Hindi Shayari

Hindi Shayari - A large collection of Hindi Shayari. We and our regular valuable users regularly add their shayari into Hindi Shayari category as well as in other various shayari categories. So We have a best and huge collection of Hindi Shayari and other shayari messages from various shayari categories in various language.

  
Post Hindi Shayari
Name:
Email:
Category:
Shayari :

Enter the code below shown above

List of Hindi Shayari

Showing Hindi Shayari 1981 - 1990 of 3592, Page 199 of 360 pages.


Dil ko Dil se Churaya aapne
Door hote hue bhi rishta nibhaya aapne..
Kabhi Bhool nahi payenge hum aapko..
kyoki yaad rakhna hi sikhaya aapne.

 1 People liked it
2 Ratings


Mere is shehar ka ek chehra hain tune dekha
Par yahan hain kitne chehre
Yeh tune na hain socha
Har rang har dhang
Har kisam ke log hain yahan
Koi apna zindagi lele
To koi begaana zindagi de jaaye yahaan
Bahut dekha is shehar ko paraayon ki nazar se
Bb ise bhi pyar ki nazar se dekh
Ki yeh bhi hain tarasta rahaa
Dhoondh rahaa apnese sheharwaalon ko yahan.

 0 People liked it
0 Ratings


Deepika
Pyari si, meri nanhi (friend) pari
Neel-gagan me tairti megh-mrig-shavika
Ya dharaa par utarti koi neel-pari
Kesh jaise Benaras par utarti saanjh
Aankhe jaise jheel me tairti deep-pankti
Maadak haala jaise laal raseele adhar
Madhu-smit adharo se jhankti dhawal dant-pankti
Pratimaan saundarya ke sab ho gaye purane
Kahan khoju misaal tumhare is deept roop kee
Adwiteey ho tum, tumhara rang, tumhara roop
Tum samaan hi ho tum, tumsa koi nahi.

 0 People liked it
0 Ratings


Mujh se mera kya rishta hai har ek rishta bhool gaya
itne aaine dekhe hain k apna chehra bhool gaya
Ab to yeh bhi yaad nahee hai farq tha kitna dono main
Us ki baatein yaad raheen aur us ka lehja bhool gaya
Pyasi dharti k hothon per mera naam nahee to kya`
Main woh baadal ka tukda hoon jis ko dariya bhool gaya
duniya wale kuch bhi kahein per apni to majboori hai doston
Uski gali jab yaad aayi hai ghar ka rasta bhool gaya..

 0 People liked it
0 Ratings


sharab sharir ko khatam karti hai
sharab samaj ko khatam karti hai
aao aaj is sharab ko khatam karte hai
ek botal tum khatam karo ek hum khatam karte hai.
Dil mein ek dard liye jiye ja raha hoon,
Teri mohabbat ka jaam piye ja rahan hoon,
Na chahte huye bhi ye kaam kiye jaa raha hoon,
Na jane khud ko kaun si manzil par liye ja raha hoon.
Doodh Mein Uria, Mineral Water Mein Castic Soda,
Pepsi Aur Coke Mein Pesticide, Yani Pani Wani Bhi Kharab,
Ab Hum Kya Kare, Pure Bachi Bhi Hai To Sirf Yeh Sharab..
Botal Chupa dena kafan mein meri
Shamshan mein piya karunga
Jab mangega hisab khuda ;
To use bhi peg bana kar diya karunga.

 0 People liked it
0 Ratings


kyu tum bin tum pe aitbaar hota hai
kyu ankhein band kar ke hi deedar hota hai..
kyu meri dhadkno ka unke dil ke sath eqraar hota hai..
hum kaise maan ley ai khuda is qadar pyar hota hai..
kyu unke bagair mera har pal beqar hota hai.
kyu unko milne ke liye mera dil har pal beqrar hota hai..
najane fir kyu unke guroor pe hme aitbaar hota hai..
hum kaise maan ley ai khuda is qadar pyar hota hai..

 2 People liked it
0 Ratings


Zindagi Ne Sikhaya Hamein,
Kissi Par Umeed Na Rakana,
Par Rakana Aithbar Har Kisi Pe ..
Zindagi Ne Sikhaya Hamein,
Agar Tum Kudh Ko Chaho Gay,
Tho Har Koi Acha Lagey Ga..
Zindagi Ne Sikhaya Hamein,
Tum Ko Bura Nahin Lagey Ga,
Agar Dekho Ge Samne Wale Ki Nazar Se..
Zindagi Ne Sikhaya Hamein,
Na Rona Uss Par Jo Nahin Hai Tumara,
Jo Hai Tumara Ussi Se Kush Rahena..
Zindagi Ne Sikhaya Hamein,
Nafrat Se Mohabbat Karo Ge To,
Nafrat Ko Mohabbat Ho Jaye Gi,
Mohabbat Se Nafrat Karo Ge To,
Mohabbat Nafrat Mein Badal Jaye Gi..
Zindagi Ne Sikhaya Hamein,
Na Dhoon Do Kushi Ko,
Na Dhoon Do Chain Ko,
Kushi, Chain Dhoone Se Nahin Milti,
Yeh Hain Kudh Ke Andhar, Mehesoos Karke Dekho..
Zindagi Ne Sikhaya Hamein,
Bewafa Wafa Nahin Kar Sakthey,
Wafa Kare Jo Woh Bewafa Nahin Ho Sakthey..
Zindagi Ne Sikhaya Hamein,
Maut Ne Ki Wafa To,
Zindagi Ko Bewafa Kahe Diya..
Zindagi Ne Itna Sikhaya Hamein Ke,
Abb Nahi Hai Koi Gilaâ Zindagi Se.

 0 People liked it
0 Ratings


Jaa Rahe Hoo Phir Se Mujhe Rula Rahe Hoo
Sapne Deekha K Deep Bujha Rahe Hooo
Kion Suna Rahe Hoo Aur Ab Kion Tarpa Rahe Hoo
Humari Zindagi Le Ke Kahan Jaa Rahe Hoo
Bata To Doo K Humien Chorh Kar Konsa Sagar Pa Rahe Ho
Sagar To Hi Hai Meri Zindagi Bhii
Ab Kisko Sagar Bana Rahe Hooo
Na Jao Kahien Ke Ab To Hai Andaz E Ravan Aur
Kion Itne Kadam Door Jaa Rahe Hoooo
Pass Ana Hai Mushkil Gar Tera
Mujhe Phir Kion Nahi Bula Rahe Hoo
Mien Pass Ana Chata Hoon Tere
Mujhe Kion Doori Ka Ehsas Dila Rahe Hoo
Kion Door Jaa Rahe Hoo
Kion Muskura Rahe Hoo
Kiya Khush Hoo Tum Bhi Ya Meri Tarah Ansoon Baha Rahe Ho
Dil Mien Kiya Hai Tere Yeh Janta Hoon Mien Bhi
Par Lagta Hai K Tum Bhi Meri Trah Kuch Chupa Rahe Ho
Pyar Hai Humari Zindagi Par Chor Ke Ja Rahe Ho
Kion Ajj Mujhe Is Gham Mien Ab Aur Tarpa Rahe Ho
Ajana Jaldi Se ,K Dil Lagta Nahi Hai Tere Bin
Humien To Tum Udass Karke Ja Rahe Hoo
Pyar To Hai Magar ,Is Pyar Mien Tarpa Rahe Ho

 1 People liked it
0 Ratings

Previous Page

Post Shayari

Next Page

Showing Hindi Shayari 1981 - 1990 of 3592, Page 199 of 360 pages.