Hindi Shayari

Hindi Shayari - A large collection of Hindi Shayari. We and our regular valuable users regularly add their shayari into Hindi Shayari category as well as in other various shayari categories. So We have a best and huge collection of Hindi Shayari and other shayari messages from various shayari categories in various language.

  
Post Hindi Shayari
Name:
Email:
Category:
Shayari :

Enter the code below shown above

List of Hindi Shayari

Showing Hindi Shayari 2181 - 2190 of 3592, Page 219 of 360 pages.


$. Aisi dosti ho hamari,
ki dil chahe to har safar, har dagar par mile,
mar bhi jaoon to yaari rahe kayam,
too baajoon ki kabr mein mile…
$. Baat kehe di jaaye jubaan se jaroori to nahin,
umr gujri hai aadhi puri to nahin,
samajh lenge, nighaao se mere dil ki daastaa,
door bahut hai wo kahi, dil ki doori to nahin…
$. Hamne socha tha ye botal saath nibhayegi,
par hamen kya pata tha, ye upper se hamein lootegi,
andar se khaayegi…
$. Zindagi mein kabhi pyar mat karma,
ho jaaye to inkaar mat karma, nibha sako to chalna usi raah par,
warna kisi ki zindagi barbaad mat karna…
$. Chaand taaron ka pyar tujhpe barse,
har koi teri chahat pane ko tarse,
teri zindagi mein itni khushiya aaye,
ki har gum tujhe paane ko tarse…
$. Aap na hote to hamein gahzal kaun keheta,
hamare is chehre ko kamal kaun keheta,
ye khushboo hai, warna is zamaane mein,
patthar ko tajmahal kaun keheta…
$. Khuda se maine dua maangi, dua mein apni maut maangi,
khuda ne kahaa maut to mein tumhe de doo, par uska kya,
jisne tere jeene ki dua maangi…
$. Dil ke jakhm har kisi ko dikhaaye nahin jaate,
ashk unki yaad mein bahaaye nahin jaate,
marne tak rehe jaati hai jindaa yaadien,
kuch log aise hai jo bhulaaye nahin jaate…
$. Dosti naam hai sukh-dukh ki kahani ka,
dosti raaz hai sada muskuraane ka,
ye koi pal-do-pal ki rishtedaari nahin,
dosti to farz hai umr bhar saath nibhaane ka…
$. Bole wo dosti chup rahe wo pyar,
milaaye wo dosti alag kare wo pyar,
hasaaye wo dosti rulaaye wo pyar,
phir bhi log dosti chohdkar kyon karte hai pyar…
$. Har gulshan gulzaar hota hai,
har kali mein pyar hota hai,
ye sochkar badi bhool ki har dost wafadaar hota hai…
$. Too kahe tere pyaar mein pagal ho jaayenge,
tere is chehre pe fida ho jaayenge,
gunaah nahi kiya pyaar kiya hai,
roothe to duniya se hum rukhsat ho jaayenge,
hotoon ki juba ko hum samajh nahin paate,
hot hamaare bhi kuch kehe nahin paate,
apni bebasi kis tarah kahe,
ek tum hi to ho jinke bina hum rahe nahin paate…
$. Badal kitne khushnaseeb hai,
door rahekar bhi zamaane par barste hai,
hum kitne badnaseeb hai,
paas rehe kar bhi milne ki taraste hai…
$. Zindagi kisi ki mohtaaz nahi hoti,
dosti sirf jazbaat nahi hoti,
kuch to khyaal aaya hoga khuda ko,
warna yuh hi aapki humse baat nahi hoti…
$. Har chuppi ka matlab ikraar nahi hota,
har nakamyaabi ka matlab haar nahi hota,
kya hua agar hum aapko paa na sake,
sirf pane ka matlab hi to pyaar nahi hota…
$. Jaam tootne ka bahana mat kar,
hum teri aankhon se pee lenge,
to mat aa – aane ka vada to kar,
hum tere intzaar mein jee lenge…
$. Kaash mere khuda ne ye dil sheeshe ka banaya hota,
todne wale ke haath mein jakhm to aaya hota…
$.
Jane kyon is jahan main aisa hota hai,
khushi jise milni chahiye gham usiko hota hai,
Umar bhar sath nibha na sake jo ,
jane kyon pyar usi se hota hai!!
Chand nahin to uski chandini hi sahi, Paas nahin to Duur hi sahi, Jii to rahe hain harpal yuhin ghut ghut ke, TUM nahin to TUMHARI justuji hi sahi..
Muskura do zara khuda ke vaste, sama-e-mahefil mein roshni kam hai, tum humhare nahin to kya ghum hai, hum tumhare to hain yeh kya kam hai?
Koi ankhon se baat ker leta hai, koi ankhon me mulakat ker leta hai, bada mushkil hota hai jawab dena jab koi khamosh rehker saval ker leta hai.
Mila jo hota ek pal pyaar ka,unke kadmo me khushi ban kar bikhar jate,
ruswa hue har baar toh kya,unki chahat me hum kuch bhi kar jaate,
tuta hai dil iss kadar fir bhi,iss baat pe rota hain,
ki hum woh tara bhi nahi jo tut ker unki ek khwaahish puri kar pate.
Muskura do zara khuda ke vaste, sama-e-mahefil mein roshni kam hai, tum humhare nahin to kya ghum hai, hum tumhare to hain yeh kya kam hai?.

 0 People liked it
0 Ratings


“ek wada bhi agar tujhe yad na rha to hum jyada ki chah kyon karte,
kiya hota agar pyar tune to hum kimat ki parwah kyon karte,
teri aankhon se jo lahu baha wo kisi aur ke liye hoga
agar hota humare liye to hum marne ka gunah kyon krte..”
Sapna Bishnoi
Kasam khuda ki humari mohabbat yu bewafa na thi
Ye to aap ki mehfil thi jisme ashiq-e-wafa na thi.
Gumrahi dilo tak itni ki lahu bhi samajh na aaya
Par dekhiye aap ki mohabbat mujhse khafa na thi.

 0 People liked it
0 Ratings


Dil ki basti bikhar gayi hoti,
Ruk ke ye zakhm bhar gaye hote,
Ye zindagi to aap ki amanat thi warna,
Hum to kab ke zindagi se rukshat ho gaye hote..

 0 People liked it
0 Ratings


Mujhay aur kahin le chal sanwal
jahan raat kabhi b soi na ho
jahan subah kissi pe roi na ho
jahan hijer ne wehshat boi na ho
jahan koi kissi ki khoi na ho
Mujhay aur kahin le chal sanwal
jahan shaher hoon sare wairane
jahan loog sabhi hoon baigane
jahan sab k sab hoon dewane
jahan koi humain na pehchane
Mujhay aur kahin le chal sanwal
jahan nafrat dil mein bus na sake
jahan koi kissi ko dus na sake
jahan koi kissi pe huss na sake
jahan koi b gunjal kass na sake !
Mujhay aur kahin le chal sanwal
jahan dard kissi ko raas na ho
jahan koi b uddas na ho
jahan zulmat ki boo bass na ho
jahan too b ziada pass na ho
Mujhay aur kahin le chal sanwal

 0 People liked it
0 Ratings


Kab Ho Qubuliyat Ki Ghadi Naa Jaane
Tumhe Har Dua Me Maangna Chahti Hoon
Ho Jao Tum Mere Aur Mein Tumhari
Har Pal Bass Yahi Ehsaas Chahti Hoon
Tum Se Hi Ki Bass Mohabbat Mein Ne
Aapni Saari Zindagi Tumhare Sang Chahti Hoon
Karti Hoon Mein Aaj Ye Iqraar
Mein Tumhe Bass Tumhe Hi Chahti Hoon
Haqq Ke Sath Kahoun Mein Tumhe Apna
Tum Se Bas Mein Aaj Yahi Razaa Chahti Hoon..

 0 People liked it
0 Ratings


Apni tanhai ka aalm tujh ko batau kaise
apni barson ki tadap chupaon kaise
raha na jaye mujh tere bin ab
main apne dill ko samajhau kaise
najane kasi kashish hai tujh main
main apne jazbat ko rok pau kaise
najne kaisi aas hai tujh se
main apni umeedon ko rok pau kaise
bara dilnashi hai ahsas tera
main is ahsas se bahar aon kaise
pata nahi kaisa he ye diwanapan
main apni diwangi ko rok pau kaise
bare pyar se sajaya hai sapna ye apna
main apne in sapnoo ko tor pau kaise
main yahan tu wahan
main apne ap ko smbhal pau kaise...

 0 People liked it
0 Ratings


Kaash kabhi hota yeh meray ikhtiar main
maiN rang deta janan tujhe apnay peyar main
main itna peyar deta tujhe jan-e-arzoo
tu khud ko bhool jati meray aitbaar main
tu jo kabhi bulati mulaqaat ke liye
be-chain ho k phirti meray intizar main
main dair say jo aata naaraaz ho ke tum
har baat ka jawab deeti inkaar main
tu jo kisi baat par mujh se rooth jati
main tujhay manata bare israar main
maan kar tu mujh se sirf yehi kehti
hai yaqeen nahin kami koi tere peyar main
kash kabhi hota yeh meray ikhtiar main
main rang deta janan tujhe apnay peyar main

 0 People liked it
0 Ratings


Saawan aaye yaa naa aaye yaad kisseekee aatee hai
Mere dil ke armaanon ko Tees koyee de jaatee hai
Meethaa saa ehsaa huaa is pyaasee dil kee DhaDkan men
Naach rahaa hai mausam jaise aor kali muskaatee hai
Ek hawaa kaa jhonkaa aayaa aor khushee kee lahar uthee
Mere soone aangan men ik khushboo see lahraatee hai
Jeene kee chaahat ko dekho ek nayaa andaaz milaa
TooTe mandir men bhee jaise jyot koyee jal jaatee hai
Bahut dino se baat huee naa aor na koyee khat aayaa
Par sapne men jab vo aate neend meree uD jaatee hai
Shrikrishan Makhija

 0 People liked it
0 Ratings

Previous Page

Post Shayari

Next Page

Showing Hindi Shayari 2181 - 2190 of 3592, Page 219 of 360 pages.