Hindi Shayari

Hindi Shayari - A large collection of Hindi Shayari. We and our regular valuable users regularly add their shayari into Hindi Shayari category as well as in other various shayari categories. So We have a best and huge collection of Hindi Shayari and other shayari messages from various shayari categories in various language.

  
Post Hindi Shayari
Name:
Email:
Category:
Shayari :

Enter the code below shown above

List of Hindi Shayari

Showing Hindi Shayari 1591 - 1600 of 3592, Page 160 of 360 pages.


Ankhon say muskuraa kay lagaayee,
Kya jaanay kab kahan say churaaee meri gazal,
Uss shokh nay mujh ko sunaayee meri gazal,
Puchha jo maina uss say kay hai khushnaseeb kaun,
Ankhon say muskuraa kay lagaayee meri gazal,
Aik aik lafz bann kay udaa thaa dhuaan-dhuaan,
Uss nay jo gun-gunaa kay sunaayee meri gazal,
Har aik shaks meri gazal sunaaye hai,
Rahi teri zubaan pay naa aayee meri gazal

 0 People liked it
0 Ratings


NAHIN CHAHTE:
Mushkilo se ghabra ke ab jeena nahin chahte,
dur tumse hoke ab rehna nahin chahte,
yun to dost bahut bane is zindagi mein,
per aap ke pyar ko khona nahin chahte.
MEHSOOS HUI:
Sooni zindagi main hulchal mehsoos hui,
Bejaan dil ki aaj dhadkan mehsoos hui,
Jane kyun aaj aisa laga,
Shayad aap ki kami mehsoos hui.
AADHAR TUMHI HOTE HO:
Har pal tum mere saath hote ho,
Khuli hoti hain palake,
Har nazar mein tum hi hote ho,
Tumse alag na sochti hu.na soch sakti hu kahi,
meri har soch ki soch ka aadhar tumhi hote ho.
AGAR:
Agar koi karta zamane se shikayat nahin,
Agar bhul jaata bhulane se koi,
Kyu yaad karta dil kissi ko,
Agar maan jaata manane se koi.
BANKAR :
Hum tere dil mein rehenge yaad bankar,
tere lab pe khilenge muskan bankar,
hame apne se alag mat samjhna,
hum tere saath chalenge aasmaan bankar.

 0 People liked it
0 Ratings


Baraay-e-naam sahi koi meherban to hai,
Hamare sar pe bhi hone ko aasmaan to hai,
Teri faraakh-dili ko duaaen deta hun,
Mere labon pe tere lams ka nishaan to hai,
Yeh aur baat k woh abb yahan nahin rehta,
Magar yeh us ka basaaya hua makaan to hai,
Ilaawa is k na kuch aur parda rakh mujh se,
Faseel-e-jism mere tere darmiyaan to hai,
Bichharr k zinda nahin reh sakenge hum dono,
Mujhe yeh vehem to hai un ko yeh gumaan to hai,
Saron pe saaya-figan abr-e-aarzu na sahi,
Hamare paas seraabon ka saayabaan to hai,
Gul-e-muraad nahin sung-haaye-tifl sahi,
Ghareeb-e-sheher ka aakhir kisi ko dehaan to hai...

 0 People liked it
0 Ratings


Dil ki dhadhkan sunaya karti ho
Kis kadar zulm dhaya karti ho,
Yeh jo tum bhool jaya karti ho,
Kiska ab haath rakh ke seene par,
Dil ki dhadhkan sunaya karti ho,
Hum jahan chaye peene jaate the,
Kya waha ab bhi aaya karti ho,
Koun hai ab ke jiske chehre par,
Apni palkon ka saaya karti ho,
Kyo mere dil mein rakh nahI deti,
Kis liye gam uthaya karti ho,
Phone par geet jo sunaati thi,
Ab wo kis ko sunaya karti ho,
Aakhiri khat mein usne likha tha,
Tum mujhe yaad aaya karte ho.

 0 People liked it
0 Ratings


tere husn ki aag mein jal jaane de mujhe
tere hoton ki mey ko pee jaane de mujhe
mil jaaye meri rooh ko maut ka sukun
tere jism ki kabr mein dafan ho jaane de mujhe

 0 People liked it
0 Ratings


Chehre ki hansi se har gam chhupao,
Bahut kuch bolo par kuch na batao,
Khud na rootho kabhi par sabko manaao,
Raaz hai ye zindgi ka bas jeete chale jao..

 0 People liked it
0 Ratings


Bikhri hui zulfoon ko apni pehchan bana lo,
rakhna hai mujhe qaid to zanjeer bana lo,
kaagaz pe lakeerain to boht kheench li tumne,
ab sab ko mila kar meri tasveer bana lo..

 0 People liked it
0 Ratings


Ye jo aapki shayari hai na
sidhe mere dil tak pahunchti hai
kya ise likhne wale ko bhi kisi se pyaar hai
kaash mera pyaar bhi aisa hi hota
wo mujhse sacha pyaar hi krta
wo sirf mujhse hi pyaar karta na ki mere khubsurti se
main to aisa pyaar chahti thi jo mujhse pyaar kare na ki meri khubsurti se.

 0 People liked it
0 Ratings

Previous Page

Post Shayari

Next Page

Showing Hindi Shayari 1591 - 1600 of 3592, Page 160 of 360 pages.