Hindi Shayari

Hindi Shayari - A large collection of Hindi Shayari. We and our regular valuable users regularly add their shayari into Hindi Shayari category as well as in other various shayari categories. So We have a best and huge collection of Hindi Shayari and other shayari messages from various shayari categories in various language.

  
Post Hindi Shayari
Name:
Email:
Category:
Shayari :

Enter the code below shown above

List of Hindi Shayari

Showing Hindi Shayari 1891 - 1900 of 3592, Page 190 of 360 pages.


Kon rakh ta hai yaad naamo ko,
logh chaharo ko bhool jatey hai,
tum samader kee baat karti ho,
logh ankho mein doob jatey hai,
Mohabat jisney ker ni ho.
wo mohabat kya janey,
Mera dil tumhi ab bhi chahata hai.
teray dil ko khuda jaanay
aaj subeh ek FM 91 pe suna tha, ye bhi sahi hai..
Kash me pani kaa ghada hotaaaaaa
kaas me pani ka ghada hotaaa
To pani se bhara hota
Teri kamar se laga hota..
aur teri baho me pada hota
vaaah vaah

 0 People liked it
0 Ratings


Zakham Itne Gahre the Ki Ezhaar Kya Karthe
Hum Khudh He Nishana Ban Gaye Kisi Pe Waar Kya karthe,
Marne Ke Baad Bhi Khuli Rahi Aankhe,
Aab Tum he Batao Iss Se Zayada Intezar kya Karthe.

 0 People liked it
0 Ratings


Meri jindgi hai wo fir kyu na har pal ko je le
meri dhadkan hai wo to kyu na ye dil dhadke
meri duniya hai wo fir kyu na aasma si chamke
mera chaman hai wo fir kyu na gulaab si mahake
meri aahat hai wo kyu na payal si chhamke
mera sangeet hai wo kyu na koyal si kooke..

 0 People liked it
0 Ratings


Tera khawab hoon tou aankho mein basaa le mujh ko,
Tera chahne wala hoon, apna diwana bana le mujh ko,
Main pathar tha,tune choo kar heera bana diya hai,
Dil mein chupaa ke rakhna, koi tujh se na chura le mujh ko..

 0 People liked it
0 Ratings


YEH JO ZINDAGEE KI KITAAB HAI …….!!!!
Yeh jo Zindagee ki kitaab hai, yeh kitaab bhi kya kitaab hai
Kahin ik haseen sa khawab hai, kaheen jaan leva azaab hai
Kahin aansoon ki hai daastaan, kahin muskurahaton ka bayaan
Kai chehray is mein chupay huey, ik ajeeb sa yeh naqaab hai
Kahin kho dia , kahin paa liya, kahin ro liya, kahin gaa kya
Kahin cheen leti hai her khushi, kahin meherbaan be hisaab hai
Kahin chaaon hai kahin dhoop hai, aur kaheen koi roop hai
Kahin barkaton ki hain baarishein, kahin tashnagi be hisaab hai

 0 People liked it
0 Ratings


Apne haathon se kaheen mera naam likh dena.
Tum du’a mat maangna sirf du’a likh dena.
Iss qadar zamane ne kar diya badnaam mujko.
Zinda rahoon to jeene ki saza likh dena.
Main rote huve dost ko manaoo kaise.
Roothne wale yeh meri khata likh dena.
Juda ho ke tujh se jee lenge.
Mere makhmali haathon se apni ek ada likh dena.
Tum kehte thay tere bin jee na sakengay.
Akele kaise jee rahe ho zara likh dena.
Kar ke mujhko deewana jaa rahe ho kyon.
Kaise ki thi Dosti ki ibtida likh dena.
Agar teri nazron mein ye sab jurm hai.
To tum apni taraf se koi saza likh dena.
LOVE YOU TILL MY LAST BREATH ESCAPES MY LIPS
ABRAR AHMED

 0 People liked it
0 Ratings


Apne Karam se wo mera muqaddar bana gaye
katre ko 1 pal me samundar bana gaye
phoolo sa najuk tha dil mera
itna tadpaya k pathar bana gaye.

 0 People liked it
0 Ratings


hi this is amjad khan
aapki shayari bahut pasannd aayi
meri taraf se kuch chand shayari pesh karraha hu
ager pasand aaye to mail karna ok
Amjad
dil me intezar ki lakhir chod jayenge
aankhonme yaadonki nami chod jayenge
dhoondte phiroge iss zindegi me hame
iss khader ek dost ki kami chod jayenge
dil ki basti bikhar gayi hoti
rooh ke zakhm bhar gaye hote
zindegi aapki amanat hai
warna hum kabke margaye hote
ok bye

 0 People liked it
0 Ratings

Previous Page

Post Shayari

Next Page

Showing Hindi Shayari 1891 - 1900 of 3592, Page 190 of 360 pages.