Hindi Shayari

Hindi Shayari - A large collection of Hindi Shayari. We and our regular valuable users regularly add their shayari into Hindi Shayari category as well as in other various shayari categories. So We have a best and huge collection of Hindi Shayari and other shayari messages from various shayari categories in various language.

  
Post Hindi Shayari
Name:
Email:
Category:
Shayari :

Enter the code below shown above

List of Hindi Shayari

Showing Hindi Shayari 241 - 250 of 3592, Page 25 of 360 pages.


Khudaa Humko Aisee Khudaayee Na De
Ke Apne Siwa Kuchch Dikhaayee Na De
Khatawaar Samjhegee Duniyaan Tujhe
Ke Itnee Ziyaada Safaayee Na De
Hanso Aaj Itnaa Ke Is Shor Mein
Sada Siskiyon Ki Sunaayee Na De
Abhi To Badan Mein Lahoo Hai Bahot
Kalam Cheen Le Roshnaayee Na De
Khuda Aise Ehsaas Ka Naam Hai
Rahe Saamne Aur Dikhayee Na De–

 1 People liked it
0 Ratings


Khuda Aaj Ye Faisla Karde,..
market mein teji yaa Mandi Karde.
Bahut debit Sahe Hai Maine .
Koi Credit Ab Toh Muqadar Karde.
Bahot Muskil Lagta Hai teji se Duur Rehna,
Mandi Ke Safar Ko Kum Karde.
Jitna niche Chala Gaya senxex ,
Use Utna uppar Karde.
Nahi Likha Agar Nasib Me Credit,
To Khatam Kar Ye Zindagi aur
MARKET FANAA Kar de

 0 People liked it
0 Ratings


Dosto agar koi galti ho jaye to plz mujhe maaf kar dena..
koshish ki hai kuch likne ki usse ek baar jarur pad lena.
aur agar ho gai ho khata to maaf kar dena.

Kisi se shikayat nahi na hi hai koi gila
Nasseb main jo tha wahi hume mila
Jo bhi mila aapse hume usse dil main basa liya
Jo wade kiye the apne humse usse sar aankho pe rakh liya
Tab pata chala ke humne to appko apni jindgi bana liya
Na thi khabar ke jindgi aur maut main hai koi farak
Bas tumne hume maut ko samajna sikha diya
Kaise tadpte hai log aapni jindgi ke liye ye hume pyaar ne sikha diya..

 0 People liked it
0 Ratings


Aankhon me unki jab sisakTe huye dekha.
Dhundhla sa kahin apna chehra chupa dekha.
Ikrar-e-mohabbaT chupaaye na chuppe..
Phir bhi ek berang parde ko lehraaTe huye dekha..
Un aankhon me, nami ko sab bayaan karTe dekha..
Dard ko apne daaman me chipaaTe huye dekha..
Na de paaye apna dard woh mujhe kisi bhi haal me..
Phir bhi unke dard ko, apni palkon me uTarTe dekha..
Mere dard se bekhabar woh bhi nahi..
ChuhpTe chupaaTe siskiyon ko unhone bhi dekha.

 0 People liked it
0 Ratings


zindagi aa tujhe qaatil k hawaale kardun.
mujhse ab khoone tamanna nahi dekha jaata
—————

 0 People liked it
0 Ratings


Ab hum juda ho kar sayad mil na pain gain.
Aik dosray ko magar phir bhi yaad ayen gain.
Dhoonda karain gi baharain humain gulshan main ja ja kar.
Udaas si ho jayen gi humain wahan na pa kar.
Ab mosamee bahar ko hum ghar main hi manyen gain.
Ab hum juda ho kar sayad mil nay payen gain.
Dil tumhain pukaray ga dhonday gi nazar hamari.
Har aik lamha hum ko aye gi yaad tumhari.
Tanhia main beth kar hum phir dil ko yeh samjhayen gay.
Ab hum juda ho kar shayed mil na payen gay.
Rehain lain gain hum bhi is dunya main kahin bus kar.
Sabab ansouoon ka taal dain gay sab ko hans kar.
Teray bagair bhi ab meray din guzar jain gay.
Ab hum juda ho kar shayed mil na payen gay.
Tum na ho gay to meray geet kon sunay ga.
Hontoon par meray lafzoon ka jaal kon bunay ga.
Hal-e- dil hum apna phir kis ko sunain gay.
Ab hum juda ho kar shayed mil na payen gay.
Ab jo hum milain to woh jazbaat to na houn gay.
Pehli mohabbat kay woh ehsasaat to na houn gay.
Ab jo hum milain bhi to kiya payen gay.
Ab hum juda ho kar shayed mil na payen gain.

 0 People liked it
0 Ratings


tumhari kami is dil ne mahsoos kar lee isee aur na tarpa.
Dil mein bas ja aur dildar ko na sata.

 0 People liked it
0 Ratings


Sar jhukaoge to pathar devta ho jayega
Itna mat chaho use,vo bewafa ho jayega
Hum bhi dariya hai humen apna hunar maloom hai
Jis taraf bhi chal padenge,rasta ho jayega
Main usi ka naam lekar pee raha hoon dosto
Zeher bhi isme hoga,vo dava ho jayega
Rooth jana to mohabbat ki aadat hai
Kya khabar thi vo mujhse itna khafa ho jayega..

 0 People liked it
0 Ratings

Previous Page

Post Shayari

Next Page

Showing Hindi Shayari 241 - 250 of 3592, Page 25 of 360 pages.