Hindi Shayari

Hindi Shayari - A large collection of Hindi Shayari. We and our regular valuable users regularly add their shayari into Hindi Shayari category as well as in other various shayari categories. So We have a best and huge collection of Hindi Shayari and other shayari messages from various shayari categories in various language.

  
Post Hindi Shayari
Name:
Email:
Category:
Shayari :

Enter the code below shown above

List of Hindi Shayari

Showing Hindi Shayari 161 - 170 of 3592, Page 17 of 360 pages.


Intezar rehta hai har shaam apka,
raatein katti hai le kar naam apka,
muddat se baithe hai ye aas lagaye
ki aaj aayega koi paigaam apka.

 0 People liked it
0 Ratings


Kaash tum vaade apne nibha jaate,
kissi surat dil mera behla jaate,
kyon maikhane jaa kar hum shraab uthate,
agar tum aankho se apni pila jaate..

 0 People liked it
0 Ratings


Kiya Main Udas Rehti Hoon???????
kabhi kabhi asa bhi hota hai
main wajood se shaoor se muntashier hoo ker
akser poochti hoon khud se
kiya main udass rehti hoon
kiya tumhara intezar kerti hoon
kiya khawab tumharey dekhti hoon
kiya ansoon se ghabrati hoon
kabhi jheelo kay kinarey tenha
janay se der jati hoon
kay kahin wo tumhara na poochain
akser asa hota hai
lawn ki narm ghans pe bheth ker
akser asa soochti hoon
tumhray chehery ko talashti hoon
chand se shikwa kertii hoon
main khud main hi ghum rehti hoon
hathoon ki lakiroon ko takti rehti hoon
main akser tenha rehti hoon
duniya se chupna chati hoon
kay kahin wo tumhara na pooche bathain
magar phir yehi khayal ata hai
kiya main udass rehti hoon ???????????
ye tu mujhe khud bhi nahi maloom
bus tum ko soochti rehti hoon.
haan phir shayad udass rehti hoon..

 0 People liked it
0 Ratings


Jaane kya mujhse zamana chahta hai,
mera dil todkar mujhe hi hasana chahta hai,
jaane kya baat jhalakti hai mere is chehre se,
har shaks mujhe aazmana chahta hai.
Kya dukh hai ki samundar bata nahi sakta,
ansu ki taraha ask baha nahi sakta,
tum sath chod do ge isme tumhari khata ky,
har saksh mera sath nibha nahi sakta.

 0 People liked it
0 Ratings


Kagaj par hamne jindgi likhdi,
Aankho se sinch kar khushi likh di,
Dard jub bhi ham laye lafzo pe.
Dosto ne kaha dost wah..kya Shayari likh di..

 0 People liked it
0 Ratings

Tere Ishq Ki Intaha Chahta Hun
Meri Sadgi Dekh Kya Chahta Hun
Sitam Ho K Ho Wada-E-Behijabi
Koi Bat Sabr-Azma Chahta Hun
Ye Jannat Mubarak Rahe Zahidon Ko
K Main Ap Ka Samna Chahta Hun
Koi Dam Ka Mehman Hun Ai Ahl-E-Mahfil
Chirag-E-Sahar Hun, Bujha Chahta Hun
Bhari Bazm Mein Raz Ki Bat Kah Di
Bara Be-Adab Hun, Saza Chahta Hun

 0 People liked it
0 Ratings


Hum to dariya hain apna hunar malum hai,
Jidhar bahenge udhar hi rasta ho jayega.

 0 People liked it
0 Ratings


Ye dil udaas hai bahut
Ye dil udaas hai bahut koi paighaam hi likh do
tum apna naam na likho chalo gumnaam hi likh do
Meri kismat me gham-e-tanhai hai lekin
tamam umr na likho magar ek shaam hi likh do
Ye janta hoon ke umr bhar tanha mujhko rehna hai
magar pal do pal, ghadi do ghadi mera naam hi likh do
Chalo hum maan lete hain saza ke mustahiq thehre
koi inaam na likho, koi ilzaam hi likh do
———— ——— ———
Hamare Jaise Nahi
Thaame Rakhna Haath Hamara Aise Hi
Dete Rehna Saath Zindagi Bhar Aise Hi
Yu To Milenge Zindagi Mein Chahne Wale bahut
Milenge To Bas Hamare Jaise Nahi
———— ——— ———
Zindagi
Zindgi se hamne kabhi kucch chaha hi nahin
Chaha jise bhi kabhi paya hi nahin
Jise paya use kucch yun kho diya
Jaise zindgi me kabhi koi aaya hi nahin
———— ——— ———
itna intzaar hai
ik baat puchte rehte hain hum,
bhagwan se fariyaad mein,
aisa kya hai unki har baat mein,
kyun aati hai bar bar woh meri yaad mein,
kya bhagwan yahi woh pyar hai,
jisko milne ke liye kiya,
hamne itna intzaar hai.
———— ——— ———
kuchh mausam sapne lagte hain
shabnam ke katron mein kaise khiza ke rang jhalakte hain
phoolo ke chehro se kushboo ke moti bikharte hain
hawao ki rawani se aati hai sargam kar rimjhim
jab pani ke lehron se voh atkheliya karti aati hai
pairon ke kitaron mein phir thandak bansane aati hai
jab suraj se mil kar sham suneheri ho jati hai
kuch mausam sapne lagte hain kuch mausam apne lagte hain
par dost mile tum jaisa to sub mausam sache lagte hain
zindgi ki tanha lehron mein jo dosti ke moti pirote hain
voh phoolon ki traha dil ki rahon ko mehkate hain
———— ——— ———
dil dhadakta hai usi ke liye
mana ki ham bhula nahi paate unhe ek pal ke liye
par yu roya bhi nahi jaata ek pal ke liye
mila jo yu wo milkar bichhad gaya zindgi ke liye
unhe dil se nahi lagaya jaata dillagi ke liye
mana ki ye baat har kisi ko lagti hai sacchi
par har ajnabi nahi hote jamane mein bhulane ke liye
yu to khuda se jo maanga wo paya dua mein
par har dua kahan kabul hoti hai har kisi ke liye
wo aayega na lautkar fir kabhi ye jaante hain
fir bhi dil dhadkta hai aaj bhi usi ajnabi ke liye
———— ——— ———
Jaan
Hasdi Rahe Hamesha Meri Jaan
Kar Dewaan Jind Main Ohton Kurbaan
Dekh Ke Lok Khush Ohnu Ho Jande Ne Hairaan
Ki Banke Oh Rahegi Hamesha Sadi Jind Jaan
———— ——— ———
Dua Rab se
Dua hai us rab se kabhi tumhain dard ka ehsaas na de
Pal koi aisa na guzre jab mushkilo me ham saath na de
Kisi saans me ham tumko bhule, rab hame aisi saans na de
———— ——— ———
Phir Yaad Aane Lage
Muddaton baad dekha unhe, Hosh kaise thikane lage
Ashq palko par aye meri aur lab thar-tharane lage
Jane kaise hawa ye chali, phool phir muskurane lage
Jinko mushkil se bhule the ham phir wahi yaad aane lage
———— ——— ———
nazar aata hai
mujhe pata nahin kya ho jata hai,
neend aati nahin or chain kho jata hai,
phir dil bechain ho jata hai,
or khwaab kuch aisa aata hai,
ki aap ka hath hamare hathon mein,
or sar hamare kandhe pe nazar aata hai.

 0 People liked it
0 Ratings

Previous Page

Post Shayari

Next Page

Showing Hindi Shayari 161 - 170 of 3592, Page 17 of 360 pages.