
Bure waqt ka daur mit jaayega tere aane se,
Baaj aa jaao ab sir dard ke bahaane se,
Ek muddat se milna nahi hua hai tera,
Aitraaj kya hai tujhe rasme wafa nibhaane se.
`~`
Chale aaye wo chhat par us din,
Log samajh baithe ki chaand hai,
Khuda hai usse khafa, ab isme unki kya khata hai,
Husn paya hai unhone to unke jalwo se kaun door reh payega.

 0 People liked it
0 Ratings


Aankhein Khuli Hoh Toh Chehra Aapka Hoh,
Aankhein Bandh Hoh Toh Sapnaa Aapka Hoh,
Humey Maut Ka Na Darr Na Khauff Hoga,
Agar Kafan Ki Jagah Dupatta Aapka Hoh.
Pyaara Sa Ek Ehsaas Hain Aap,
Harr Pal Humhare Paas Hain Aap,
Jiney Ki Ek Aas Hain Aap,
Mann Ka Ek Vishwaas Hain Aap,
Shayad Ish Liye Kuch Khaas Hain Aap.
Humhara Harr Lamha Churaa Liya Aap ney,
Aankhon Koh Ek Chaand Dikha Diya Aap ney,
Humey Zindagii Toh Dii Kissi Aur ney,
Par Itna De Kar Jeena Sikha Diya Aap ney.

 0 People liked it
0 Ratings


Kahan ho tum ?
Saheliyo kahan ho tum jawaab do
Main sun rahi hoon duur se
Tumari gungunahteen
Faza main tairne lagi hain
Narm narm ahhtain
Main kis tara tumare sath
Nachun aur gaa sakon
Na tum mujhe bula sako
Na main tumain bula sakon
Tarap rahi hoon main yahann
Kabhi to muj se aaaaa milo
Saheliyo kahan ho tum jawaab do
Main jal rahi hoon
Aaj apne aansuon ki chaoun main
Dekhayi jo na de saken
Woh beriyaan hain paaoun main
Bujha bujha hay dil mera
Main kulfaton k bas main hoon
Sab hi chaman jesey kaheen
Main us haseen kafas main hoon
Main ghut k maar chali yahan
Tum aa k muj ko thaaaaam lo !!!!
Zara Thair Jaoo
Kareeb mout khari hay zara thair jao
Qaza se aankh lari hay zara thair jao
Thaki thaki si fazayen bohjal bohjal se tare
Bari udas ghari hay zara thair jao
Naheen umeed k hum aaj ki saher dekheen
Yeh raat hum pe kari hay zara thair jao
Abhi na jao k taroon ka dil dharakta hay
Tamaam raat pari hay zara thair jao
Damfraq main tumain je bhar kar dekh to lain
Yeh fasle ki ghari hay zara thair jao
Phir is k baad na hum tum ko rokain ge
Laboon pe saans ari hay zara thair jao.!

 0 People liked it
0 Ratings


Sukhe Paton Ki Tarah Ek Din Hum Bikhar Jayenge
Na Chahoge Phir Bhi Hum Tumhe Yaad Aayenge
Vaada Karte Hai Sanam Tumse Bichadne Ke Baad
Agar Tum Udas Rahoge Toh Hum Jee Na Peyenge..

 0 People liked it
0 Ratings


Duniya to meri viran ho gayi
Mohababat ek jhoothi kahani ho gayi
Karke jhoothi ijhare mohababat
Meri janeman to sayani ho gayi
Har pal unke khayalo main rahta
Yah pagal dil ki nadani ho gayi
Unhe dil se kabhi chaha tha hamne
Wah bat ab purani ho gayi
Tanhai main ham tadapte hain aaj bhi
Magar wo rakibo ki rani ho gayi
Yah jindgi ham kaise jiye ‘Dost’
Ab meri jindgi hi begani ho gayi..

 0 People liked it
0 Ratings


Kab Ho Qubuliyat Ki Ghadi Naa Jane
Tumhe Har Dua Me Maangna Chahti Hoon
Ho Jao Tum Mere Aur Mein Tumhari
Har Pal Bass Yahi Ehsaas Chahti Hoon
Tum Se Hi Ki Bass Mohabbat Mein Ne
Apni Saari Zindagi Sang Tumhara Chahti Hoon
Haq Ke Sath Kahoun Tumhe Mein Apna.
Tum Se Bas Mein Aaj Yahi Raza Chahti Hoon.

 0 People liked it
0 Ratings


Aap ki yaad aatii rahii raat bhar
Chashm-e-nam muskuraatii rahii raat bhar
Raat bhar dard kii shammaa jaltii rahii
Gam kii lau tharatharaatii rahii raat bhar
BaaNsurii kii surilii suhaanii sadaa
Yaad ban ban ke aatii rahii raat bhar
Yaad ke chaaNd dil men utarate rahe
ChaaNdanii jagamaatii rahii raat bhar
Koii dewaanaa galiyon may phirataa rahaa
Koii aavaaz aatii rahii raat bhar

 0 People liked it
0 Ratings

Previous Page

Post Shayari

Next Page

Showing Hindi Shayari 1501 - 1510 of 3592, Page 151 of 360 pages.