Hindi Shayari

Hindi Shayari - A large collection of Hindi Shayari. We and our regular valuable users regularly add their shayari into Hindi Shayari category as well as in other various shayari categories. So We have a best and huge collection of Hindi Shayari and other shayari messages from various shayari categories in various language.

  
Post Hindi Shayari
Name:
Email:
Category:
Shayari :

Enter the code below shown above

List of Hindi Shayari

Showing Hindi Shayari 2001 - 2010 of 3592, Page 201 of 360 pages.


Hai maut ka intezar per unpe bhi aitbar hai
dekhen pahale bo aten hai ya phir maut
Marne ke baad bhi meri ankhen khuli rahin
Aadat jo pad gai thi unke intezar ki
Neeraj

 1 People liked it
1 Ratings


Kismat pe aitbar kisko hai,
Mil jaye aap ka pyar iss khushi se inkar kisko hai.
Zindgi main kuchh majburian hain dost,
Warna judai se pyar kiso hai.

 2 People liked it
1 Ratings


from bottom of my heart..
By -Dream Boy
suna hai nazdeekiyaan ehsaas dilati hain..
dooriyan betaabi badhati hain..
par,
jab paas hote hain woh to hum betaab rehte hain…
door jaane par kyon unka ehsaas karte hain…
samandar ko tha garoor gehraayi par apni..
aasmaan ko tha garv oonchaayi par apni…
sharm se zaar zaar ho gaye dono….
jab unhe bataayi humne dosti apni…
aye khuda aaj tujhse iltaza hai meri…
tu rakhna mere dost ko itni hifazat se..
na gamo ka ho saaya us par..
rahe har pal khushiyon ka dera…
kyonki bahut naazuk sa hai yeh dost mera…!!!
dhoond raha hoon main kahin…
mujhe us cheez ki talaash hai…
kho gayi hai mere yaar ki haansi..
koi to bata de kiske paas hai…???
jaaonga uske paas aur poochoonga…
“ab lauta do mujhe woh `muskurahat’…
jo tumne mere dost se cheeni hai…
kya dushmani thi tumhe mere dost ke saath???
ke mujhe thodi saanse aur leni hai….!!!”
naa jaane kahaan kho gayi hai woh hansi..
jo mere dost ke saath rehti thi kabhi..
aye khuda,, meri fariyaad hai aaj tujhse…
Lauta de ,Lauta de, Lauta de,… woh hansi yaar ki..!!!!
muskurahat kuch chhin si gayi hai mere yaar ki…
ke chehra uska kuch murjhaya sa lagta hai….
jaise chaand ko kami ho gayi ho roshni ki..
jaise suraj bhi andhere mein nahaya sa lagta hai..

 0 People liked it
1 Ratings


Kagaz pe humne zindagi likh di,
Ashkon se seench har khushi likh di,
Dard jab humne ubhara lafzo pe,
Logon ne kaha wah kya gazal likh di.
Kaash banane waaley ne dil sheeshey ka banaya hota,
To todne waaley ke haath mein zakham to aaya hota.
Mohabbat kar ke dekhi to,
Mohabbat ko pehchana hai,
Wafa bas naam ki hai,
Bewafaai ka fasana hai..
Mujhe kisi ne bewafa ka naam diya,
Saathi ne jaise zeher ka jaam diya,
Jo kabhi kaha karte they, bhula mat dena,
Unhone hi bhool jaane ka paigaam de diya..
Har din woh aapki meri mulaqat,
Har roz hasna roothna aapka,
Gaye woh din milne ke aapko,
Gaye woh din manane hansane ke aapko,
Bas itna hi tha saath aapka mera,
Yahi soch ke hanste apni kismat per..
Har din woh aapki meri mulaqat,
Har roz hasna roothna aapka,
Gaye woh din milne ke aapko,
Gaye woh din manane hansane ke aapko,
Bas itna hi tha saath aapka mera,
Yahi soch ke hanste apni kismat per..

 0 People liked it
0 Ratings

Yeh Zami Chand Say Behtar Nazar Ati Hai Humain
Zindagi Jab Bhi Teri Bazaam Main Lati Hai Humain,
Yeh Zami Chand Say Behtar Nazar Ati Hai Humain,
Surkh Phoolon Say Mehak Uthti Hain Dil Ki Rahain,
Din Dhale Yun Teri Awaaz Bolati Ti Hai Humain,
Yeh Zami Chand Say Behtar Nazar Ati Hai Humain,
Yaad Teri Kabhi Dastak Kabhi Sargoshi Say,
Raat Kay Peechalay Peher Roz Jagati Hai Humain,
Yeh Zami Chand Say Behtar Nazar Ati Hai Humain,
Her Mulakat Ka Anjaam Judai Kyun Hai,
Ab To Her Waqt Yehi Baat Sataati Hai Humain,
Yeh Zami Chand Say Behtar Nazar Ati Hai Humain,
Zindagi Jab Bhi Teri Bazaam Main Lati Hai Humain,
Yeh Zami Chand Say Behtar Nazar Ati Hai Humain

 0 People liked it
0 Ratings


Ishq seha hai ke darya kabhi sochey wo bhi
Us se kya hai mera naata kabhi sochey wo bhi
Haan main tanha hoon ye iqrar bhi kar leta hoon
Khud bhi wo tanha hai kitna kabhi sochey wo bhi
Ye alag baat hai ke jataya nahi maine us ko
Warna kitna usey chaha kabhi sochey wo bhi
Usey awaz likha chand likha phool likha
Maine kya kya usey likha kabhi sochey wo bhi
Mutmain hoon usey lafzon ki hararat de kar
Maine kitna usey socha kabhi sochey wo bhi.

 0 People liked it
0 Ratings


Thanks a lot everyone to appreciat my collection..heres the another one..hope u
all like it..
Unki yaado ko sine se laga dete hai,
is tarah judai ka gum mita dete hai,
kisi tarah unka zikr ho jaye to,
bhigi palko ko juka lete hai..

 1 People liked it
0 Ratings

Iss Baar Kuch Aisa Mein Chahta Hoon
Tum Ko Apna Banaana Chahta Hoon
Bhula Kar Apne Sab Gham
Tumhe Dilse Apnana Chahta Hoon
Tumhe Tumhari Ijazaat Se
Apne Dil Mein Basana Chahta Hoon
Apne Naam K Saath Joar Kar Tumhara Naam
Duniya Ko Sar-E-Aam Dikhana Chahta Hoon
Kab Ho Qubooliyat Ki Ghari Na Jaane
Tumhe Har Dua Mein Mangna Chahta Hoon
Ho Jaao Tum Meri Aur Main Tumhara
Harr Pal Bas Yehi Ehsaas Chahta Hoon
Tum Se Hi Ki Bass Mohabbat Main Ne
Apni Sari Zindagi Tumhare Sang Bitana Chahta Hoon
Karta Hoon Aaj ASHIQE Ye Iqraar
Main Bass Tumhe Bass Tumhe Hi Chahta Hoon
Haq Ke Saath Kahoon Tumhe Main Apna
Tumse Bass Aaj Main Yehi Raza Chahta Hoon..

 0 People liked it
0 Ratings

Previous Page

Post Shayari

Next Page

Showing Hindi Shayari 2001 - 2010 of 3592, Page 201 of 360 pages.