Hindi Shayari

Hindi Shayari - A large collection of Hindi Shayari. We and our regular valuable users regularly add their shayari into Hindi Shayari category as well as in other various shayari categories. So We have a best and huge collection of Hindi Shayari and other shayari messages from various shayari categories in various language.

  
Post Hindi Shayari
Name:
Email:
Category:
Shayari :

Enter the code below shown above

List of Hindi Shayari

Showing Hindi Shayari 2491 - 2500 of 3592, Page 250 of 360 pages.


samajh na sake dooriyan kyun thi,
zuban per the lafz phir majbooriyon kyun thi,
dilon ki baat agar chaye haqiqat hoti hai,
hamare darmiyan woh khamoshiyan kyun thi,
boone the humne bhi kuch reshmi dhaagon ke khwaab,
humare hisse mein woh kaali dooriyan kyun thi,
idhar honthon per azab si joombish,
udhar kuch raaz dil ke talon mein,
samajh nake na sargoshiyan hawaon ki,
humare hisse mein sehra ki andhiyan kyun thi,
tumhe gurez meri chand baaton se,
main bhi parwaz ki thi hamil,
pahoonch ke mill ke patthar per sochta hoon,
safar tanha tou phir woh dooriyan kyun thi.

 0 People liked it
0 Ratings


Usne kaha
Ye ishq nahi aasa, Itna to samajh lejiye.
Ek Aag ka dariya hai, aur doob ke jaana hai ..
Maine kaha.
masoom si mohabbat ka bus itna sa fasana hai..
kagaj ki haveli hai, baarish ka zamaana hai..
kya shart-e-mohabbat hai, kya shart-e-zamana hai..
awaz bhi jakhmi hai aur wo geet bhi gana hai..
uss per utrne ki umeed bahut kam hai..
kashti bhi puraani hai, tufaan bhi aana hai..
samajhe ya na samjhe wo andaaz-e-mohabbat ka..
bheegi hui ankho se ek sher sunaana hai..
bholi si ada, koi fir ishq ki jid par hai..
fir aag ka dariya hai.. aur doob hi jana hai .

 0 People liked it
0 Ratings


Ajeeb si kashish hai aap me,
Ki hum aap k khayalo me khoye rehte hain,
Ye soch kar k aap khawabon me aaoge,
Hum din me bhi soya karte hain.

 0 People liked it
0 Ratings


Yeh mehfil jo aaj saji hay
Is mehfil main hay koy hum sa
Hum sa ho to samne aye
Aanch shama k husn ki pa kar
Sholon ko ata hay pasina
Aankh utha kar hum dekhen to
Pathar ka bhi dharke sena
Hum ne aankhon ki masti se
Naye naye sagar chalkaye
Hum sa ho to samne aye
Pyar ki mehromi ka shikwa
Aur hi loog kya karte hain
Is duniya main jo bhi chayeen
Hum to cheen liya karte hain
Phool se hum ne khushbo chene
Seep se hum ne moti paye
Hum sa ho to samne aye

 0 People liked it
0 Ratings


Gila tum se nahi jaana
Hamein khud se shikayat hai,
Tumhe dekha karein har pal
Faqat itni si hasrat hai.

 0 People liked it
0 Ratings


Main Aksar Abb Sab Say Katraane Laga Hoon
Khud Ko Abb Khud Say Chupane Laga Hoon
Koi Mujh Say Agar Mere Dil Ka Haal Puche To
Khabar Usey Kuch Aur Hi Sunaane Laga Hoon
MeriTanhai Ka Abb Yeh Aalam Hai
Apni Dastaan Khud Hi Gungunaney Laga Hoon
Koi Ataa Bhi Nahin Abb Mere Ghar Mein
Phir Main Kyun Issey Sajaney Laga Hoon
Kuch Haasil Nahin Hai Uss Guzrey Waqt Say
Yehi Soch Kar ‘Bahut’ Sab Bhulaney Laga Hoon..

 0 People liked it
0 Ratings


Saray jahaan koh bhula kah
bas tumkoh karnah ha hahsil
kitni mohabbatt hai tumse
tumkoh batana hai mushkil
kya zindagi hai humahari
yeh amaanat hai tumhari
ab yehi hai tamanah
saasah tumhe dah doon sahri.

 0 People liked it
0 Ratings


Be-karaan tanhaaiyun ka silsila reh jaayega
Terey merey darmiyaan bas ek khalaa reh jaayega
Aks beh jaayenge saarey dhoop ke sailaab mein
Aur koye paaniyoun mein jhaankta reh jaayega
Mujhko merey humsafar, aisa safar darpesh hai
Raasta kat bhi gaya tou faasila reh jaayega
Laug so jaayenge khaamushi ki chadar odh ker
Chaand sooney aanganoun mein jaagta reh jaayega.
Chayan Jain

 0 People liked it
0 Ratings

Previous Page

Post Shayari

Next Page

Showing Hindi Shayari 2491 - 2500 of 3592, Page 250 of 360 pages.