Hindi Shayari

Hindi Shayari - A large collection of Hindi Shayari. We and our regular valuable users regularly add their shayari into Hindi Shayari category as well as in other various shayari categories. So We have a best and huge collection of Hindi Shayari and other shayari messages from various shayari categories in various language.

  
Post Hindi Shayari
Name:
Email:
Category:
Shayari :

Enter the code below shown above

List of Hindi Shayari

Showing Hindi Shayari 2501 - 2510 of 3592, Page 251 of 360 pages.


junuun-e-shauq ab bhii kam nahiin hai
magar vo aaj bhii barham nahiin hai
bahut mushkil hai duniyaa kaa sanvarnaa
terii zulfon ke pech-o-kham nahiin hai
bahut kuchh aur bhii hai jahaan mein
ye duniyaa mahaz gham hii gham nahiin hai
merii barbaadiyon ke hamnashinon
tumhein kyaa khud mujhe bhii gham nahiin hai
abhii bazm-e-tarab se kyaa uthuun main
abhii to aankh bhii purnam nahiin hai
‘ilyas’ ek baadaakash to hai yaqiinan
jo ham sunte the vo aalam nahiin hai

 0 People liked it
0 Ratings


Nafrat kabhi na karna humse
Hum nafrat she nahi paayeng,
Ek baar keh dena hume aitbaar nahi,
Teri duniya se has kar chale jaayenge…
Karib reh kar bhi wo hume jaan na paye,
Aaj tak wo hume pehchan na paye,
Khud hi bana li humne dooriyaan,
Taki un par koi ilzaam na aaye…
Dil ki baat jaanta nahi koi,
Kehna in aankhon ka manta nahi koi,
Hum to jaan bhi luta de khushi se,
Par ehmiyat is jaan ki janta nahi koi…
Some words cut u deep inside,
But even after the wound heals,
It often leaves a mark behind…

 0 People liked it
0 Ratings


Tere pyar ki hume jarurat bahut thi,
par tujhe pane ki kimat bahut thi,
aakhiri sans tak tera intazar kiya tha humne
par tujhe wada karke bhul jane ki aadat bahut thi…
Jinhe zaurat hoti hai humare pyaar ki
Unhe parwah nahi hoti kisi bhi kimat ki
Aur phir mera pyaar to har ek dil me hai
Use yu shama na banaiye kisi zeenat ki
Aur wado ko jo bhulate wo hi wada karte hai
Wada jo nibhate hai wo koi wada nahi karte hai
Mar jate hai mit jate hai ehsas nahi karate hai
Ankho me lahu baha ke ikrar aeyse karte hai
Riyaz..a dost that never dies..

 0 People liked it
0 Ratings


Chalte chalte rahon me jab hum bichad jayenge,
roz guzroge tum un rahon se par hum na nazar ayenge,
yaad karoge aksar hame jab tum shame tanhai me,
kuch ansun in ankho se door hum bhi bahayenge..

 0 People liked it
0 Ratings


” Teri yaadu ke saaye mei jeeye ja rahe hei..
kase kahe hum har pal khud se dur huye ja rahe hei.
beraham vaqt hei sath nahi deta nahi hei..
or vo hei jo hume bhulaye ja rahe hei.”

 0 People liked it
0 Ratings


Saath chalne me jo maza hota,
Hame bhi vo mila hota,
Yehi hasrat rahi faqat apni,
Saath apne bhi koi chala hota,
Hum bhatkte rahe the raahon me,
Koi raasta pata chala hota,
Thaam lete badkar uss hath ko,
Gar humko bhi koi mila hota,
Hum ulajate nahi zamane se,
Jo hamsafar koi mila hota,
Hum na thakte safar me,
Gar saath apne koi chala hota.

 0 People liked it
0 Ratings


KITNA BHI CHAHO NA BHUL PAOGE HUME,
JITNI DOOR JAOGE,NAZDIK PAOGE HUME,
MITA SAKTE HO TOH MITA DO YAADE MERI,
MAGAR KYA SAASON SE JUDA KAR PAOGE HUME.

 0 People liked it
0 Ratings


“Ek Pal Me Ek Sadi Ka Maza Hum Se Poochhiye,
Do Din Ki Zindagi Ka Maza Hum Se Poochhiye,
Bhule Hai Rafta Rafta…. Unhe Muddato Mai Hum,
Kisto me Khud Kushi Ka Maza Hum Se Poochhiye,
Agaz-E-Ashiqui Ka Maza Aap Jaaniye,
Anjam-E-Ashiqui Ka Maza Hum Se Poochhiye,
Hasne Ka Sauqh Hum Ko Bhi Tha Aap Ki Tarha,
Hansiye Magar Hansi Ka Maza Hum Se Poochhiye,
Woh Jaan Hi Gaye K Humein Un Se “PYAR” Hai,
Phir bhi Aankho Chupane Ka Maza Hum Se Poochhiye”

 0 People liked it
0 Ratings

Previous Page

Post Shayari

Next Page

Showing Hindi Shayari 2501 - 2510 of 3592, Page 251 of 360 pages.