Hindi Shayari

Hindi Shayari - A large collection of Hindi Shayari. We and our regular valuable users regularly add their shayari into Hindi Shayari category as well as in other various shayari categories. So We have a best and huge collection of Hindi Shayari and other shayari messages from various shayari categories in various language.

  
Post Hindi Shayari
Name:
Email:
Category:
Shayari :

Enter the code below shown above

List of Hindi Shayari

Showing Hindi Shayari 2071 - 2080 of 3592, Page 208 of 360 pages.


Aap aatey hain to milney se khushi hoti hai
Haey kya cheez mohabbat ki ghadi hoti hai
Dil jo duniyan se utha to mila khud ka pata
Bekhudi may bhi nehan rasm-e-khudi hoti hai
Manzil-e-ishq ki asaaniyan ALLAH ALLAH
Sahel samjho jisey dushwaar wohi hoti hai
Main jo hansta hoon to koi nahi hansne wala
Aur rota hoon to duniyan ko khushi hoti hai
Ihsq may hosh udey jab to samajh may aaaya
Zamin-e-hosh yehi bekhabri hoti hai
Lakh dil us se lagao bhi to hota kya hai?
Dost kis ki bhala duniya-e-dani hoti hai
Ham ko shamsheer-o-silasil se darane walo!
Kahin aese bhi mohabbat may kami hoti hai?
Kya mazey aate hain phir sham-e-tamanna serwer
Main idhar aur udhar ashifta sari hoti hai.

 0 People liked it
1 Ratings


Aankh sey barsey, to barsaat na qaaboo aaye
tum ney bakhshey they jo sadmaat,na qaaboo aaye
ham ney mar mar ke guzaarey hain judaayi main terii
yeh sulagtey huye din raat na qaaboo aaye
aainah TooT key jesey ho zameeN par bikhra
aesey bikhrii hai mrii zaat na qaaboo aaye
go keh muThii main raheeN waqt ki sarkash ghaRiyaaN
par trey wasl key lamhaat na qaaboo aaye
ranj maiN chhoR gaya saath mra saaya bhi
aesey bigRey mrey haalaat na qaaboo aaye
ham ney chaaha tha tumhaiN bhool key ji laiN lekin
is dil-e-weshii ke jazbaat na qaaboo aaye
aek sey aek naya dard miley Zain hamaiN
yeh muqaddar ki mudaraat na qaaboo aaye

 0 People liked it
0 Ratings


Na kabhi kisi se gila kiya
Mujhey ajab iska sila mila
Muhabbatun ki kitab ka
Har ek warq jala diya
W o jo aarzu ka chiragh tha
Ussey nafratun ne bujha diya
Mujhey zakhm phir ek naya diya
Mujhey is muhabbat ne kya diya
Woh jo kehte they khush raho
Woh jo kehte they meri jan ho tum
Har lamha hansa karo
Mujhey aaj unhon ne rula diya
Mera nishan tak mita diya!!!!

 0 People liked it
0 Ratings


Khud ko is dil main basane ki ijazat de do
Khud ko is dil main basane ki ijazat de do
Mujh ko tum apna banane ki Ijazat de do
Tum meri zindagi ka aik haseen lamha ho
Phoolon se khud ko sajane ki Ijazat de do
Main kitna chahta hoon kis tarha bataoon tumhain
Mujhe yeh aaj batane ki ijazat de do
Tumhari raat si zulfon main chand sa chehra
Mujhe yeh sham sajane ki Ijazat de do
Mujhe qaid kar lo apne ishq main or
Yeh jaan tum pe lootane ki Ijazat de do.

 0 People liked it
0 Ratings


Faada hai usne khat ko kuch is badtari k saath
daaman hai jaise mera ab aaya ho uske haath
wo aa k bus bata de jara itna sa sabab
jeete hain kaise itni bhari nafraton k saath
humne toh sikhaayi na kabhi tumko ye fareb
fir mujhko bataao sabak seekhe ye kiske saath
ab kehte ho tumko nahi surat hai ye bardaasht
tum raat din har pal ko hi jeete the jiske saath
kaise tujhe mai yaad dilaau tera kalaam
rehte ho kiske saath or kasme thi kiske saath.

 0 People liked it
0 Ratings


Rat guzri phir mehkti hawa ayi,
Dil Dhadka phir tumhari yaad aayi,
Aankho ne mehsoos kiya us hawa ko
jo tumhe chhukar hamare paas aayi.

 0 People liked it
0 Ratings


Har kisi ko apna hum kaha nahi karte,
Jinhe apna kehte hain une bhula nahi karte,
Tume chaha hai aur akhri saans tak chahenge,
Pyar mein kabhi dagga hum kiya nahi karte,
Aakar bass jao mere dil k makaan mein,
Iska kiraya apno se hum liya nahi karte,
Hum rakhenge iss tarah tume apna bana kar,
Nakhuno se maas jaise juda hua nahi karte,
Har roz taza shikayat rehti hai tume humse,
Tumse kabhi shikva gila hum kiya nahi karte,
Tumi meri khawahish aur tumi meri zindgi ho,
Siva tumare koi bhi khawaab hum dekha nahi karte..

 0 People liked it
0 Ratings


1.Sham aate hi, aa jaye tumhara naam
Dhadkanein bhejne lagein, pyara paigam;
Kuchch ujala to kuchch andhera lage
Aaogi ki nahin, karoon intzar Dil tham.
2. Sham Natkhat hai, tumhari adaon ki tarah
Utar aati hai Din ke pahlu mein, Balaon ki tarah;
Bade khamoshi se, chchupa leti hai Din ko
Jaise chchupi mujhe, khushboo-e-fizaon ki tarah.

 0 People liked it
0 Ratings

Previous Page

Post Shayari

Next Page

Showing Hindi Shayari 2071 - 2080 of 3592, Page 208 of 360 pages.