Hindi Shayari

Hindi Shayari - A large collection of Hindi Shayari. We and our regular valuable users regularly add their shayari into Hindi Shayari category as well as in other various shayari categories. So We have a best and huge collection of Hindi Shayari and other shayari messages from various shayari categories in various language.

  
Post Hindi Shayari
Name:
Email:
Category:
Shayari :

Enter the code below shown above

List of Hindi Shayari

Showing Hindi Shayari 2421 - 2430 of 3592, Page 243 of 360 pages.


Jahan tu hai waha fir chandni ko kaun puchhega
Tera dar ho to jannat ka gali ko kaun puchhega
Kali wo hath main lekar baharo main na sharmana
Jamana tujhko dekhega kali ko kaun puchhega
Faristo ko pata dena na apni rahgujaro ka
Wo kafir ho gaye to bandgi ko kaun puchhega
Kisi ko muskurakar khubsurat maut na dena
Kasam hai jindgi ki jindgi ko kaun puchhega
Dupatta kandho pe rakhkar sare mahfil tu mat jana
Warna ‘Avinash’ ki iss shayri ko kaun puchhega.

 0 People liked it
0 Ratings


Tum jo har ek baat pe misaal dete ho
goya bada kamaal dete ho
hum dete hai har ek sawaal ka jawaab tere
ek tum har jawaab ka sawaal dete ho
kyu samajhte ho mere dil ko mazaak
kyu meri har baat hasi me taal dete ho
mai bachta fir raha dushvarion se
tum roz mushibat nai daal dete ho
mujhko andha kar ya le naqab aankho pe
kyu in aankho ka bawaal dete ho
ab tu kuch kar ya karne de kuch mujhe
kyu meri jaan saansat me daal dete ho
 .

 0 People liked it
0 Ratings


Dil ko Dil se Churaya aapne
Door hote hue bhi rishta nibhaya aapne..
Kabhi Bhool nahi payenge hum aapko..
kyoki yaad rakhna hi sikhaya aapne.

 0 People liked it
0 Ratings


Payar ka tofa diya tha jise wo hi dil ko jala gye.
Ankho me thi aanso kambakhat use v paani kah gye.
Na jaane kon si ghadhi me hui thi usse mulakat..
Bewajah khud to pareshan hue hi hame v pareshan kar gye..

 0 People liked it
0 Ratings


Mile ho aap mujhe to door nahi janaa.
Jindagi akelaa mujhe chhod mat jaana.
Khata ho gayi to maaf kar denaa.
magar dusare ke sahaare chhod mat janaa.

 0 People liked it
0 Ratings


Ishq ka baaki imtihaan aaj bhi hai
dil par tera nishaan aaj bhi hai
tum toh bhool gaye jaake nai duniya me
tere liye koi preshaan aaj bhi hai
log bhoole hai jala tha kisi ka ghar yaha par
magar khandhar ka nishaan aaj bhi hai
jamane ka kya bigda jo lut gaya kisi ka jahan
jamana toh mutmaaeen aaj bhi hai
nibhaya hai tumne khoob wafa ka vaada
meri peeth pe khanzar ka nishaan aaj bhi hai
banaya tha jo tumne hamari kabr-e-ishq pe
wo mehel aalishaan aaj bhi hai
tumne jaani me apne, na kasar kuch rakkha
fir kyu atki hui meri jaan aaj bhi hai
tum toh kehte the k tum bhool gaye ho ranzish
fir kyu meri maut ka saamaan aaj bhi hai..

 0 People liked it
0 Ratings

Duniya Ne Chena Woh Sub Kuch Jo Laga Mujhe Pyara
Har Koi Mujhse Jeeta or Mein Har Dam Hara
Jo Saaz Se Nikli Hai, Woh Sada Subne Sunni Hai
Jo Saaz Pe Guzri hai, Woh Kissi Dil ko Khabar Nahi
Tum Badle, Jahan Badla, Badli Nazar Zamane Ki
Yeh Ansoo Char Baqi Reh Gay Nishani Dil Lagane Ki
Galat Nahi Kay Zamane Mein Lajawab Hain Hum,
Samjh Sake Na Koi, Woh Kitab Hain Hu
Tappish Suraj Ki Hoti Hai, Jalna Zameen Ko Parta hai
Kasoor Ankhon Ka Hota Hai,Bhugatna Dil Ko Parta Hai
In Udas Mushkurahatoon Kay Pechay Ghum Kay Railay Hain
Ab Tumhain Kya Baaten Kay Tum Bin Hum Kitnay Akelay Hain.
Mujhe Is Baat Ka Gham Nahi Kay Badal Gaya Zamana
Meri Zindagi Toh Sirf tum Ho, Kahien Tum Na Badal Jana
Mana Kay Appki Nazaron Mein Kuch Nahi Hain Hum
Magar Unse Jakar Pucheay Jinhain Hasil Nahi Hain Hum
Khuda Kissi ko Kissi Pe Fida Na Karay
Agar Karay Toh Qayamat Tuk Judaa Na Karay
Hui Humse Yeh Nadani Teri Mehfil Mein Aa Baithay
Ho Kay Zameen Ki Khak, Asmaan Se Dil Laga Baithay
Jinki Yaad Hai Dil Mein Nishani Ki Tarha
Woh Toh Bhool Gaye Humain Kahani Ki Tarah
Mohabbat Kar Kay Dekhi Toh Mohabbat Ko Pehchana Hai
Wafa Buss Naam Ki, Bewafai Ka Fasana Hai
Ankhon Ko Intezar Ka Hunar De Kar Chala Gaya
Chaha Tha Ek Shaks Ko Jane Kidhar Chala Gaya
Laut Aay Na Kissi Roz Woh Awara Mizag
Khola Rakhtay Hain Is Aas Per Dar Sham Kay Baid
Bhol Jana Toh Rasam-e-Duniya Hai
Apne Kounsa Kamal Kiya

 0 People liked it
0 Ratings


Mein Haqeeqat Yun Samajhtey Hein Woh Afsaana Mujhey
Khud Jalaatey Hein Bana Kar Apna Parwaana Mujhey
Gardash-e-Dauraan Se Kehdo Housh Ke Baatein Karey!
Gham Ke Toofaanoun Se Bhi Aata Hey Takraana Mujhey
Un Se Un Ki Bazm Mein Itna Hi Keh Ke Uthh Gaya
Raunaqein Tum Ko Mubarak Aur Veeraana Mujhey
Jaaney Kya Aadmi Tha, Na-Aashna Lagta Tha Woh
Kar Gaya Sarey Shanasaaoun Se Be-Gaana Mujhey
Aisey ChhupChhup Kar Kahan Tak Zahmat-e-Jalwa- Gari
Hashar Jo Bhi Ho, Nazar Aa Be-Hijabaana Mujhey
Meri Tark-e-May Kashi Per, Meri Har Tauba Ke Baad,
Ehtiraaman Leney Aaya Meer-e-May Khaana Mujhey
Har Naye Saaqi Ne Uff! Hasb-e-Riwayat He Diya
Meray He Khoon-e-Jigar Se Bhar Ke Pemaana Mujhey
Dekh Kar Iss Dil Ki Thandi Aag Mein Jaltey Howye
Hogay Rukhsat Dua ayen De Ke Parwana Mujhey..
Sanam Khan

 0 People liked it
0 Ratings

Previous Page

Post Shayari

Next Page

Showing Hindi Shayari 2421 - 2430 of 3592, Page 243 of 360 pages.