Hindi Shayari

Hindi Shayari - A large collection of Hindi Shayari. We and our regular valuable users regularly add their shayari into Hindi Shayari category as well as in other various shayari categories. So We have a best and huge collection of Hindi Shayari and other shayari messages from various shayari categories in various language.

  
Post Hindi Shayari
Name:
Email:
Category:
Shayari :

Enter the code below shown above

List of Hindi Shayari

Showing Hindi Shayari 2021 - 2030 of 3592, Page 203 of 360 pages.


Intezaar to karein ke jab vo aaye bhi
Bhool jaayein hum chhode jo mere saaye bhi
Kal subah yeh zindagi jo na rahi
Tamaasha dekhege apne aur paraaye bhi
Vo gair hai to gair ban-na bhi seekh le
Yaadon mein aake baar-baar aazmaaye bhi
Kehta hai duniya mein chhod dega hume
Mud ke dekhe baar-baar, ghabraaye bhi
Yeh kaisa khuda hai mere dosto
Khud hi lagaaye aag, khud hi bhujaaye bhi
Shikwa bhi to kya karein hum kisi se
Khoya ik humsafar to lakhon rehnuma paaye bhi.

 0 People liked it
0 Ratings


Kuch door hamare saath chalo
Hum dil ki kahani kehdein ge
Samjhe na tum jisse aankhon se
Woh baat zubaani kehdein ge
Jo pyar karein ge jaanein ge
Har baat hamari maanein ge
Jo jaley na hon khudh ulfat mein
Woh aag ko paani kehdein ge
Jab pyaas jawan ho jaye gi
Ehsaas ki manzil paye gi
Khamosh rahein ge aur tumhein
Hum apni kahani kehdein ge
Is dil mein zara tum baitho to
Kuch haal hamara poocho to
Hum sada dil hain “Ashk” mager
Har baat poorani kehdein ge

 0 People liked it
0 Ratings


Honton Pe Hansi Dekh Li Dil ke Ander Nahi Dekha,
Aap Ne Mere Gahmon ka Samunder Nahi Dekha,
Kitni khoob Surat Hai ye Duniya ye Dekha hai Aap Ne,
Jee Jee ke Marney Waloh ka Manzer Nahi Dekha,
Sheeshay ka Makaan Tu Ne Bana to Liya Hai Dost,
Lekin waqt ke Hath ka Pather Nahi Dekha,
Rishton ke Tootney ka Dard Tum Kya Jano,
Wo Lamha Tum Ne Kabhi Jee Kar Nahi Dekha,
Bhatkey Roshni ki Talash Mein Na jane Kahan Kahan,
Afsos ke Apni Rooh ke Ander Nahi Dekha..

 0 People liked it
0 Ratings


Jabse jana hai tumko.
Chain hamara khoya hai.
Jabse mili hai nazar tumse.
Har jagha tera hi cheraha nazar ayaa hai.
Mohabbat si hogai hai is dil ko tumse.
Jabse tumhe apna mana hai.

 0 People liked it
1 Ratings


Boht ajeeb hain ye bandishain muhabbat ki faraz,
Na uss nay qaid main rakha na hum faraar hoe.

 0 People liked it
0 Ratings


sharab sharir ko khatam karti hai
sharab samaj ko khatam karti hai
aao aaj is sharab ko khatam karte hai
ek botal tum khatam karo ek hum khatam karte hai.
Dil mein ek dard liye jiye ja raha hoon,
Teri mohabbat ka jaam piye ja rahan hoon,
Na chahte huye bhi ye kaam kiye jaa raha hoon,
Na jane khud ko kaun si manzil par liye ja raha hoon.
Doodh Mein Uria, Mineral Water Mein Castic Soda,
Pepsi Aur Coke Mein Pesticide, Yani Pani Wani Bhi Kharab,
Ab Hum Kya Kare, Pure Bachi Bhi Hai To Sirf Yeh Sharab..
Botal Chupa dena kafan mein meri
Shamshan mein piya karunga
Jab mangega hisab khuda ;
To use bhi peg bana kar diya karunga.

 0 People liked it
0 Ratings


Aadhi raat ko sapna aa jata hai,
Fir sona mushkil ho jata hai.
Rab ki kasam maine pyar nahi kiya,
Ye pyar to apne aap hi ho jata hai..

 0 People liked it
0 Ratings


Is Qadr hum Yaar ko manane nikle,
Uski chahat ke hum Deewane nikle,
Jab bhi use Dil ka haal batana chaha,
Uske hoton se Waqt na hone ke bahane nikle
**********
Kaanch ko Chahat thi Paththar pane ki,
Ek pal me fir tootkar bikhar jane ki,
Chahat bus itni thi us Deewane ki,
Apne tukro me Tasveer uski sajane ki.
**********
Zindagi bahut kuch sikhati hai,
Kabhi hasati hai to kabhi rulati hai,
Kudh se Zyada kisipe bharosa mat karna
Andhere me to Parchai bhi saath chor jati hai
************ **
Ae mere hamnashee chal kahi aur chal,
Is chaman me ab apna guzara nahi,
Baat hoti Phoolon tak to seh lete hum,
Ab to Kaanton pe bhi haq hamara nahi
***********
Sari umar Aankhon me ik sapna yaad raha,
Sadiyaan beet gayi jisme woh lamha yaad raha,
Na jane kya baat thi Unme,
Sari Mehfil bhool gaye bus wo hi ek Chehra yaad raha
***********
Kal raat hamare aangan me Chaand utra,
Par sitaro ko gawara na tha,
Hum to Sitaro se bhi Bagawat kar lete,
Par kya karte wo Chaand hi hamara na tha.

 0 People liked it
0 Ratings

Previous Page

Post Shayari

Next Page

Showing Hindi Shayari 2021 - 2030 of 3592, Page 203 of 360 pages.