Hindi Shayari

Hindi Shayari - A large collection of Hindi Shayari. We and our regular valuable users regularly add their shayari into Hindi Shayari category as well as in other various shayari categories. So We have a best and huge collection of Hindi Shayari and other shayari messages from various shayari categories in various language.

  
Post Hindi Shayari
Name:
Email:
Category:
Shayari :

Enter the code below shown above

List of Hindi Shayari

Showing Hindi Shayari 2281 - 2290 of 3592, Page 229 of 360 pages.


Aap ki yaad aatii rahii raat bhar
Chashm-e-nam muskuraatii rahii raat bhar
Raat bhar dard kii shammaa jaltii rahii
Gam kii lau tharatharaatii rahii raat bhar
BaaNsurii kii surilii suhaanii sadaa
Yaad ban ban ke aatii rahii raat bhar
Yaad ke chaaNd dil men utarate rahe
ChaaNdanii jagamaatii rahii raat bhar
Koii dewaanaa galiyon may phirataa rahaa
Koii aavaaz aatii rahii raat bhar.

 0 People liked it
0 Ratings


Honton pe aaj hasi khil aayi hai,
Pyar ki kimat ab samajh me aayi hai.
Jamane wale bhi na kar payenge alag,
Agar Rab ne hamari jori banayi hai.

 0 People liked it
0 Ratings


Badi takleef me tha aa fasi thi jaan saansat me
kaha usne tha jab mai jaa raha hu raaste apne
kaleja kaanp uttha tha nazar bhar bhar k aayi thi
mere kadmo k neeche na rahe the paanv khud apne
kami kuch thi nahi paayi mili fir bhi ye rusvaai
yu aise hi achanak se bhala, toote hain kyu sapne
baharo se utha patjharh me laa patka mujhe tumne
mere dil ka tamasha kar k man behlaaya khud tumne
kabhi socha na tha ye aag apna ghar jala degi
ye dil k khel me aafat khudi ko khud kari humne.

 0 People liked it
0 Ratings


Unse koyee shikwaa na shikaayat hee karenge
Jo kuchh milaa hai pyaar men chupchaap sahenge
Dil kee deewaar pe zakhmon ko siyaa hai maine
Dard uthtaa hai to usko bhee piyaa hai maine
Gham kee vaadee men ye toofaan jab bhee aate hain
Apnee yaadon ko hee ilzaam diyaa hai maine
Meree DhaDkan men vo rahte hain jaise sadiyon se
Par zubaan se na kabhee naam liyaa hai maine
Berukhee unkee ye kis moD pe le aayee hai
Aansuon ko bhee to chupke se piyaa hai maine
Bezubaan dil ye bhalaa kaise koyee baat kahe
Isko nagmon men hee izhaar kiyaa hai maine
Saans chaltee hai to jeenaa bhee paDegaa mujhko
Meree tanhaayee ko aise hee jiyaa hain maine

 0 People liked it
0 Ratings


Ashq rukenge nahi aankhon main aaya hi karenge
Fasana bewafai ka jahanko bataya hi karenge
Fankar lakh chahe gito se nijat
Saj-E-Jhankar pe kuchh gungunaya hi karenge
Jakhmi dil ki karah tum tak pahunche na pahunche
Ye shero ka guchhe tum tak jaya hi karenge
Paida hote rahenge tum sa jahan main jab tak
Mohababate chirag yun hi bujh jaya hi karenge
Likhte rahenge ‘Avinash’ Hum hal apne dil ka
Ban jaye nek gajal to log gaya hi karenge..

 0 People liked it
0 Ratings


Adhuri Mulaqat
Har mulaqat unse adhuri si rahi,
har khushi mein kuch kami si rahi,
khwab kya dekhe tumhare humne “Nirmal”,
ki neend ki ankhon se dushmani si rahi.. .

 0 People liked it
0 Ratings


Kabhi Aansoo Kabhi Khushboo Kabhi Naghma Banker
Hum Say Her shaam Mili Hai Tera Chehra Banker
Chand Nikla Hai Teri Aankh ke Ansoo Ki Tarah
Phool Mehkay Hain Teri Zulf Ka Saya Banker
Meri Jaagi Huyi Raaton Ko Usi Ki Hai Talash
So Raha Hai Meri Ankhon Main Jo Sapna Banker
Dil Kay Kaghaz Par Utarta Hai Jo Sheron Ki Tarah
Meray Hontoon Pay Machalta Hai Jo Naghma Banker
Raat Bhi aaye To Bujhti Nahin Chehray Ki Chamak
Rouh Main Phail Gaya Hai Woh Ujala Banker
Mera Kya Haal Hai Yeh Aakay Kabhi dekh To Lay
Jee Raha Hoon Tera Bhoola Hoa Vada Banker
Dhoup Main Kho Gaya Woh Haath Chhura Kar
Ghar Say Jo Saath Chala Tha Mera Saya Banker
Kabhi Aansoo Kabhi Khushboo Kabhi Naghma Banker
Hum Say Her Shaam Mili Hai Tera Chehra Banker

 0 People liked it
0 Ratings


Na kabhi kisi se gila kiya
Mujhey ajab iska sila mila
Muhabbatun ki kitab ka
Har ek warq jala diya
W o jo aarzu ka chiragh tha
Ussey nafratun ne bujha diya
Mujhey zakhm phir ek naya diya
Mujhey is muhabbat ne kiya diya
Woh jo kehte they khush raho
Woh jo kehte they meri jan ho tum
Har lamha hansa karo
Mujhey aaj unhun ne rula diya
Mera nishan tak mita diya!!!!

 0 People liked it
0 Ratings

Previous Page

Post Shayari

Next Page

Showing Hindi Shayari 2281 - 2290 of 3592, Page 229 of 360 pages.