Hindi Shayari

Hindi Shayari - A large collection of Hindi Shayari. We and our regular valuable users regularly add their shayari into Hindi Shayari category as well as in other various shayari categories. So We have a best and huge collection of Hindi Shayari and other shayari messages from various shayari categories in various language.

  
Post Hindi Shayari
Name:
Email:
Category:
Shayari :

Enter the code below shown above

List of Hindi Shayari

Showing Hindi Shayari 2381 - 2390 of 3592, Page 239 of 360 pages.

Kaun Hain Wo Log
Jo Kar Rahe Hain Vyapaar Maut Ka
Pila Ke Nasheeli Davaayen
Laga Ke Zehreele Injection
Kar Rahe Hain Kaam Ek Saut Ka
Lad-Khadate Kadam
Ukhadati Saanse
Jharjharata Badan
Chhod Nahin Paata Is Latt Ko
Ye Latt Jaanleva Hai
Samajh Nahin Paata Is Sat Ko
Wo Log Jo Is Vyapaar Me Lage Hain
Wo Na Kisi Ke Bhayi Hain Na Kisi Ke Sge Hain
Unhone Har Haal Me Apni Rotiyan Seki Hain
Aag Stove Ki Ho Ya Chita Ki
Unhe Sunai Nahi Deti Siskian
Wo Kisi Maa Ki Ho Ya Pita Ki.

 0 People liked it
0 Ratings


Agar kabhi unse pyar ham karenge,
Har haal me unpar aitbar ham karenge.
Karenge sada ham puri aarzu unki,
Vada raha kabhi takrar na karenge.

 0 People liked it
0 Ratings


Manzile bahut hai afsane bahut hai,
Raahe zindagi me imtehan aane bahut hai,
Mat kar gila uska jo na mila tujhe..
Iss duniya me Jine ke bahane bahut hai.

 0 People liked it
0 Ratings


Apne Gamo ko kahin aur na le jaya jaye,
Ghar ki cheezo ko Ghar me sajaya jaye,
Ghar se majzid hai bahut dur.bahut dur,
chalo aisa kare kisi roote hua baache ko hasaya jaye

 0 People liked it
0 Ratings


Zakhm gahare nahi is dil ke,
Dard mein is kadar mithas na thi.
Ye unki hi meherbani hai varna,
Zindagi is kadar udas na thi.
Tu he mil jaye mujhe ye he kaafi hai,
Meri har saans ne ye hi dua maangi hai,
Jaany kyon Dil khincha jata hai Teri taraf,
Kya tu ne bhi mujhe paany ki DUA maangi hai !!!
Kaash Hume Bhi Koi Chahta
Koi Apni Palko Tale Hume Sulata,
Sirf Apni Zindgi Me Hum Hanste Rahenge
Kash Apni Yaado Se Koi Hame Rulata.

 0 People liked it
0 Ratings


Teri kitaab-e-hayat meiN, meri aukat ik safaa hai,
Rangin fasaanon mein dabii kahin meri wafa hai.
(Kitaab-e-hayat=Book of life, Safa=Page)
Shikayat us likhne wale se hai, tujhse koi gila nahi,
Jo shayad is kahani mein mere kirdar se khafa hai.
Kitaab-e-muqaddas hai mera pyaar, par haar mili,
Isme koi fasl hi nahi jiska nam nuksan ya nafa hai.
(Kitaab-e-muqaddas=Bible, Fasl=Chapter)
Unke diid par daffatan nikal gaya “ya mere khuda”
Wo ise agar mante hain meri jafa to meri jafa hai.
(Diid=Sight, Daffatan=Suddenly)
Taariikh jaanta hai talwaar ki aziyaten kalam par,
Haari hai shamshiir, kalam ki fateh har dafaa hai..

 0 People liked it
0 Ratings


likha hai maine kuch is tarah se
ki pasand aye shayad apko
rahe yaa naa rahe hum duniya me
yaad rahenge apko
agar judda ho bhi jaye rooh is jism se
kabhi bhi nahi bhulenge hum
yaad rakenge apko…

 0 People liked it
0 Ratings


Kisi ko kisi ke isharon ne loota,
Kisi ko kashti ke kinaro ne loota.
Aap to darte ho kasam khane se,
Hame to aapki kasam dekar hazaro ne loota.
Zakham gahre the izhaar kya karte,
Khud hi nishana ban gaye war kya karte.
Mar gaye magar khuli rahi aankhen,
Isse jyada kisi ka intzaar kya karte.
Wafa ke naam se woh anjaan the,
Kisi ki bewafai se shayad preshan the.
Humne wafa deni chahi to pata chala,
Hum khud bewafa ke naam se badnaam the.

 0 People liked it
0 Ratings

Previous Page

Post Shayari

Next Page

Showing Hindi Shayari 2381 - 2390 of 3592, Page 239 of 360 pages.