Hindi Shayari

Hindi Shayari - A large collection of Hindi Shayari. We and our regular valuable users regularly add their shayari into Hindi Shayari category as well as in other various shayari categories. So We have a best and huge collection of Hindi Shayari and other shayari messages from various shayari categories in various language.

  
Post Hindi Shayari
Name:
Email:
Category:
Shayari :

Enter the code below shown above

List of Hindi Shayari

Showing Hindi Shayari 2041 - 2050 of 3592, Page 205 of 360 pages.


Annu
Har Subah ko teri yaad aati hay,
Har Shaam ko teri yaad aati hay,
Har pal teri yaad itni aati hey ki..
Aaina hum dekhte hai aur Surat teri nazar aati hay.

 0 People liked it
0 Ratings


tere pyar main ruswa hokar jaye kahan diwane log
jane kya kya puch rahen hain ye jane pahchane log
jaise tumhen hamne chaha tha kaun bhala yun chahega
mana aur bahut ayenge tum se pyar jatane log..

 0 People liked it
0 Ratings


Dil ki gehraaiyon me hum jaane se bachte rahey
doob jate sahil pe isliye kinare se bachte rahey
khuda se gila kya karna sabka naseeb hi aisa hai
tujhe laga hum tere kareeb aane se bachte rahey.

 0 People liked it
0 Ratings


aaj bahut din baad hamari unse baath hui,
laga mere saye nein apne hone ka ehsas dilaya.
us waqt hame aysa laga jaise,
mere dil apne hone ka ek ehsas dilaya.
bato bato mein aysa laga ke mein,
bhul gaya ek pal mein yeh sari duniya..
kya khoya kya paya apne is zindagi mein,
na soch kar yaad aah rahi thi,
uske begar bitai hui woh duriya.
duriyo se mein kavi dard nahi hua jo,
maine uske bagar apni in bejan diwaro ke sath bitaye.
par kahete hein na kavi kavi wohi dard aur gaam,
hamari is zindagi ko kisi dour le jate hein bina hame bataye.
bus jina hein hame unke pyar mein unki awaz ko sunkar,
aur unki us muskurahat ko apne kahayalo me rakhkar.
kavi eshsas na karne denge hum unhe k,
unki muskurahat ko bekarar karne k liye,
kardenge apni zindagi raab ke chokhat par.
batein hum jab bhi kiya karte hein,,
ek hein labz nikal atte hein apna khyal rakhte ho ke nahi.
aur unka kahena ek hein hota hein aap apna khyal rakho ge,
to hum apna khyal rakhenge warna nahi.
aab hum kya unse kahe ke hum khud nahi jante ke,
khyal kaise rakhte hein hum kitna unke begar.
hamne sirf yeh kaha yeh to hamare andar aap ka dil hein,
jaisa aap chahoge waise hum karenge hoke bekhabar.
kahete hein pyar mein hamesha,
apna dil khud ke pass nahi hota..
yahi to mohabbat hein jo ek dusre ko bandhe rakha hein,
nahi to apna khud ka dil dharamshala na hota.
dil to sirf ek ko hein diya jata hein jo hamesha,
hamari band akho mein samai hui rahete hein.
khud ko uske karib pana ho to uski,
ek mithi si awaz jene ke liye kafi hoti hein..

 0 People liked it
0 Ratings

Woh Ishq Hi Kya Jis Pe Mera Naam Nahi
Woh Aashiq Hi Kya Jo Badnaam Nahi
Woh Ishq Hi Kya Jis Me Judaai Nahi
Woh Dard Hi Kya Jis Me Tanhaai Nahi
Woh Dil Hi Kya Jis Me Mohabbat Nahi
Woh Imaan Hi Kya Jis Me Ibaaddat Nahi
Woh Aankh Hi Kya Jis Me Tera Chehraa Nahi
Woh Hont Hi Kya Jis Pe Teri Baat Nahi
Woh Zindagi Hi Kya Jo Tere Saat Nahi
Woh Moat Hi Kya Jo Tere Liye Nahi
Woh Ishq Hi Kya Jo Tum Nahi
Woh Jaan Hi Kya Ke Main Teri Jaan Nahi
Teri Mohabbat Me Ham Badnaam Sahi
Ishq Ke Chilaaf Duniya Ka Dastoor Hai Yahi

 0 People liked it
0 Ratings


Bhulaye bhi nahi jaate, gale se lagaye bhi nahi jaate
ajnabi nahi hain, phir bhi apne kahlaye nahi jaate
vo dost the humare, pyaar ban gaye,
pyaar se phir dosti par aa gaye
jaane humare beech ye kaisa rishta hai,
bandhan judaye bhi nahi jaate, chudaye bhi nahi jaate

 0 People liked it
0 Ratings


Teri dosti to begair kuch nai sade palle
je modya tu mukh satho hojaange chaale
tenu pulekha k asi jee lvanage tere bina
puchi mere dil to jeda eh soch k v agla saah lena bhulle
teri dosti to begair kuch nai sade palle.

 0 People liked it
0 Ratings


Soch ko badlo, sitare badal jayeng,
Najar ko badlo, nazare badal jayenge,
Kashtiya badalne ki jarurat nahi,
Dishaon ko badlo, KINARE badal jayenge.
Kaun jane kab maut ka paigam aa jaye,
Zindagi ki akhari sham aa jaye,
Hum toh dhundhte hain waqt aisa jab,
Hamari zindagi apke kam aa jaye.
Qayamat tak tujhe yaad karenge,
Teri har baat par aitbaar karenge,
Tujhe MAIL karne ko to nahi kahenge,
Par phir bhi tere MAIL ka intezar karenge.
Koi ankhon se baat kar leta hai,
Koi ankhon mein mulakat kar leta hai,
Bada mushkil hota hai jawab dena,
Jab koi khamosh rehkar sawaal kar leta hai.
Bahut dur magar bahut paas rehte ho,
Aankho se dur magar dil ke paas rehte ho,
Mujhe bas itna bata do,
kya tum bhi mere bina udaas rehte ho?
Teri dosti hum is tarah nibhayenge,
Tum roz khafa hona hum roz manayenge,
Par maan jana manane se,
Warna yeh bheegi palkein le ke kaha jayenge.
Woh ruthte rahe hum manate rahe,
Unki raahon me palkein bichate rahe,
Unhone kabhi palat ke bhi na dekha,
Hum ankh jhapkane se bhi katrate rahe.
Yaadon ki dhund me aapki parchai si lagti hai,
Kaanon me gunjti shahnai si lagti hai,
Aap karib ho to apnapan hai,
Warna seene me saanse bhi parai si lagti hai.
Woh inkar karte hain ikrar ke liye,
Nafrat bhi karte hain to pyar ke liye,
Ulti chaal chalte hain yeh ishqwale,
Ankhein band karte hain didar ke liye.
Kuch nasha to aapki baat ka hai,
kuch nasha to dheemi barsaat ka hai,
humein aap yun hi sharabi na kahiye,
is dil par asar to aap se mulakat ka hai !

 0 People liked it
0 Ratings

Previous Page

Post Shayari

Next Page

Showing Hindi Shayari 2041 - 2050 of 3592, Page 205 of 360 pages.