Hindi Shayari

Hindi Shayari - A large collection of Hindi Shayari. We and our regular valuable users regularly add their shayari into Hindi Shayari category as well as in other various shayari categories. So We have a best and huge collection of Hindi Shayari and other shayari messages from various shayari categories in various language.

  
Post Hindi Shayari
Name:
Email:
Category:
Shayari :

Enter the code below shown above

List of Hindi Shayari

Showing Hindi Shayari 2401 - 2410 of 3592, Page 241 of 360 pages.


Sochte sab hai badalta nahi koi,
Dil ki raah par chalta nahi hai koi,
Tej chalna to sabko aata hai,
Magar thokar lagne par sambhalta nahi hai koi.
`~`
Jo aapke masoom se hotho par hasi hai,
Wo dard ki aahat ki hakeekat me khushi hai,
Ek muddat huye bichade huye tumase lekin,
Teri soorat abhi bhi mere dil me basi hai.
`~`
Din ko chain nahi, raat ko aaraam nahi,
Na jee lage kahi, ae khuda kya yahi pyaar hai,
Jawaab aaya- are paagal, ye pyaar nahi,
Ye to ‘summer’ ki garmi hai.
`~`
Lamhe judaai ke bekaraar nahi karte hai,
Haalaat mere mujhe lachaar karte hai,
Aankhen hamaari pad lo kabhi,
Ham kaise kahi ki ham aapse pyaar karte hai.
`~`
Sadiya gujar gai, tera deedaar na hua,
Gulaab tuta ek baar phir gulajaar na hua,
Hamne to yara tujhako pyaar kiya hardam,
Magar tujhko kabhi bhi hamse pyaar na hua.
`~`
Maangta hu to deti nahi jawaab meri baat ka,
Deti hai to khada ho jata hai rom-rom jazabaat ka,
Pata nahi kyon wo bolti hai,
Ki dheere se daalo baalo me phool gulaab ka.
`~`
Boond-boond se hai saagar ki gehraai,
Iski har boond hai mujh me samaai,
Koi maange to ek boond na de sakenge,
Kyonki har boond me hai aapki dosti samaai.
`~`
Pyaar ek lamba,
Meetha sapna hota hai,
Aur shaadi ek alarm ghadi.
`~`
Meethe dard ka asar hai, sehkar to dekho,
Pyaar katra nahi samundar hai, behkar to dekho,
Tumhaare liye to chod denge jamana,
Ek baar hame dost kehkar to dekho.
`~`
Ye SMS kewal khoobsurat aur smart logo ke liye tha,
Galti se ise hamne aapke mobile par bhej diya hai,
Isaliye jyada khush mat hona,
Asuvidha ke liye ham dil se maafi maangte hai.
`~`
Sooraj se roshan hai saara jahaan,
Hame ek diye ki talaash hai,
Apne paas logo ki kami nahi hai par
Door apne bhi koi khaas hai,
Chaahta hu tujhe pyaar du,
Dosti pe apni jindagi waar du,
Jab bhi tera SMS nahi milata to,
Man karta hai ki teri jaan nikaal du.
`~`
Kaash aisa ho ki tumko tumse chura lu,
Waqt ko rokkar waqt se ek dil chura lu,
Tum paas ho to is raat se ek raat chura lu,
Tum saath ho to is jahaan se ye jahaan chura lu.
`~`
Mere rab mere yaar ko,
Saari khushi dena,
Bhool jaaye na dosto ko wo khushiyo ke mele me,
Isaliye thodi yaad unhe ham dosto ki bhi de dena.
`~`
Main aasmaan me baadlo ko dekh raha tha,
Bahut hi sundar najara tha,
Tum aa gaye to main tumhe dekhne laga,
Aur kya tha bas dekhta hi reh gaya.
`~`
Tumhaari yaado ko rok pana hai mushkil,
Rote huye dil ko manana hai mushkil,
Ye dil aapko kitna yaad kar raha hai,
Is ek SMS se likh paana hai mushkil.
`~`
Intajaar uska jiske aane ki koi aas ho,
Khushboo bhi us phool ki jo mere paas ho,
Manjil na mil saki hame to koi baat nahi,
Gam bhi usi shakhs ka hota hai jise pyaar ka ehsaas ho.
`~`
Shaam ki tanhaai me kho na jana,
Kisi ki masti me doob na jana,
Milegi jaroor kal manjil tumhe,
Use paakar is naacheez ko bhool na jana.
`~`
Yaado me tum, khyaalo me tum,
Teri aankhon me ho gaye ham gum,
Bhool gaye saari duniya,
Bas yaad hai to sirf tumtumtum.
`~`
Mujhe hamesha apna dost banakar rakhna aur,
Main tumhe apne dil me rakhkar tala lagakar
Chabi kahi bahut door fenk doonga taaki
Koi tumhe mujhase door nahi le ja sake.
`~`
Yaad aati hai jab unki yaaro to
Ek sher ban jata hai,
Waise to hamko yaaro
Likhna bhi kahaa aata hai.
`~`
Jee chaahe jitna sataao,
Shikayat karne waale ham nahi,
Ittefaak ki baat hai ki pyaar aapse hai,
Warna itane keemti SMS karne waale ham nahi.
`~`
Mat kariye dost apni girl friend se itni mohabbat,
Wo aankhon se waar karti hai,
Maine dekha hai uski aankhon me,
Wo mujhse bhi pyaar karti hai.
`~`
Mujhko gulaab mat dena mere sanam,
Mere liye tum hi gulaab ho,
Mere dile sawaalo ka tum hi jawaab ho,
Mere khuda ho tum, meri jaan ho tum,
Aapka koi jawaab nahi, aap to laajwaab ho.
`~`
Hajaaro bete kal aur laakho aane waale kal
Ke beech ka din aaya hai aur
Main use aise hi nahi jaane doonga,
Tumse main jaroor kahuga ki tum bahut khoobsurat ho
Aur main tumse bahut pyaar karta hu.
`~`
Jogi ko pyaar hai apni raakh se,
Kabaadi ko pyaar hai apni khaak se,
Jaasoos ko pyaar hai apni jhaanch se,
Par hame pyaar hai aapki aankh se.
`~`
Ham aapki yaad me udaas hai,
Bas aapse milane ki aas hai,
Chaahe dost kitne hi kyon na ho,
Apne liye to bas aap hi khaas hai.
`~`
Jakhm ki baat nahi hai, jaane dard kyon hota hai,
Dhokhe ki baat nahi hai, jaane wishwaas kyon hota hai,
Jaante hai ki bewafa hai,
Na jaane phir bhi pyaar kyon hota hai.
`~`
Kuch kismat hi aisi rahi dosto,
Ki ab jindagi se koi tamanna nahi rahi,
Jisako chaha usko pa na sake,
Aur jo mila use mohabbat nahi huyi.
`~`
Naseeb se milta hai pyaar,
Naseeb se milta hai deedaar,
Badi naajuk cheej hai jara sambhaal ke rakhna,
Kyonki naseeb waalo ko milta hai kisi ka sacchaa pyar.
`~`
Ek aadmi poori jindagi sochta raha,
Sochta raha, sochta raha aur
Sochte-sochte hi mar gaya ki
Agar meri bahan ke 2 bhaai hai, to mera ek kaise?
`~`
Is dil me dekho tasweer tumhaari hai,
In aankhon me dekho tasweer tumhaari hai,
Jee rahe hai ab tak apni marjee se,
Lekin ye maut ab amaanaat tumhaari hai.
`~`
Tum jab se aa gaye jindagi me,
Jitane the gam sab kho gaye,
Pehale the ham patthar ke,
Lekin ab mom ke ho gaye.
`~`
Apna samajhkar tumhe chaahte rahe,
Bereham se khud ko behlaate rahe,
Na miloge tum phir bhi maanta nahi man,
Maante tumhe paane ki tum maangte rahe.
`~`
Meri shaadi hogi to aapse hogi,
Ye mera wada hai,
Main mar jaauga tumhaare bina,
Ye mera irada hai.
`~`
Ae dost jab bhi tu udaas hoga,
Mera khyaal tere hi paas hoga,
Dil ki gehraaiyo se jab bhi karoge yaad hame,
Tumhe hamaare kareeb hone ka ehasaas hoga.
`~`
Jitna maine kiya kaun itna pyaar karega,
Meri baate sanam tujhe yaad aaya karegi bahut,
Meri aashiki, meri deewaangi bhulegi kaise tu,
Teri dhadkan, teri saanse tujhe roolaya karegi bahut.
`~`
Na aisi baat karo,
Dil dhadak jaata hai,
Pyaar karne ko betaabi se machal jata hai.
`~`
Daali se patte, yu hi gira nahi karte,
Bichad ke log jyada jiya nahi karte,
Kuch naye SMS ho to bhejiye,
Puraane ham baar-baar pada nahi karte.
`~`
Aaj phir dil hai kuch udaas jaane kyon,
Ek maayusi si chaai hai,
Aaj phir palko par paani,
Bheed me hu phir bhi kyon ye tanhaai hai.
`~`
Aapse bahut pyaar karta hu,
Ab shaadi karna chaahta hu,
Main kisi ke saath nahi,
Tumhaare saath marna chaahta hu.
`~`
Dil ko kisi pal bhi karaar na aaya,
Na tera koi khat ya sandesh na aaya,
Tum nadaan ho, nasamajh ho ya phir kuch aur,
Tumhe sab kuch aaya magar pyaar karna na aaya.
`~`
Kahaan tak jaalim tera intajaar karu,
Tu bewafaa to nahi magar kitna aitbaar karu,
Sitam mujh par huye aur tum chup hi rahe,
Ae sanam ab kis tarah use pyaar karu.
`~`
Meri aankhen tere deedaar ko tarasti hai,
Meri nas-nas tere pyaar ko fadakti hai,
Tu to bata jaanam tujhko bhulaau kaise,
Meri rooh tak teri yaad me tadapti hai.
`~`
Dekha nahi hai koi tujhsa,
Dekhane tujhe jannat se bhi laut aayenge,
Jab tak deedaar na ho tera,
Mar kar bhi ham chain se na mar paayenge.
`~`
Dil to hai ek raahi jana, jiski tum manjil ho,
Dil to hai ek kashti jana, jiski tum saahil ho,
Dil na phir kuch maangega jana,
Agar tum haansil ho.
`~`
Ham tere pyaar me ae yaar waha tak pahuche,
Jaha ye bhool gaye ham ki kaha tak pahuche,
Ek sadi tak na waha pahuchegi duniya saari,
Ek hi ghoont me deewaane jaha tak pahuche.
`~`
Najar jab mili to fasaane ho gaye,
Ek pal me ham aapke deewaane ho gaye,
Jab se aaye hai aap hamaari jindagi me,
Andaaz hi hamaare shaayrana ho gaye.
`~`
Diya ummeedo ka yu bujhaya nahi karte,
Pyaar karne waalo ko yu bhulaya nahi karte.
`~`
Bure waqt ka daur mit jaayega tere aane se,
Baaj aa jaao ab sir dard ke bahaane se,
Ek muddat se milna nahi hua hai tera,
Aitraaj kya hai tujhe rasme wafa nibhaane se.
`~`
Chale aaye wo chhat par us din,
Log samajh baithe ki chaand hai,
Khuda hai usse khafa, ab isme unki kya khata hai,
Husn paya hai unhone to unke jalwo se kaun door reh payega.

 0 People liked it
0 Ratings


Aap ki yaad aatii rahii raat bhar
Chashm-e-nam muskuraatii rahii raat bhar
Raat bhar dard kii shammaa jaltii rahii
Gam kii lau tharatharaatii rahii raat bhar
BaaNsurii kii surilii suhaanii sadaa
Yaad ban ban ke aatii rahii raat bhar
Yaad ke chaaNd dil men utarate rahe
ChaaNdanii jagamaatii rahii raat bhar
Koii dewaanaa galiyon may phirataa rahaa
Koii aavaaz aatii rahii raat bhar
*«´¨`·.¸¸.*¤* IMRAN m3m0n *¤*.¸¸.·´¨`»*

 0 People liked it
0 Ratings


mere dosto ko mera salaam kahe
naya saal sabko ye paigaam kahe
jindagi me sirf sukho ki hi nahi
dukho ki bhi thori shaam rahe
aisa mera paigam nahi jo chu na paye har dil ko
jaye jo bhi jana hai bas har dilo se ye awaz rahe
begano ki basti me anjaane kabhi na hum rahe
reh jaye to reh jaye par sabko ye inaam rahe.
dar kar jiye na hum kabhi aisa mera ailaan rahe
pyaar mohabbat mile sabko aur humari shan rahe
jane anjane me koi bhul na ho hum se aisi ki
dosto ki mehfil me hum pal bhar ke mehman rahe
parha kitabo me aur dekha bhi hai hum ne
jo chand sitaro ki bate hai unka ye armaan rahe.
chape humare dilo pe wo maohabbat ki syahi se.
mit na paye wo kabhi aise shabdo ka kam rahe
mubarak A very Happy New Year with a pleasant combination of sorrow that made the joy
most joyfull.
har dukh ki wo andhi aye jeevan me tere
ki adventure kya jaan jaye dost ye bahu-tere

 0 People liked it
0 Ratings


Us se kaho Ek Bar bhool Kar aa jae,
Jo beeti hai Us per woh Suna jae.
Hans hans ke Ghum chupane ka hunar,
Us se kaho Hum ko bhi Sikha jae.
Us ki yaad mein Tarapta rehta Hoon har pal,
Us se kaho Mere dil se Apna naam Mita jae.
Arsa huwa Hai Chand Ko dekhe Huye,
Us se kaho Apna chehra Dikha jae.

 0 People liked it
0 Ratings


Chalo muskura do yeh pal badal na jaaye
khabar kaya ho kal kaun yahan samajh paaye
Tum akale nahi pareshan es jahan mei
Gum hum ko bhee hai kaise tumhe bataye
Yuin ro ro kar agar sukoon aa jaaye
aansoonon kei yahan kyon na samadar lag jaaye
Haathon mei likhi lakeere agar bataye
Duniya mei phir kayon koi gam najar aaye

 0 People liked it
0 Ratings


“gham se bhara hai yeh dil,
ek saathi chahiye is dil ko,
gham ko mittaa de mere saathi,
koun hai aisa saathi jo mera saath zindhagee nibhathi.”

 0 People liked it
0 Ratings


Amawas ki kaali raaton mein dil ka darwaja khulta hai,
Jab dard ki pyaali raaton mein gum ansoon ke sang hote hain,
Jab pichwade ke kamre mein hum nipat akele hote hain,
Jab ghadiyan tik-tik chalti hain, sab sote hain, hum rote hain,
Jab baar baar dohrane se saari yaadein chuk jaati hain,
Jab unch-neech samjhane mein mathe ki nas dukh jaati hain,
Tab ek pagli ladki ke bin jeena gaddari lagta hai,
Aur us pagli ladki ke bin marna bhi bhari lagta hai.
Jab pothe khali hote hain, jab har sawali hote hain,
Jab gazlen raas nahin aatin, afsane gaali hote hain.
Jab baasi feeki dhoop sametein din jaldi dhal jaata hai,
Jab suraj ka laskhar chhat se galiyon mein der se jaata hai,
Jab jaldi ghar jaane ki ichha mann hi mann ghut jaati hai,
Jab college se ghar laane waali pahli bus chhut jaati hai,
Jab beman se khaana khaane par maa gussa ho jaati hai,
Jab laakh mana karne par bhi paaro padhne aa jaati hai,
Jab apna manchaha har kaam koi lachari lagta hai,
Tab ek pagli ladki ke bin jeena gaddari lagta hai,
Aur us pagli ladki ke bin marna bhi bhari lagta hai.
Jab kamre mein sannate ki awaj sunai deti hai,
Jab darpan mein aankhon ke neeche jhai dikhai deti hai,
Jab badki bhabhi kahti hain, kuchh sehat ka bhi dhyan karo,
Kya likhte ho lalla dinbhar, kuchh sapnon ka sammaan karo,
Jab baba waali baithak mein kuchh rishte waale aate hain,
Jab baba humein bulate hain, hum jaate hain, ghabrate hain,
Jab saari pahne ladki ka ek photo laya jaata hai,
Jab bhabhi humein manati hain, photo dikhlaya jaata hai,
Jab saare ghar ka samjhana humko fankari lagta hai,
Tab ek pagli ladki ke bin jeena gaddari lagta hai,
Aur us pagli ladki ke bin marna bhi bhari lagta hai.
Didi kahti hain us pagli ladki ki kuchh aukat nahin,
Uske dil mein bhaiya tere jaise pyare jasbat nahin,
Wo pagli ladki mere liye nau din bhooki rahti hai,
Chup-chup saare vrat karti hai, par mujhse kabhi na kahti hai,
Jo pagli ladki kahti hai, main pyar tumhi se karti hoon,
Lekin mein hoon majboor bahut, amma-baba se darti hoon,
Us pagli ladki par apna kuchh adhikar nahin baba,
Yeh katha-kahani kisse hain, kuchh bhi to saar nahin baba,
Bas us pagli ladki ke sang jeena fulwari lagta hai,
Aur us pagli ladki ke bin marna bhi bhari lagta hai.
Originally written by manjeet singh dhondy.friends.mere mitr manjeet ji ki bahut saari rachnaaye aise hi chhdm(nakli)naamo se kai kai sites par padi hain.aur kuchh log use apne naam se chhaap r rahe hain.main un saari kavitaaon ko ek jagah laane ka prayaas kar rahaa hun.i hope..aapko ye poetry bhi pasand aayegi.

 0 People liked it
0 Ratings


Jab bhi hogi pehli baarish,
tumko samne hi paaenge.
Woh bundon se bhara chehra,
tumhara hum kaise dekh paaenge.
Bahegi jab bhi sard hawaen,
hum khud ko tanha paaenge.
Ehsaas tumhare saath ka,
hum kaise mehsoos kar paaenge.
Iss daurtee hui zindagi mein,
to hum bilkul hi ruk jaaenge.
Thaam lo humein girne se pehle,
hum kaise yun ji paaenge.
Le doobega yeh dard humein,
aur hum jeete ji marr jaaenge.

 0 People liked it
0 Ratings

Previous Page

Post Shayari

Next Page

Showing Hindi Shayari 2401 - 2410 of 3592, Page 241 of 360 pages.