Hindi Shayari

Hindi Shayari - A large collection of Hindi Shayari. We and our regular valuable users regularly add their shayari into Hindi Shayari category as well as in other various shayari categories. So We have a best and huge collection of Hindi Shayari and other shayari messages from various shayari categories in various language.

  
Post Hindi Shayari
Name:
Email:
Category:
Shayari :

Enter the code below shown above

List of Hindi Shayari

Showing Hindi Shayari 1781 - 1790 of 3592, Page 179 of 360 pages.


Kuch tanz bade gehre utar jaate hain
shabd reh jaate hain insaan guzar jaate hain
humne dekhe hain wo farishte pyar k
jo vaada kar k bhi mukar jaate hain
bharte hain hunkaar jo aainey k saamne
zamaane ki ghudki me dar jaate hain
na todo ye dhaaga pyaar ka itraa k
toot kar moti jameen par bikhar jaate hain
samajhte hain hum bhi naasamajh nahi hain
tere fenke huye khanzar kidhar jaate hain.

 0 People liked it
0 Ratings

Chahat ek nagma hai..
Gulab phool hai..
Zameen dharti maa hai..
Dil pyarsa bandhan hai..
Mausum waqt ka ehsaas hai…..
Yaad kisi ka aana, chahat hai,
Chahat phoolon ke gulab ki tarah,
sada mahakane wala ehsaas hai,
Jo zameen aur asman ka pharak paar
kar deta, jo chutki mein/palak chapakte hi,
dil ka rishta jod deta!

 0 People liked it
0 Ratings


Hi Friends,
I am Comeback..
tere liye duniya mein aye hain
tere pyaar mein hi rooksat ho jayeinge
tere liye khushiyan payi hain
tere pyaar mein sab gam bhool jayeinge
teri yaad khusboo bankar ati hai
tere pyaar mein hi khud ko bhool jayeinge
tere liye hi yeh dharkanein hain
tere pyaar mein hi dharakte reh jayeinge
tere liye hi ankhein dekhti hain
tere pyaar mein hi sari duniya dekh jayeinge
tere liye jism mein jaan rehti hai
tere pyaar mein hi ek din fanaah ho jayeinge
tere pyaar mein ek din fanaah ho jayeinge ?..!!

 0 People liked it
0 Ratings


Raat Mein khayaalon mein aati ho tum,
Kabhi saamne aakar bhi dekho
Ham se baatain to roz karti ho tum,
Kabhi hamaari taraf muskuraa kar bhi dekho
Hamaari nazar bahut kuch keh deti hai,
Kabhi hamain nazaron se samajh kar to dekho
Hamse dosti ka rishta hai tumara,
Kabhi ham se dil laga kar to dekho
Hamaari baaton ne tumara dil kai baar behlaya hai,
Kabhi apni baaton se hamain hasaa kar to dekho
Mujhse milkar anjaane mein dil mein basne lagti ho,
Kabhi hamain bhi apne dil mein basaa kar to dekho
Har mushkil raah be asaan ho jaayegi bas,
Ham par aik baar aitbaar kar ke to dekho
Ham tumain zindagi mein har kushi denge,
Bas ek baar ham se pyaar kar ke to dekho
Tumain paane ke liye har imtihaan denge hum,
Hamain kabhi azmaa kar to dekho
Tum kehte ho ke bahut mushkil hai mujhe apnana,
Ek baar hamain apna bana kar to dekho..

 0 People liked it
0 Ratings


Sadme Rah-E-Hayat Ke Muqtasar Naa The
Laikin Tumhari Yaad Se Hum Beqabar Naa The
Shaher-E-Hunar Me Charagaroun Ka Hujoom Tha
Jin Ki Hume Talaash Thi Woh Charah Gar Naa Tha
Sadd Shukr Ki Ek Safar Ka Marhala Hua Tamaam
Sadd Haif Iss Safar Me Bhi Tum Humsafar Naa The
Woh Keh Rahe Hain Aake Humare Mazaar Par
Tum Se Hume Gile The Magar Iss Qadar Naa The
Mehfil Me Dekhne Ko Toh Logoun Ki Bhedd Thi
Laikin Tumhari Bazm Me
Ahel-E-Nazar Naa The
Hum Ne Kahan Diya Nahi Dil Ka Laho.
Hum Kisi Mahaz Jung Pe Seena Supr Naa The.

 0 People liked it
0 Ratings


Apna Be Dard MujhKo Mere Razdar De..
Kuch Apni Zindagi Pe Mujhe Ikhtiar De..
Esa Na Ho Ke Kal Tu Mera Sath Chor De..
Jitna Nibha Ske Mujhe Utna Hi Pyar De...

 0 People liked it
0 Ratings


Tum aayi ho meri zindagi mein
ek kahani bankar,
tum rehti ho meri aankhon mein
raat ki chaandni bankar,
aankhon mein basa ke maine manzil mana hai tumhe,
tum nikal mat jana meri aankhon se
paani bankar.

 0 People liked it
0 Ratings


Ek kasak dil ki dil main dabi rah gayi
Zindagi main tumhari kami rah gayi
In honto par to hansi hi hansi hai
Par aankho main todi si nami rah gayi
Jin sapno ko kabhi dekha tha humne
Woh zindagi wahi par thami rah gayi
Ek kasak dil ki dil main dabi rah gayi
Zindagi main tumhari kami rah gayi...

 0 People liked it
0 Ratings

Previous Page

Post Shayari

Next Page

Showing Hindi Shayari 1781 - 1790 of 3592, Page 179 of 360 pages.