Hindi Shayari

Hindi Shayari - A large collection of Hindi Shayari. We and our regular valuable users regularly add their shayari into Hindi Shayari category as well as in other various shayari categories. So We have a best and huge collection of Hindi Shayari and other shayari messages from various shayari categories in various language.

  
Post Hindi Shayari
Name:
Email:
Category:
Shayari :

Enter the code below shown above

List of Hindi Shayari

Showing Hindi Shayari 1871 - 1880 of 3592, Page 188 of 360 pages.


ek shayar ki faryaad suno, uski zubani,
dard-e-dil ki dastaan suno, uski zubani|
dil laga baitha tha woh, ek ajnabi se,
adhure pyar ki nayaab kadi suno, uski zubani|
ek dil hai, ek dilbar hai, ek gulistaan,
is sehere ki rudali suno, uski zubani|
in tanhaiyon ki gali mein, kaisa shor hai barpa,
koi diljala roya hai, uski zubani|

 0 People liked it
0 Ratings


Kohre ka jab dhundhla kambal odhe subah lautegi
Uni shal main simti ladki fir se mujhko sochegi
Sham Udashi ki hogi aur jhoom ke barish barsegi
Kab ye maine socha tha wo aisi rat main bichhregi
Aaj shajar ki shakh hari hai kitne parindo thahre hue hain
Ek din aisa hoga sukhi, dal parinde dhundhegi
Ja e ‘Avinash’ Uss se kahna duniya mujhse jeet gayi hai
Rel ke chhut jane par bhi jo, rasta mera dekhegi
Bachna nadiya barish ke iss pyare pyare mausham se tu
Aisa karegi tujhpe sitam tu, apna sahil dhundhegi..

 0 People liked it
0 Ratings


har jageh dhoondha, har ghar dhoondha
sukh ka sangam mila na sach ka saath
na door na paas yahi mere sach mere saath
chale har saans wahi akela waqt ke saath.
waqt aisa kata ki lage kal ki baat
ek nazar badli chuta sab ka saath
na sukh ka saath mila na sach ka saath
nishan na mile dhool har kadam ke baad.
Kaise yaad kiya par mein na mila
Mein tu ek yaad tha ju tumne bhula diya
na door na paas yahi mere sach mere saath
Mil sake na Azhar har ek kahani ke baad.

 0 People liked it
0 Ratings


Ab bhi maerae mazaar pae aatae hain kuch loog
hatta do is ki turbat ko kehtain yeh hain loog
is ka wajood ishq thaa is ki rooh ishq thee
is daur ka yeh kais(majnoon) thaa kehtain hain ab bhi yeh loog
maerii turbat ko hatta kar main mit nahi sakta
maera naam ishq hain taerae dil sae nahi jaa saktaa.

 0 People liked it
0 Ratings


Tujhe dekhe bina teri tasweer bana sakta hoon,
Tujhse mile bina tera haal bata sakta hoon,
Hai meri dosti mein itna dum,
Teri aankh ka aansoon aapni aankh se gira sakta hoon !!
Kya kahun tujhe khwab kahun to toot jayega.
dil kahun to bikhar jayega,
aa tera naam zindagi rakh dun,
maut se pehle to tera saath chhut na payega.
kaash wo tera aakhiri khat aakhiri na hota
bhooli nahi hai tu mujhe ye ehsaas to rehta
main tanha to hota magar itna bhi na hota
har khat tera wajood banke mere paas to rehta
shayad meri mohabbat me ab koi asar na raha
ab na hoti hongi teri aakhein nam mere liye
shayad tere dil me meri yaadon ka basar na raha
ab na uthaate honge tere haath kalam mere liye
lekin lag raha hai mujhko aaj dil ki baaton se
jaise kar rahi hai tu bas abhi yaad mujhe
likh rahi hai khat koi apne mulayam haaton se
jo aake milga bas chand roz ke baad mujhe
subah guzar jaayegi shaam ke intezaar me
aur shaam nayi subah ke intezaar me guzar jaayegi
zindagi guzar jaayegi tere paigaam ke intezaar me
us ke baad kya hoga bas maut chali aayegi
is aas me chala jaaunga main ye jahan chhodkar
ki shayad mera marna hi kuchh kaam aayega
shayad chali aaye tu us pal mere paas daudkar
jis pal tere paas meri maut ka paigaam aayega
kaash wo tera aakhiri khat aakhiri khat aakhiri na hota.
surkh aankho se jab woh dekhte hai..
hum ghabrakar aankhe jhuka lete hai..
kaun milaye un aankho se aakhe..
suna hai woh aakho se apna bana lete hai.!
Kash Tu samaj paata k pyaar kitna hai,
Ose jataane me dard itna hai,
Log ikrar karke bhi aasu bahaaya karte hai,
Hum izhaar kiye bina khoon se nahaaya karte hai,
Kash Tu samaj paata.
Manzile bhi uski thi, Raasta bhi uska tha,
Ek main akela tha, Kafila bhi uska tha,
Saath-saath chalne ki soch bhi uski thi,
Fir raasta badalne ka faisla bhi uska tha.
Aaj kyo akela hoon, Dil sawal karta hai,
Log to uske the, Kya KHUDA bhi uska hai !
Guzarte lamho me sadiya talash karta hoon,
Ye meri pyas hai nadiya talash karta hoon,
Yahan to log ginate hai khubiya apni,
Me apne aap me kamiya talash karta hoon.
Kya Khein Gham Ke Mele Bhout Hai
Zindagi Main Jhamele Bhout Hai
Kal Bhi Tanhaiyan Das Rahi Thi
Aaj Bhi Hum Akele Bhout Hai
Doston Aik Tabassum Ki Khatir
Ranjo Gham Hum Ne Jhele Bhout Hai
Kisko Apna Khen Hum Furqan
Is Jhan Main Akele Bhout Hai
Mana mere nasseb mein tu nahin
Teri muhobaat magar meri taqdeer hai
Nahin kismet mein tere surk labon ka bosa
Nigahon se teri kadam bossi meri taqdeer hai
Mana mere duaon ki tabeer nahin
Teri ibadat, magar meri taqdeer hai

 0 People liked it
0 Ratings


Tabeer jo Mil jati to ik khwab Bahut tha.
Jo shaks ganwa Baithay hain Nayab Bahut tha.
Me kaise Bacha leta Bhala kashti-e-dil ko
Darya-e-Mohabbat me sailab Bahut tha..

 0 People liked it
0 Ratings


Hi frndzzzzz..I am new for this site . I hope u will find it good . some lines written by me.
Humne tamanna ki tujhe paane ki
zamane ne tumhe paane na diya
socha zindage tanha guzar du
ise bhi zamane ne gavara nahi kiya
aayi jo tum mere khwabo me
mohabbat ne meri tumhe jaane na diya.
Kaha apnaane ko auro ko
per teri yaado ne gavara na kiya
kahi tadap rahe is dard se is kadr
k pahle is dard me guzara na kiya
tute chuka tha jis lamha me
us lamha kisi ne sahara na diya.

 0 People liked it
0 Ratings


baat kam kiijiye, zahaanat ko chhupaate rahiye
ajnabi shahar hai yeh, dost banaate rahiye
dushmanii laakh sahii, khatm na kiijiye rishta
dil mile yaa na mile haath milaate rahiye
ye to chehre ka faqat aks hai tasviir nahiiN
is pe kuchh rang abhi aur chaDhaate rahiye
Gham hai aavaaraa akele meN bhaTak jaataa hai
jis jagah rahiye vahaaN milte milaate rahiye
jaane kab chaaNd bikhar jaaye ghane jangal meN
apne ghar ke dar-o-diivaar sajaate rahiye.

 0 People liked it
0 Ratings

Previous Page

Post Shayari

Next Page

Showing Hindi Shayari 1871 - 1880 of 3592, Page 188 of 360 pages.