Hindi Shayari

Hindi Shayari - A large collection of Hindi Shayari. We and our regular valuable users regularly add their shayari into Hindi Shayari category as well as in other various shayari categories. So We have a best and huge collection of Hindi Shayari and other shayari messages from various shayari categories in various language.

  
Post Hindi Shayari
Name:
Email:
Category:
Shayari :

Enter the code below shown above

List of Hindi Shayari

Showing Hindi Shayari 2061 - 2070 of 3592, Page 207 of 360 pages.


Karte hain dua unki khushi ki,
Jo chod ke chale gaye hume kisi ke liye,
Ek din wo mere paas honge,
Kyuki hum bane hain to sirf unhi ke liye.

 0 People liked it
0 Ratings


Bahut chaha usse magar vo mila hi nahi,
Lakh koshish ki magar faasla mita hi nahi,
Uss ko zamane ne iss kadar majboor kar diya,
Ki vo meri kisi sadda pe thehra hi nahi,
Har aik se pucha sabab uss ke na milne ka,
Har aik ne kaha vo tere liye bana hi nahi,
Mei tamam koshishon ke wabjood haar gai,
Aur vo usse mil gaya jisne usse manga hi nahi,
Itni shiddat se chaha usse aur vo kisi aur ka ho gaya,
Shayad iss jahan mein waffa ka koi sila hi nahi.

 0 People liked it
0 Ratings


Dil ki batein hoton tak naa aa pai…
kuch aisi dillagi hum par chhayi,,,,
apko chaha kuch iss tarah….
Chahat ki had chahat tak naa rahi…dekho humari jan tak hai aayi…
Dil ki batein hoton tak naa aa pai…

 0 People liked it
0 Ratings


likha hai kai baar haale-e-dil en kaagajon per
shabdo nei dil ko chua aur afsaane ban gaye
kal tak to theh paraye, dil ke kareeb aaye
poochta hai dil, kyon sapne yuin sajaaye
likha hai kai baar haale-e-dil en kaagajon per
sapno ke mahal es mann mei hai sajaaye
har aur gul najar aate hain ab gulshan mei
poochta hai dil, kyon chaman yuin muskuraaye
likha hai kai baar haale-e-dil en kaagajon per
sun kar mere armaan, sawalaat uth khare hain
kaise unhe bataye, karein bayan dil ke jajbaat
kabhi hain wo samjhte, kabhi gujra hai naagwaar unko
poochta hai dil, maine aisa kaya kiya jo pareshaan hain wo

 0 People liked it
0 Ratings


Asin likh-likh chithian paunde rahe,
Oh bin pade hi teeli launde rahe!!..
Ise umeed wich lang gayi zindagi saadi,
Oh rusde rahe asin manaunde rahe!!

 0 People liked it
0 Ratings


Ek Pal ka sath tera dil chhu jata hay,
tere jane ke baad wo hasin pal bahut yaad ate hay,
Dil na jane kyu samal nahi pata tere jane ke baad,
Kyu sirf apna apno ko tanha chood jata hey..

 0 People liked it
0 Ratings


Kuch log sitam kerne ko
taiyaar bethe hain
kuch log mager hum pe
dil haar bethe hain
Iss kashmakash mein hum se
pehchane nahi jate,
kahaan dushman hain aur,
kahan dost yaar bethe hain
Ishq ko aag ka dariya hi
samajh lijiye hazoor,
koi uss paar betha hai tu,
hum iss paar bethe hain.
Kon kehta hai ke is shehar main,
saare hain bewafa,
hamare samne du chaar
wafadaar bethe hain.
Kal tak jin ki hasrat thi
hamien badnaam kerne ki
ajj wohi log apne kiye pe,
sharamsaar bethe hain.
Duniyaa se rooth jane ki
khwahish hai hamari,
kiya karoon is khwahish pe
pehredaar bethe hain..!!

 0 People liked it
0 Ratings


Ham to phir bhi insaan hai,
Khuda bhi unase nahi bach paayega.
`~`
Kuch ulje huye sawaalo se darta hai dil,
Na jaane kyon tanhaai me behta hai dil,
Aapko paane ka khyaal koi badi baat nahi,
Bas kho dene ke khyaal se darta hai dil.
`~`
Is saal barsaat me tum yaad aaye bahut,
Har bheegi huyi raat me tum yaad aaye bahut,
Bajti rahi shehnaai behte rahe aansu,
Ek dost ki baaraat me tum yaad aaye bahut.
`~`
Sanam ham aapke bina ek pal bhi reh nahi sakte,
Mere jeete jee aap kisi ke bilkul ho nahi sakte.
`~`
Duniya ne mere ishq ko badnaam kar diya,
Meri tamaam hasrato ko nakaam kar diya,
Wo badan jo kabhi meri baaho ki janat tha,
Us badan ko gair ke naam kar diya.
`~`
Mere mehboob teri kasam aaj bhi tujhse pyaar,
Koi kuch bhi kare, magar pyaar kabhi mitata nahi.
`~`
Aankhon ki aawaaj kuch aur hoti hai,
Aansu ki aag kuch aur hoti hai,
Kaun chaahta hai bichadna aapse,
Wo to waqt ki maar hoti hai.
`~`
jise shaadi huyi wo kaali hai,
Kaali hai phir bhi lagti wo laali hai,
Saath dono ka nibhega kaise,
Main sada hu aur wo fashion waali hai.
`~`
Jindagi barbaad ho gayi hai meri,
Isme koi shak nahi hai,
Tumse ek baar mil saku,
Kya mujhe itna bhi hak nahi hai?
`~`
Har ek lamha dil bekaraar rehta hai,
Har aahat par tera intajaar rehta hai.
`~`
Kya khata hamse huyi jo dushaman jamana ho gaya,
Dushman huye sab mere, har apna begana ho gaya,
Kaun jaane hoga kya isi soch me goom hu main,
Duniya to ye kehne lagi ki main deewana ho gaya.
`~`
Mere dukh ki koi dawa na karo,
Mujhako mujhase abhi juda na karo,
Ye sikhaya hai dosti ne hame,
Dost bankar kabhi daga na karo.
`~`
Chup rehte hai ki koi khata na ho jaaye,
Hamse koi ruswa na ho jaaye,
Badi mushkil se koi apna bana hai,
Milane se pehle hee juda na ho jaaye.
`~`
Kab toot jaaye kasam hi to hai,
Kab badal jaaye najar hi to hai,
Tu mere saath ki aadat mat daalna ae dost,
Kab bichad jaaye safar hi to hai.
`~`
Na milta gam to barbaadi ke afasaane kaha jaate,
Duniya agar hoti chaman to wiraane kaha jaate.
Chalo acha hua apno me koi gair to nikla,
Sabhi agar hote apne to begane kaha jaate.
`~`
Shaayad tum ye nahi jaanti ki
Main tumhe kitna chaahta hu,
Koi to bahut chaahta hai magar main
Jaan se bhi jyada chaahta hu.
`~`
Har pal saath rehne ki kasam khaayi hai,
Maine har rasm ulfat nibhaayi hai,
Yum daaman bacha kar phoolo me jaa baithe,
Mere aangan main to sirf tanhaai hai.
`~`
Nahi bhula sakta main tere husn ki garmiya,
Wo tumhaare hotho ki wo mehak saanso ki.
`~`
Jamaane se kab ke gujar gaye hote,
Thokar na lagi hoti to bach gaye hote,
Bandhe the bas teri dosti ke dhaage me,
Warna kab ke ham bikhar gaye hote.
`~`
Aawaj to aati hai teri lekin tere
Lekin tere hotho ka ehasaas nahi hota,
Tujhe dekhne ki chaahat tadpa jaati hai mujhe,
Jaane kyon ye sapna mera sach nahi hota.
`~`
Pilana farj tha kuch bhi pila diya hota,
Sharaab kam thi to paani mila diya hota.
Agar jubaan par sharm aur haya ka pehra tha,
To muskura kar sar hi hila diya hota.
`~`
Is pyaar me koi mara,
To koi ghaayal ho gaya,
Kisi ne de dee jaan,
To koi paagal ho gaya.
`~`
Is ajnabi shehar me teri yaad aati hai bahut,
Dil ko raat hi tadpaati hai bahut.
`~`
Main door bahut tere shehar se nikal aaya hu,
Tamaam yaade khyaal sab peeche chod aaya hu,
Tu jaha bhi rahe khush rahe, sada salaamat rahe,
Main apni prem kahani ka rukh mod aaya hu.
`~`
Meri jindagi me shaamil jab tu sanam nahi tha,
Teri hi kasam yaar mujhe koi gam nahi tha,
Meri kahani dukh dard udaasi me doobi hai,
Yakeen tha tujh par mujhe koi bharam nahi tha.
`~`
Mehafil me jab dekha achaanak unako,
Unse gujar kar aati hawa sharaab hone lagi,
Unhone aa kar haal-chaal pooch liya mera,
Jaane kyon meri haalaat kharaab hone lagi.
`~`
Yaar ne dil ka haal batana chod diya,
Hamne bhi gehraai me jana chod diya,
Jab usko hi doori ka ehsaas nahi,
Hamne bhi ehsaas dilana chod diya.
`~`
Jisane luta hai mera dil,
Ye usi ki pehchaan hai,
Phoolo ki baarish ki hi tarah,
Uski muskaan hai.
`~`
Itani berookhi kis kiye sanam?
Kya main teri bhi najro se gir gaya,
Huyi kya khata mujhase bataao jara tum,
Ya tu khud apne waado se mukar gaya.
`~`
Main use door chala to aaya hu,
Magar abhi tak use na bhool paya hu,
Jikr kise karu teri wafao ka main,
Is ajnabi shehar me bhatakta saya hu.
`~`
Pattharo ke shehar me fariyaad kya kare,
Jo bhool gayi hame ab use yaad kya kare?
`~`
Toone mujhase kyon daga ki,
Mere pyaar ki tune mujhe ye kaisi saja di,
Ki chaar din gujarta hai mera tanhaaiyo me,
Maine to chaha tha tujhko dil ki gehraaiyo se.
`~`
Mehbooba ke kehne se aashiq ne jaan de di,
Kaun kehta hai ki shabdo me jehar nahi hota.
`~`
Hamaari raaste to karwato ke sahaare kati hai,
Ek aap hai ki sote-sote nahi thakti hai.
`~`
Meri jawaani meri nahi,
Ab teri ho gayi hai,
Meri saanse ab tumhaari,
Saanso me kho gayi hai.
`~`
Jab bhi mere hottho par tera naam aata hai,
Mere tadapte dil ko sanam aaraam aata hai,
Yaha tanhaai hai, gam hai, udaasiya hai,
Har shaam haatho me teri yaad ka jaam aata hai.
`~`
Mujhe gam nahi ki rooth gaya har apna begana,
Ki jindagi ho tum, tum na rooth jaana.
`~`
Milna ittefaak tha bichadna naseeb tha,
Wo utna hi door ho gaye jitna kareeb tha,
Ham usko dekhane ke liye taraste hi rahe,
Jis shakhs ki hatheli par hamara naseeb tha.
`~`
Pyaar me jeena, pyaar me marna,
Yahi hamne dost sikha hai,
Tere liye hamne ae jaane-chaman,
Ye baag lahu se sincha hai.
`~`
Gam ne hasne na diya, jamaane ne rone na diya,
Inhi uljhano ne jine na diya,
Thak kar jab sitaaro se panaah li,
Neend aayi to aapki yaad ne sone na diya.
`~`
Saase ghutne lagi hai, ab na sataao,
Hai agar pyaar to chup-chaap chale aao,
Jamaane se daroge to mar jaayenge armaan,
Jo waade kiye the ab unko nibhaao.
`~`
Aap jab saamne se gujar jaate hai,
Armaan dil ke saare ubar aate hai,
Dekhkar aapke pyaari soorat,
Sehme huye phool bhi nikhar jaate hai.
`~`
Chup-chaap kahi socha to hai,
Ek khwaab hamne dekha to hai,
Kal shaam yu hi tanha baithkar,
Tere baare me socha to hai.
`~`
Jo aaya mere hotho par banke dua aaya,
Mera jikra uske gaalo par banke haya aaya,
Jo dekha maine mehakta hua koi gulaab kahi,
Meri aankhon me uska chehra baar-baar aaya.
`~`
Mere saajan pyaar mujhe bhi,
Kuch kam nahi hai,
Ho jaaye dushman sab mujhe,
Iska koi gam nahi hai.
`~`
Sunkar jhaankar aapki paayal ki sanam,
Mehafil sangeet ki bhi bejubaan ho gayi.
`~`
Unki yaado ke jakhm kabhi bharte nahi,
Aansu hai ki aankhon se thamte nahi,
Jaane kaha kho gaye wo sunhare lamhe,
Ae sanam wo ab teri raah takte nahi.
`~`
Pyaar kiya jise,
Hajaar khushiyo ke liye,
Waha behisaab gam nikaale,
Bewafa tum nahi, badnaseeb ham nikale.
`~`
Poochte hai wo hasrat se kitna chaahte ho tum hame sanam?
Kaha hamne bhi muskura ke jara,
Tumhaare liye sahenge saari duniya ke gam,
Na chodna tu saath kabhi, na karna ham par sitam,
Tumhari hi khaatir rakha hai sanam,
Ulfat ki raah par kadam.
`~`
Aapki yaad me deewaane se firate hai,
Ki aap ka naam labo se hatata nahi hai,
Tamaam umra jee sakenge kaise,
Ki bin aapke ek lamha to katata nahi hai.

 0 People liked it
0 Ratings

Previous Page

Post Shayari

Next Page

Showing Hindi Shayari 2061 - 2070 of 3592, Page 207 of 360 pages.