Hindi Shayari

Hindi Shayari - A large collection of Hindi Shayari. We and our regular valuable users regularly add their shayari into Hindi Shayari category as well as in other various shayari categories. So We have a best and huge collection of Hindi Shayari and other shayari messages from various shayari categories in various language.

  
Post Hindi Shayari
Name:
Email:
Category:
Shayari :

Enter the code below shown above

List of Hindi Shayari

Showing Hindi Shayari 1881 - 1890 of 3592, Page 189 of 360 pages.


Samay ne jab bhi andhero se dosti ki hai
Jala ke apna hi ghar hamne roshni ki hai
Saboot hai mere ghar me vo spasht dhabbe
Jahan kabhi ujjalo ne khudkhushi ki hai..

 0 People liked it
0 Ratings


Zindagi Ki Raah Me Khud Ko Akela Mat Samajhna doston
Aur Bhi Bohot Hain Jo Is Shor o Ghol Me Tanha Hain.
——————–

 0 People liked it
0 Ratings


Ho Chuki Mulakat Aabhi Salaam Baki Hai
Tumhare Naam Ki Do Ghut Sharaab Baki Hai
Tumko Mubarak Ho Khusiyoon Ka Shamyaana
Mere Naseeb Me Aabhi Do Gaz Zameen Baki Hai
Vijay
shayar hum baney
Ham Aaj Shayar Hai Tumhe Shayari Banaya
Dil Hamara Hai Magar Dilbar Tumhe Banaya
Dukhi Hum Hai Magar Sukhi Tumhe Banaya
Tere Pyar Ne Aaj Mujhe Kya Se Kya Banaya
greetings

 0 People liked it
0 Ratings


Tujhe dekhe bina teri tasweer bana sakta hoon,
Tujhse mile bina tera haal bata sakta hoon,
Hai meri dosti mein itna dum,
Teri aankh ka aansoon aapni aankh se gira sakta hoon !!
Kya kahun tujhe khwab kahun to toot jayega.
dil kahun to bikhar jayega,
aa tera naam zindagi rakh dun,
maut se pehle to tera saath chhut na payega.
kaash wo tera aakhiri khat aakhiri na hota
bhooli nahi hai tu mujhe ye ehsaas to rehta
main tanha to hota magar itna bhi na hota
har khat tera wajood banke mere paas to rehta
shayad meri mohabbat me ab koi asar na raha
ab na hoti hongi teri aakhein nam mere liye
shayad tere dil me meri yaadon ka basar na raha
ab na uthaate honge tere haath kalam mere liye
lekin lag raha hai mujhko aaj dil ki baaton se
jaise kar rahi hai tu bas abhi yaad mujhe
likh rahi hai khat koi apne mulayam haaton se
jo aake milga bas chand roz ke baad mujhe
subah guzar jaayegi shaam ke intezaar me
aur shaam nayi subah ke intezaar me guzar jaayegi
zindagi guzar jaayegi tere paigaam ke intezaar me
us ke baad kya hoga bas maut chali aayegi
is aas me chala jaaunga main ye jahan chhodkar
ki shayad mera marna hi kuchh kaam aayega
shayad chali aaye tu us pal mere paas daudkar
jis pal tere paas meri maut ka paigaam aayega
kaash wo tera aakhiri khat aakhiri khat aakhiri na hota.
surkh aankho se jab woh dekhte hai..
hum ghabrakar aankhe jhuka lete hai..
kaun milaye un aankho se aakhe..
suna hai woh aakho se apna bana lete hai.!
Kash Tu samaj paata k pyaar kitna hai,
Ose jataane me dard itna hai,
Log ikrar karke bhi aasu bahaaya karte hai,
Hum izhaar kiye bina khoon se nahaaya karte hai,
Kash Tu samaj paata.
Manzile bhi uski thi, Raasta bhi uska tha,
Ek main akela tha, Kafila bhi uska tha,
Saath-saath chalne ki soch bhi uski thi,
Fir raasta badalne ka faisla bhi uska tha.
Aaj kyo akela hoon, Dil sawal karta hai,
Log to uske the, Kya KHUDA bhi uska hai !
Guzarte lamho me sadiya talash karta hoon,
Ye meri pyas hai nadiya talash karta hoon,
Yahan to log ginate hai khubiya apni,
Me apne aap me kamiya talash karta hoon.
Kya Khein Gham Ke Mele Bhout Hai
Zindagi Main Jhamele Bhout Hai
Kal Bhi Tanhaiyan Das Rahi Thi
Aaj Bhi Hum Akele Bhout Hai
Doston Aik Tabassum Ki Khatir
Ranjo Gham Hum Ne Jhele Bhout Hai
Kisko Apna Khen Hum Furqan
Is Jhan Main Akele Bhout Hai
Mana mere nasseb mein tu nahin
Teri muhobaat magar meri taqdeer hai
Nahin kismet mein tere surk labon ka bosa
Nigahon se teri kadam bossi meri taqdeer hai
Mana mere duaon ki tabeer nahin
Teri ibadat, magar meri taqdeer hai

 0 People liked it
0 Ratings


Ranjish hi sahi dil ko dukhane ke liye aa
Aa fir se mujhe chhor jane ke liye aa
Kis kis ko batayenge judayi ka sab-ab hum
Tu mujhse khafa hai to jatane ke liye aa
Kuchh to mere didare mohababat ka bharam rakh
Tu bhi to kabhi mujhko manane ke liye aa
Mana ki mohababat ka chhupana hai mohababat
Chupke se kisi roz batane ke liye aa
Jaise tujhe aate hain na aane ke bahane
Aise hi kisi roj na jane ke liye aa.

 0 People liked it
0 Ratings


Tum bhulakar to dekho ek baar,
zindagi ki har khushi tumse rooth jaayegi.
Sochoge jab bhi apne baare mein,
khud-ba-khud meri yaad aa jaayegi.
-Aman

 0 People liked it
0 Ratings


Helloo every body,
mauka na kisi ka jaye
jaan jaye to jaye ..
dil ki har baat adhoori hain abhi
mauka bhi milta hain kabhi kabhi
wo samjhte hain main mauka
gava deta hoon
areey unhe kya pata
main har baar mauka
unko deta hoon

 0 People liked it
0 Ratings


Dard Kiya Hota Hai Batayenge Kisi Roz
Kamaal Ki Ghazal Sunayenge Tumhe Kis Roz
Thi Unki Ye Zidd Ki Mein Jaoun Unko Bulane
Mujhe Wahm Tha Woh Mujhko Bulayenge Kisi Roz
Allah Qasam Mein Ne Soncha Bhi Nahi Tha
Woh Itna Mere Dil Ko Dukhayenge Kisi Roz
Har Roz Aaiyana Se Ye Poochti Hoon Mein
Kya Ruqq Pe Tabbasum Bhi Sajayenge Kisi Roz
Udne Do in Parindoun Ko Azad Fiza Me
Tumhare Honge Toh Lout Aayenge Kisi Roz
Apne Sitam Ka Dekh Lena Qud Hi Asar Tum
Zakhm-e-Jigar Dikhayenge Tumhe Kisi Roz
Jo Zahar Peete Rahe Yunhi Hum
Hum Keh Rahe Hain Jaan Ganwayenge Kisi Roz

 0 People liked it
0 Ratings

Previous Page

Post Shayari

Next Page

Showing Hindi Shayari 1881 - 1890 of 3592, Page 189 of 360 pages.