Hindi Shayari

Hindi Shayari - A large collection of Hindi Shayari. We and our regular valuable users regularly add their shayari into Hindi Shayari category as well as in other various shayari categories. So We have a best and huge collection of Hindi Shayari and other shayari messages from various shayari categories in various language.

  
Post Hindi Shayari
Name:
Email:
Category:
Shayari :

Enter the code below shown above

List of Hindi Shayari

Showing Hindi Shayari 171 - 180 of 3592, Page 18 of 360 pages.


Kuch Rishtey Uparwaala Banaata hai,
Kuch Rishte Log Banaate hain,
Par wo, log Bahut Khaas Hote hain,
Jo Bina Rishte ke Koi Rishta Nibhate hain..

 0 People liked it
0 Ratings


Aj bahut yad aa rahi hai
Kyonki akela akela lag raha hain
Badi ghabarahat ho rahi hai
Sari duniya se khatara lag raha hai…

 0 People liked it
0 Ratings


Jisko maine de di apni ye zindagi,
Woh shakhs hi mera qaatil nikla
Wafaparasti main na koi kami ki,
In wafaon se na kuch haasil nikla
Ishq, mohabbat, qasme waade,
In lafzon ka asar uspe baatil nikla
Hum to toofan se darte rahe lekin,
Jisne duboya mujhe, wo saahil nikla !!
——————–

 0 People liked it
0 Ratings

Mai lafzon se kuchh izhar nai karta
Iska matlab ye nai ki mai tujhse pyar nai karta,
Chahta hoon tujhe aaj bhi par
Teri soch me apna waqt bekar nai karta,
Tamasha na ban jaye ye mohhabbat meri
Isliye apne dard ko aasar nai karta,
Mila hai jo kuch khush hoon usi me
Tere liye khuda se kabhi takrar nai karta,
Par kuchh to baat hai teri fitrat me aiye
Zalim warna tujhe chahne ki khata bar bar nai karta

 0 People liked it
0 Ratings


Ishq ka baaki imtihaan aaj bhi hai
dil par tera nishaan aaj bhi hai
tum toh bhool gaye jaake nai duniya me
tere liye koi preshaan aaj bhi hai
log bhoole hai jala tha kisi ka ghar yaha par
magar khandhar ka nishaan aaj bhi hai
jamane ka kya bigda jo lut gaya kisi ka jahan
jamana toh mutmaaeen aaj bhi hai
nibhaya hai tumne khoob wafa ka vaada
meri peeth pe khanzar ka nishaan aaj bhi hai
banaya tha jo tumne hamari kabr-e-ishq pe
wo mehel aalishaan aaj bhi hai
tumne jaani me apne, na kasar kuch rakkha
fir kyu atki hui meri jaan aaj bhi hai
tum toh kehte the k tum bhool gaye ho ranzish
fir kyu meri maut ka saamaan aaj bhi hai

 0 People liked it
0 Ratings


Ik taaza hikayat hai
Sun lo to inaayat hai
Ik shakhs ko dekha tha
Taaron ki tarah ham ne
Ik shakhs ko chaha tha
Apnon ki tarah ham ne
Ik shakhs ko samjha tha
Phoolon ki tarah ham ne
Woh shakhs qayamat tha
Kiya us ki karain baatain
Din us ke liye paida
Aur us ki hi thi raatain
Kam milna kisi se tha
Ham se theen mulaqaatain
Rang us ka shahabi tha
Zulfon main theen mehkaarain
Aankhain theen ke jadoo tha
Palkain theen ke talwaarain
Dushman bhi agar dekhain
Sou jaan se dil haarain
Kuch tum se woh milta tha
Baaton main shabahat main
Haan tum sa hi lagta tha
Shokhi main shararat main
Lagta bhi tumhi sa tha
Dastoor-e-mohabbat main
Woh shakhs hamain ik din
Apnon ki tarah bhoola
Taaron ki tarah dooba
Phoolon ki tarah toota
Phir haath na aaya woh
Ham ne to buhat dhoonda
Tum kis liye chonkey ho
Kab zikr tumahra tha
Kab tum se taqaza hai
Kab tum se shikayat hai
Ik taaza hikaya hai
Sun lo to inayat hai

 0 People liked it
0 Ratings


Unhi ko dhoond rahi hai nigha- e -shouk meri,
jo ban ke ajnabi mehfil mein aaye baithe hai
nighaein neeche kiye sir jhukaye baithe hai,
yehi tou hai jo mera dil churaye baithe hai,
jo raaj chhup nahi sakta churaye baithe hai,
bade hasin tassavvur mein kho gayi hoon main,
ki jaise woh mere pehlu mein aaye baithe hai..

 0 People liked it
0 Ratings

Aasmanon se kaho agar humari udan dekhni ho,
Toa apna kadd aur uncha karle….
Hasinon se kaho agar mohabbat dekhni ho to,
Humse aakar mile…………….

 0 People liked it
0 Ratings

Previous Page

Post Shayari

Next Page

Showing Hindi Shayari 171 - 180 of 3592, Page 18 of 360 pages.