Hindi Shayari

Hindi Shayari - A large collection of Hindi Shayari. We and our regular valuable users regularly add their shayari into Hindi Shayari category as well as in other various shayari categories. So We have a best and huge collection of Hindi Shayari and other shayari messages from various shayari categories in various language.

  
Post Hindi Shayari
Name:
Email:
Category:
Shayari :

Enter the code below shown above

List of Hindi Shayari

Showing Hindi Shayari 2331 - 2340 of 3592, Page 234 of 360 pages.


Meri tanhaian aksar ye mujhsey poocha karti hain,
Mohabbat kaisa bandhan hain
Mohabbat kaisey hoti hey to me izhaar karti hoon,
Mohabbat aisa darya hain,
Ke jis ma doob janey se bohat araam milta he.
Mohabbat ek khushboo hain jo ek angan ma mahakti he,
Mohabbat aisa sawan he jo ankho se barasta hain,
Mohabbat aisi basti hain
Ke jisme rahney wala koi bhi pyasa nahi rehta,
Mohabbat aisi jeewan hain
Jo marta he na mit ta hain,
Mohabbat aisi shama hain
Jo sari umer jalti he
Mohabbat ek chaon hai ya MAAN ke pyaar jeisey hai,
Kuch nahi pata ke kia hey mohabbat,
Per itna janta hun ke,
Mujhey Tum Say Mohabbat Hai..

 0 People liked it
0 Ratings


Socha na tha yun kabhi.
Ek ajnabi se yun milunga kabhi..
Woh ajnabi kab ban jayegi zindagi meri..
Socha na tha yun kabhi.

 0 People liked it
0 Ratings


Udaasiyon Ka Sabab Jo Likhna
To Ye Bhi Likhna
Ke Chand Taare Sub Badal Gaye Hain
Wo Zinda Lamhe Jo Teri Raahon Main
Tere Aane Ke Muntazir Thay
Wo Thak Ke Saayon Main Dhal Gaye Hain
Wo Teri Yaadein Khayal Tere Ranj Tere ILzaam Tere
Wo Teri Aankhein Sawaal Tere
Wo Tum Se Mere Tumaam Rishte Bichar Gaye Hain
Udaasiyon Ka Sabab Jo Likhna
To Ye Bhi Likhna
In Honton Pe Na Mukkamal Hone Waali Duaon Ke Suraj
Pighal Gaye Hain
Ab Tumaam Sapne Hi Jal Gaye Hain

 0 People liked it
0 Ratings


Bekhudi ki zindagi hum jiya nahi karte,
jaam dusro se chinkar piya nahi karte,
unko mohobbat he to aakar izhar kare
warna hum kisika picha nahi karte.
Keval Khona

 0 People liked it
0 Ratings


“gham se bhara hai yeh dil,
ek saathi chahiye is dil ko,
gham ko mittaa de mere saathi,
koun hai aisa saathi jo mera saath zindhagee nibhathi.”

 0 People liked it
0 Ratings

Aourat ka samman karo mat iska apmaan karo
Ma banke pyar ye deti baise tum bhi pyae karo
Kabhi to yah beti banti kabhi bahen ban jati hai
Maa banke duniya me yeh kitne farz nibhati hai
Ghar ko aourat swarg banati khusiyon se sajati hai
Ghar ki aan maan ki khatir har dukh sah jati hai
Jaan ko apni de deti hai izzat nahi gavati hai
Kabhi sati banke aourat lapto me jal jati hai
Har dukh haskar sahti himmat nahi harti hai
Jisko dil se pyar yeh karti uss par jaan barti hai
Aourat bo phool kamal hai duniya ko mahkati hai
Pyar ke yeh deep jala kar jag roshan kar jati hai
Ab socho aourat sachhi ya sachhi yeh duniya hai
“SAGAR” kahta aourat sab kuch aourat se hi duniya hai.

 0 People liked it
0 Ratings


Chahat ki mehfil main bulaya hai kisi ne,
Khud bula ker phir sataya hai kisi ne,
Jab tak jali hai shama jalta raha parwana,
Kiya is tarhan saath nibhaya hai kisi ne
Armaan mere raiza raiza hogaye hain,
Yun kil k aangan say giraya hai kisi ne,
Aag lagi hai dasht main koi kiya bhujaye ga,
Dil is tarah say aaj jalaya hai kisi ne,
Dil rota hai raat bhar yaad kar k kisi ko,
Is tarhan ulfat main zakham khaya hai kisi ne,
Sangdil jo tha aaj woh bhi ro parha
Us ko bhi tarpaya hai kisi ne..

 0 People liked it
0 Ratings


Unki jahan se nirali hai ada,
Andaz unke hai yaaron sabse juda,
Khafa ho jayen to qaatil se kam nahi,
Meharbaan ho jayen to lagne lagte hain khuda.

 0 People liked it
0 Ratings

Previous Page

Post Shayari

Next Page

Showing Hindi Shayari 2331 - 2340 of 3592, Page 234 of 360 pages.