Hindi Shayari

Hindi Shayari - A large collection of Hindi Shayari. We and our regular valuable users regularly add their shayari into Hindi Shayari category as well as in other various shayari categories. So We have a best and huge collection of Hindi Shayari and other shayari messages from various shayari categories in various language.

  
Post Hindi Shayari
Name:
Email:
Category:
Shayari :

Enter the code below shown above

List of Hindi Shayari

Showing Hindi Shayari 1831 - 1840 of 3592, Page 184 of 360 pages.


Tera khawab hoon tou aankho mein basaa le mujh ko,
Tera chahne wala hoon, apna diwana bana le mujh ko,
Main pathar tha,tune choo kar heera bana diya hai,
Dil mein chupaa ke rakhna, koi tujh se na chura le mujh ko.

 0 People liked it
0 Ratings


Mere pyare dostoan,
abhi kuch mahine pehle he maine yeh group join kiya hai, bahut accha lagta hai
aap sab ke sher padh kar..
Aaj mein tumhe apne college ke dinoan ka ek waqaya batata hoan, mein aur mere
dostoan nai mil kar ek mushayare ka programme banaya. Jab hum logoan nai hum
mein se ek dost ke ghar per apna programme shuru kiya toa, oos ke pitaji nai
hume apne ghar se ootha kar bahar phenk diya, tab hum door ek jungle mein soch
rahe they ki ab kya karein, tab suno ek nai mujh se kya kaha
” quadar nahi shayaroan ki mere ghar mein,
chalo karein mushayara tere ghar mein”
Yeh soun kar maine bhi eis ka jawaab shayarana andaaz mein kuch eis tarha
diya
” Pitayi hoa gayi humari tere baap se,
ab kya kasar reh gayi pitne ki mere baap se” (aaiye, ama yeh bhi koi baat
huyi)

 1 People liked it
0 Ratings


Kanto main phulonko khilte hue dekha hai,
Tufano main kashtiyonko sambhalte hue dekha hai,
Andhero ko ujalon main dhalte hue dekha hai,
Hamane waqt ke saath logo ko badalte hue dekha hai,
Kanto main phulo ko.
Jab jab bhi aaye kisi ki yaad,
jiske bina dil rahetatha hardam udas,
jab wo aakar mila bahot dino ke baad,
Tab aasuonko bhi kushiyonmain badalte hue dekha hai,
Kanto main phulo ko
Apne haq ke liye bar bar insano ko ladate hue dekha hai,
Hamane kai acche logonko buri sangat main padate hue dekha hai,
Budhe lachar Maa Baap se jawan bete aur bahu ko,
zagadate hue dekha hai,
Banate bante kam ko kai bar bigadate hue dekha hai,
Kanto main phulo ko
Hamane kai baar apne matalab ke liye,
khun ke rishton ko bhi tutate hue dekha hai,
Apni jeb bharne ke liye dusro ko lootate hue dekha hai,
Aur pakade jane par choro-jebkataronko marte dum tak,
pitate hue dekha hai,
Apne hi desh ke logonko dharm aur jati ke naam pe,
batate hue dekha hai,
Kanto main phulo ko.
BHARAT DESH hai hamara,
Jag main hai sab se pyara,
jab jab bhi kabhi ispar aanch aayee kisiki,
Tab tab desh ke shur-veer jawano ko,
Matrubhumi ki raksha main Amar hote hue dekha hai.
JAI HIND JAI BHARAT

 0 People liked it
0 Ratings


Woh Poochta hi raha har falsafe ke mayne
Zindagiii bahut samajhdar hai,
Sab kuch loot liye us katil nigah ne,
Aastin uski abhi bhi be daag hai.

 0 People liked it
0 Ratings


Ajkal bade udas rhate hain
Kyaa kare,,,,hum hain bade ajib sabhi kahate hain..
Pata nahi kyu tanhaai me rahne lage..hum
Isilia ajkal humien sabhi devdas kahate hain,,,,

 46 People liked it
0 Ratings


Unhe kya malum,ki gum kya hota hai .
Tuta hua dile-humdum kya hota hai.
Unhe to bus aata hai sirf aur sirf jakhm dena.
Unhe kya malum ki,marham kya hota hai.
Ve to hume mitakar fulon pe so rahe hai.
Ye hum se puchiye ki chasm nam kya hota hai.
Yun to lakhon karate hai lakhon se dosti,
Magar hum se pucho masum ki sanam kya hota hai.

 0 People liked it
0 Ratings


Main kisi aur ka hoon itna bata kar roya
Wo mujhe mehndi lagay hath dikha kar roya
Mujhe anjaam-e- mohabbat nahi mäloom hargiz
Ye kaha aur mujhe seenay se laga kar roya
Jo mujhe zabt ki talqeen kiya karta tha
Wo zamänay ko mera haal suna kar roya
Aansu ban kar nikal na jaun kahin, is Dar se
Apne ashkoon ko wo aankhoon mein chhupa kar roya
Wasl ka aakhri lamha jo muyassar tha hameen
Usi lamhay mein wo sadiyoon ko sama kar roya..

 0 People liked it
0 Ratings

Dil Cheez Hai Kya Jaana
Yeh Jaa'n Bhi Tumhari Hai
Dil Cheez Hai Kya Jaana
Yeh Jaa'n Bhi Tumhari Hai
Teri Baahon Main Dam Niklay
Teri Baahon Main Dam Niklay
Hasrat Yeh Humari Hai
Dil Cheez Hai Kya Jaana
Yeh Jaa'n Bhi Tumhari Hai
Roti Hoon Tadapti Hoon
Bujhti Hi Nahin Zaalim
Roti Hoon Tadapti Hoon
Bujhti Hi Nahin Zaalim
Roti Hoon Tadapti Hoon
Bujhti Hi Nahin Zaalim
Roti Hoon Tadapti Hoon
Bujhti Hi Nahin Zaalim
Ik Raat Judai Ki
Ik Raat Judai I
So Raat Say Bhari Hai
Dil Cheez Hai Kya Jaana
Yeh Jaa'n Bhi Tumhari Hai
Phoolon Ki Qadar Poocho
Us Dard Kay Maaray Say
Phoolon Ki Qadar Poocho
Us Dard Kay Maaray Say
Phoolon Ki Qadar Poocho
Us Dard Kay Maaray Say
Phoolon Ki Qadar Poocho
Us Dard Kay Maaray Say
Jis Shakhs Nay Kaanton Pay
Jis Shakhs Nay Kaanton Pay
Ik Umer Guzari Hai
Dil Cheez Hai Kya Jaana
Yeh Jaa'n Bhi Tumhari Hai
Ghum Ishq-O-Mohabbat Kay
Chalo Pooch Layn Sadiq Say
Ghum Ishq-O-Mohabbat Kay
Chalo Pooch Layn Sadiq Say
Ghum Ishq-O-Mohabbat Kay
Chalo Pooch Layn Sadiq Say
Ghum Ishq-O-Mohabbat Kay
Chalo Pooch Layn Sadiq Say
Ik Bazi Mohabbat Ki
Ik Bazi Mohabbat Ki
Us Shakhs Nay Haari Hai
Dil Cheez Hai Kya Jaana
Yeh Jaa'n Bhi Tumhari Hai
Teri Baahon Main Dam Niklay
Teri Baahon Main Dam Niklay
Hasrat Yeh Humari Hai
Dil Cheez Hai Kya Jaana
Yeh Jaa'n Bhi Tumhari Hai

 0 People liked it
0 Ratings

Previous Page

Post Shayari

Next Page

Showing Hindi Shayari 1831 - 1840 of 3592, Page 184 of 360 pages.