Hindi Shayari

Hindi Shayari - A large collection of Hindi Shayari. We and our regular valuable users regularly add their shayari into Hindi Shayari category as well as in other various shayari categories. So We have a best and huge collection of Hindi Shayari and other shayari messages from various shayari categories in various language.

  
Post Hindi Shayari
Name:
Email:
Category:
Shayari :

Enter the code below shown above

List of Hindi Shayari

Showing Hindi Shayari 181 - 190 of 3592, Page 19 of 360 pages.


Haatheli par jise likhti mitati ho
Woh naam mera hi to hai
Mehndi jiske naam ki rachai hai tune
Woh naam mera hi to hai
Sunke jisko palke teri jhuk jaati hai
Woh naam mera hi to hai
Dil pe tere jo naam likha hai
Woh naam mera hi to hai
Tere honthon pe jo kaanp raha hai
Woh naam mera hi to hai
Dhadkan mein jo teri gunj raha hai
Woh naam mera hi to hai
Apna naam jisse joda hai tune
Woh naam mera hi to hai
Tere naam ke bina jo adhura hai
Woh naam mera hi to hai
Woh naam Ashiqe ka hi to hai

 0 People liked it
0 Ratings


Sadme Rah-E-Hayat Ke Muqtasar Naa The
Laikin Tumhari Yaad Se Hum Beqabar Naa The
Shaher-E-Hunar Me Charagaroun Ka Hujoom Tha
Jin Ki Hume Talaash Thi Woh Charah Gar Naa Tha
Sadd Shukr Ki Ek Safar Ka Marhala Hua Tamaam
Sadd Haif Iss Safar Me Bhi Tum Humsafar Naa The
Woh Keh Rahe Hain Aake Humare Mazaar Par
Tum Se Hume Gile The Magar Iss Qadar Naa The
Mehfil Me Dekhne Ko Toh Logoun Ki Bhedd Thi
Laikin Tumhari Bazm Me
Ahel-E-Nazar Naa The
Hum Ne Kahan Diya Nahi Dil Ka Laho.
Hum Kisi Mahaz Jung Pe Seena Supr Naa The.

 0 People liked it
0 Ratings


Mujhe bhul jaana agar ho sake
Mat yaad karna agar ho sake
Rahe yaad kyon bhul jaane ki baat
Na kabhi aansu bahana agar ho sake
Mujhe maaf karna mere humsafar
Kahin kho gaya main tumhe kho kar
Maine tumhe gam diya hai magar
Sada muskurana agar ho sake
Mat yaad karna agar ho sake ..

 0 People liked it
0 Ratings


Aisa nahi ki aap ki yaad aati nahi,
Khata sirf itni ki hum batate nahi,
DOSTI aap ki anmol hai hamare liye,
Samjte ho aap isliye jatate nahi.
——————————–
Mohabbat ka matlab intzaar nahi hota,
Har kisi ko dekhna pyar nahi hota,
Yu to milta hai roz mohabbat-e-paigam,
Pyar hai zindgi jo har baar nahi hota !!!
——————————–
Dekhi jo surat aapki
Ye dil bechara machal gaya
Rakhna hifajat se apni adaa ko
Adaa pe aapki ye dil ghayal ho gaya
——————————–
Ek pyari si kali thi jo phool ban gayi
Ek nanhi si muskan thi jo hasi ban gayi
Ye choti choti si mulakat ab toh pyar ban gayi
Aur aapka har pal saath toh jaise bahar ban gayi
——————————–
Hichkiyon se ek baat ka pata chalta hai
Ki koi hume yaad toh karta hai
Baat na kare toh koi gham nahi
Par Koi aaj bhi hum par apne
Kuch Lamhe barbad toh karta hai
——————————–
Nazrein mili toh laga jaise sapna
Pass dikhi toh laga koi apna
Dil ko aapse bas yehi hai kehna
Ki aapka pyar toh hai dil ka gehna
——————————–
Tammana-e-ishq to hum bhi rakte hain,
Kisi ke dil me hum bhi dhadakte hain,
Na jane woh kab milenge
jin ke liye hum roz tadapte hain.
——————————–
Palkon me qaid kuchh sapne hai,
Kuchh begane kuchh apne hai,
Na jane kya KASHISH he in khayalon mai
woh gair hoke bhi kitne apne hai.

 0 People liked it
0 Ratings


Ye dua hai aatish-e-ishq mein tu bhi meri tarah jala kare,
Na ho khushi naseeb tujhe tere dil mein dard utha kare,
Tere saamne tera ghar jale tera bas chale na bujha sake,
Tere dil se nikle yahi dua ke na ghar kisi ka jala kare.
Har nami me kuch kami tho rahegi,
Aankhe kuch shabnami tho rahegi,
Zindagi ko hum kitna bhi savare,
Bin aapke kuch kami tho rahegi.
Humse Apna Ghar Kisi Tarah Sajaya Na Gaya,
Jindgee Tujhko Bhi Mehmaan Banaya Na Gaya,
Laakhon Dilchaspi Ke saaman Thye Duniyaan Me Magar,
Ek Lamha Bhi Tujhe Dil Se Bhulaya Na Gaya.
Kabi yaadein kabi sapne suhane bhej deta hay
mujhe aksar wo yadon k khazane bhej deta hy
Me jab guzre dino ki talkhiyon ko bhool jata hun
mujhe phir koi beetay zamane bhej deta hy
kabhi qasmein kabhi ehd-e-wafa ka hosla dey kar
mujhe wo zinda rehne k bahane bhej deta hay..!
Main hi thaam sakun haath unka,
Mujh pe itni ibaadat si karde,
Wo reh na paaye ek pal bhi mere bina,
Aye khuda tu unko meri aadat si karde…..
Itnay majboor hain taqdeer k Hathon….
Na Usay panay ka Hosla hai,
Na usay khonay ka zarf…...

 0 People liked it
0 Ratings

Phoolon se jaise ye bhavrey Jaise mehak chura rahein hain;
Chand ko jaise yeh badal Chupa rahein hain;
Andhere hajaron jaise Roshni ko mita rahein hain;
Shayad Hum Dur Jaa rahe hain….

 0 People liked it
0 Ratings


Mujhe bhool jana agar ho sake
Na phir yaad aana agar ho sake
Mera pyar gujare jamane ki baat
Rahe yaad kyo bhool jane ki baat
Nahio koi aasoon bahane ki baat
Na aasoon bahan agar ho sake
Mujhe maaf karna mere humsafar
Kahin kho gaya main tujhe chodkar
Tumhe maine aasoon diye hai magar
Sada muskurana agar ho sake

 0 People liked it
0 Ratings


Saath chalne main jo maza hota
Woh humain bhi kabhi mila hota
Yeh hi hasrat rahi hamari faqat
Saath apne koi chala hota
Hum bhatakte rahe the raahon mein
koi rasta pata chala hota
Thaam leta humain bhi barh ke koi
Haath hum ko koi mila hota
Hum ulajhte nahi zamane se
Ek jo Humsafar mera hota
Hum na thakte safar mein gar
Saath apne koi chala hota..

 0 People liked it
0 Ratings

Previous Page

Post Shayari

Next Page

Showing Hindi Shayari 181 - 190 of 3592, Page 19 of 360 pages.