Hindi Shayari

Hindi Shayari - A large collection of Hindi Shayari. We and our regular valuable users regularly add their shayari into Hindi Shayari category as well as in other various shayari categories. So We have a best and huge collection of Hindi Shayari and other shayari messages from various shayari categories in various language.

  
Post Hindi Shayari
Name:
Email:
Category:
Shayari :

Enter the code below shown above

List of Hindi Shayari

Showing Hindi Shayari 1741 - 1750 of 3592, Page 175 of 360 pages.


Zindagi ka yehi tarana hai
Gam uthana hai muskrana hai.
Rop tera bada suhana hai
Tujh pe qurban ye zaman hai.
Kis qadar pyaar mera sachcha hai
Aaj dil bar ko aazmana hai.
Tujh ko paon ya tera hojaon
Zindagi ka yehi fasana hai.
Is tarah se na muskuraya karo
Jaan lewa ye muskurana hai.
Aarzi hai ye dunya aye lugon
Har kisi ko yahan se jana hai.
Arzoo hai yehi meri Danish
Dust dushman ko bhi banana hai.

 0 People liked it
0 Ratings


Jisko chahe ye dil jispe kurban hai
Wo mohababat ki baton se anjan hai
Jis taraf dekhu main uss taraf tu hi tu
Mere diwanepan ki ye pahchan hai
Banke khushbu fija main mahakti rahe
Hamnashi mere dil ka ye arman hai
Wo mile mujhe aisi hui guftugu(Batchit)
Yun laga jaise sadiyon ki pahchan hai
Uske kadmo ki aahat mili jab mujhe
Pal main aisa laga wo meri jan hai
Khubsurat wo aankhe sunhare se bal
Har ada uski uspe meharban hai
Aaj ‘Avinash’ pe jadu chala iss kadar
Wah kyamat hai ya koi tufan hai.

 0 People liked it
0 Ratings


Is toote huye dil ke liye ab duaa kaise karun
dard jab tuune diya hai to gilaa kaise karun
Aksar chalta raha tanha safar me yehi socha ke mai
ye muqammal tha safar jo maine kiya
ab tere binaa baki safar kaise karun
umar bhar ki mohbaat ka kya seela diya hai tune
tu hi bata de tere en jafaon ka gila kaise karun
thi koi mere hi haathon ki lakeeron mein kuch kamii
apni taqdeer ka ab tujhse gilaa kaise karun
meri har sans me basa hai tu zandgi ban ke ae dost
tuje bhula ke mai befawi kaise karun..
ye munaseeb nhi ” Massom ” Bhula dun use..
tu bata is jism se ye jaan juda kaise karun
Tere Intjaar Me. !!

 0 People liked it
0 Ratings


1) Chaha tumhe dil-o-jaan se
Nibhaya har kiya hua waada aapse
kaha aapne kabhi na ruthenge humse
Ho gayi itni si khata,
aur muh mod kar chal diye hamare jahan se.
2) Bachpan se chahte the unhe
Dosti ki hassi mein mohabbat chupate the unse
Ho gaye ek din woh kisi ke
Aur hum chup chap unki khushiyon ki dua karte reh gaye.
3) kabhi hamare sabse karib ho jaate hai humse khafa
Khata ki humne, lekin aisa bhi kya ruthna
Chahte hai unhe dil-o-jaan se, bas itni si guzaarish ki
Sun to lete ek baar hamari bhi
Phir chahe bewaafa hi kyon na kehna.
4) Humare liye aansu baha rahe ho
Dil to kab ka tod chuke ho
Chodke to hume aaj jaa rahe ho
Humse door to kab ke ho chuke ho..

 0 People liked it
0 Ratings


Mere liye Meri Duniya Ho Tum
Chu kar Jo Guzri woh Hawa Ho Tum..
Mein ne Jo Mangi woh Dua Ho Tum
Karey Mujh ko Jo Roshan woh Diya Ho Tum
Dil Yeh kahey Mera Jiya Ho tum.
Kiya Mein ney Mehsoos, woh Ehsaas Ho Tum
Mere Honto ki Pyaas Ho Tum
Mere baahon ki Aas ho tum.
Meri Nazar ki Talaash Ho Tum
Meri Zameen ka Akaash Ho Tum
Mere Chehrey ki Kashish Ho Tum.
Mere Sitaron Ki Gardish Ho Tum
Meri Zindagi ka Karaar Ho Tum
Mein ney Jo Chaha woh Pyaar Ho Tum.
Meray Intizaar ki Raahat Ho Tum
Mere dil ki chaahat Ho Tum
Tum ho To ye Duniya hai Meri.
Faslay Had Se Barh Jaey to Gum Milte Hien
ishi liye Hum Har Shaks Se Kam Milte Hien.Mere liye Meri Duniya Ho Tum.

 0 People liked it
0 Ratings


Raat guzri phir mehakti subha aai,
Dil dhadka phir tumhari yaad aai
Aankho ne mehsus kiya
Uss hawa ko jo chukar hamare pas aai
Aapki judai ne hamein shayari sikha di,
Judai ke gam ne hamein manzil bhula di,
Chahte to nehin thaey aapse juda hona para
Kya karein agar hamein apno ne hi peeth dikha di…..
Chand adhura hai sitaro ke bina ,
Gulshan adhura hai baharo ke bina ,
samundar adhura hai kinare ke bina,
Jina adhura hai aap jaise deedar ke bina ,
mera dil adhura hai aap ke yaad ke bina..

 0 People liked it
0 Ratings


Mai to pahle aisa likhata nahi tha,
Dil me tha jakhm par dukhta nahi tha,
Mujhe jukaya kisi ki bewafai ne,
Warana mai kisi ke aage jukta nahi tha,
Doli nikalegi jab ghar se teri,
Ashk ki bahenge tab najar se meri,
Jab kabi hoga tera shamsano me aana,
Naam tera he gunjega kabra se meri.
Jab tut ta hai dil to awaaj nahi hoti,
Tum jaisi haseen kisi ka mahothaj nahi hoti,
Tum meri jindagi kya swarogi,
Ye jindagi khuli kitab nahi hoti.
Jindagi ke gum nasur ban jaye,
To muskurata kaun hai?
Jab dil me lage aag
to bhujata kaun hai?
Ishq ki chot ka kuch,
dil par asar ho to sahi,
Dard cum ho ya jyada
Magar ho to sahi.
Hum me hi thi na koi baat,
Yaad na tumko aa sake,.
Tune hume bhula diya magar,
Hum na tumhe bhula sake.
Aao hum tum sanam,
Milkar ye vada karen,
Tum mere dil me raho,
eMai tere dil me rahu.
Gum mila hai jo mujhe dil lagane se,
Kya kahun mai is jamane se,
Yaad aata hai jab vo pyar ka wada,
Ab mere honth jalate hai muskurane se.
Kaise samjaun mai bala,
In reshmi balon ko,
Chum rahe hai juk kar
Jo tumhare galon ko.

 0 People liked it
0 Ratings


Pyar Mein Tanhaiee Bhi,
Ruswaiee Bhi,
Milti Hai Jag Hasaiee Bhi.
Us Pyar Mein Aata Hai Maza,
Jis Mein Ho Judaiee Bhi.

 0 People liked it
0 Ratings

Previous Page

Post Shayari

Next Page

Showing Hindi Shayari 1741 - 1750 of 3592, Page 175 of 360 pages.