Hindi Shayari

Hindi Shayari - A large collection of Hindi Shayari. We and our regular valuable users regularly add their shayari into Hindi Shayari category as well as in other various shayari categories. So We have a best and huge collection of Hindi Shayari and other shayari messages from various shayari categories in various language.

  
Post Hindi Shayari
Name:
Email:
Category:
Shayari :

Enter the code below shown above

List of Hindi Shayari

Showing Hindi Shayari 2011 - 2020 of 3592, Page 202 of 360 pages.


Chaman ki bahaaron mein tha aashiyana ,
Na jaane kahan kho gaya vo zamana ,
Tumhen bhuulane ki mai koshish karunga ,
Ye vaada karo ke na tum yaad ana ,
Mujhe mere mitne ka gam hai to ye hai ,
Tumhen bevafaa kah raha hai zamana ,
Khud meri qabr pe tum na aana ,
Tumhen dekh kar shaq karega zamana.

 0 People liked it
0 Ratings


Kya faida kisi ko chahne ka,
kya faida kisi ki yaadon mein aansu bahane ka…
Jo samjhe na kisi ke dil mein base pyaar ko,
kya faida uske pyaar ke liye dil ko tadpaane ka…
Chhote se dil ko milte gham bahot hai,
zindgi mein milte har pal zakhm bahot hai…
Maar hi dalti kabki yeh duniya,
kambakht kuch dosto ki duaon mein dum bahot hai…
Usne jo mera sath na diya,
shayad uski bhi koi majboori thi…
Bewafa to voh ho nahi sakte,
shayad meri mohabbat hi adhoori thi.

 0 People liked it
0 Ratings


Phair Lete Hain Nazar Dilse Bhula Dete Hain
Kya Yunhi Log Wafaoun Ka Silaa Dete Hain
Wadaa Kiya Tha Phir Bhi Naa Aaye Mazaar Par
Hum Ne Toh Jaan Di Thi Isi Aitebar Par
Kyun Bhula Diya Hume Kyun Dilse Gira Diya
Hum Toh Yunhi Mare Hue The Aapke Inkaar Par
Soncha Naa Tha Teri Ulfat Me Aisi Thokar Khayenge
Pyaar Ki Duniya Me Saans Lene Se Pehle Hi Marr Jayenge
Ab Pata Chala Yeh Ishq Ek Khel Hai Koi Jazbaat Nahi
Aur Kitne Dil Jalenge Aur Haar Jayenge
Chahti Toh Hoon Magar Aasan Nahi Tumhe Bhula Dena
Teri Yaadoun Ke Sahare Yunhi Din Katt Jayenge ..

 0 People liked it
0 Ratings


Teri bewafai ka charcha sareaam kar doon
Fir bhi apna dil tere nam kar doon
Bewafa ke nam se na ho jaye mashhoor
Aaj ye iljam apne nam kar doon
Bewafa ka shila achha nahi hota
Dil todkar hasna ye bhi achha nahi hota
Dil ke har jakham ko hanske ab sahu
Tu bata iss duniya main teri kya nam doon
Sajaye maut se badtar ye saja hai pyar ki
Aaj iss saja ko apne nam kar doon
Kya mila hai tujhe dil todkar ‘Avinash’ ka
Dil ki har aah ko gumnam kar doon.

 0 People liked it
0 Ratings


Dil ki dhadhkan sunaya karti ho
Kis kadar zulm dhaya karti ho,
Yeh jo tum bhool jaya karti ho,
Kiska ab haath rakh ke seene par,
Dil ki dhadhkan sunaya karti ho,
Hum jahan chaye peene jaate the,
Kya waha ab bhi aaya karti ho,
Koun hai ab ke jiske chehre par,
Apni palkon ka saaya karti ho,
Kyo mere dil mein rakh nahI deti,
Kis liye gam uthaya karti ho,
Phone par geet jo sunaati thi,
Ab wo kis ko sunaya karti ho,
Aakhiri khat mein usne likha tha,
Tum mujhe yaad aaya karte ho.

 0 People liked it
0 Ratings


Aankhon me unki jab sisakTe huye dekha.
Dhundhla sa kahin apna chehra chupa dekha.
Ikrar-e-mohabbaT chupaaye na chuppe..
Phir bhi ek berang parde ko lehraaTe huye dekha..
Un aankhon me, nami ko sab bayaan karTe dekha..
Dard ko apne daaman me chipaaTe huye dekha..
Na de paaye apna dard woh mujhe kisi bhi haal me..
Phir bhi unke dard ko, apni palkon me uTarTe dekha..
Mere dard se bekhabar woh bhi nahi..
ChuhpTe chupaaTe siskiyon ko unhone bhi dekha.

 0 People liked it
0 Ratings


Teri yaad mein bahut paigaam milte hai,
Teri yaad mein guzaari vo shaam likhte hai,
Vo kalam bhi teri deewani ho jaati hai,
Jis se tera naam likhte hai.

 0 People liked it
0 Ratings


Meri bewasi pe har sakhs muskrata hai
kya haal hai mera koi na sunata hai
yeh zindagi lagti hai mujhko ek chalava
dard jisko hota hai wo ashq hi bahata hai
chahat hai meri mai paalu is jahan ko
par kya kare koi apna na banata hai
yeh log bade zalim hai zalim hai zamana
in zalimo se hi koi dil kyu lagata hai
gairo ki baat chhodo apno ne diya dhokha
koi lakh kasme kha le ab yaki na aata hai
bewafa to aksar khelti hai dilo se
toota dil ka tukda ab nazar na aata hai
khuwabo se bahar niklo ye bhole zamane balo
pad ke yeh chand lahne”SAGAR” hi yaad aata hai.

 0 People liked it
0 Ratings

Previous Page

Post Shayari

Next Page

Showing Hindi Shayari 2011 - 2020 of 3592, Page 202 of 360 pages.