Hindi Shayari

Hindi Shayari - A large collection of Hindi Shayari. We and our regular valuable users regularly add their shayari into Hindi Shayari category as well as in other various shayari categories. So We have a best and huge collection of Hindi Shayari and other shayari messages from various shayari categories in various language.

  
Post Hindi Shayari
Name:
Email:
Category:
Shayari :

Enter the code below shown above

List of Hindi Shayari

Showing Hindi Shayari 2521 - 2530 of 3592, Page 253 of 360 pages.


Sab kuch cheen liya tumne pyar mein,
Hum to lut gaye tumhari muskan par,
Phir bhi tumne kabhi samjha nahi,
Hum to jee rahe hain tumhari pehchan par.

 0 People liked it
0 Ratings


Tumse milne ki aarju kiya karu main
Tere wade par kiya aitbar karu main
Shabnam ki badaulat chaman ki jindgi nahi hoti
Beraham hai, Mali se gila kiya karu main
Hamara bhi aagaj tha aashman tak manjil chhoo lene ka
Magar sahil khud hi dub gaya to kiya karu main
Wada kiya tha tujhko bhula dunga main
Apna wada khud bhool gaya to kiya karu main
Khushi ki talash thi “Dost” gam beshumar mile
Jindgi main koi khushi ras nahi aayi to kiya karun main.

 1 People liked it
0 Ratings


Doston,
Aap ko Deepawali Mubarkh ho.Ek kavita pesh kar raha hoon.aadat se
mazboor hoon, isliye chand labz is kavita ke baare mein.Insaan
marne ke baad agar kuchh sochta hai, to woh kya ho sakti hai?? sayad
ye bhi soch sakta hai jo is kavita mein likhi gai hai.Haan ye koi
haqeeqat to nahin magar kahin ek soch jo mere andar thi use main
raushni mein laya hoon is kavita ke roop main.
Disha – Maut ke Baad
sone jaa rahe the hum maut ke baho mein
chand saanse aaye hamein jagane le liye
iskadar nashe mein khoye huye the hum
iltaza kiya unhe chale jaane ke liye
raat kali nazar aaye hamein,
palke band ho jane ke baad
yakeen tha hamein rausni mein na aayenge kabhi
rooh kehene laga humse,
chhod kar zishm hamara
naye chehre mein hi sahi par aa jayenge kabhi
sukun se dam nikla soch kar yehi
bagair hamare waqt theheregi nahin
aaj hum nahin hain to naa sahi
kal phir nazar aa jayenge kahin
aaj maut naseeb hui hai, kal phir gale lagayegi
wohi purana rooh hamara, roop badalti jayegi
wohi purana rooh hamara, roop badalti jayegi

 0 People liked it
0 Ratings


Koi Nahi Hain Main Aur Tum
Chaand, Zameen Aur Hawa
Mast Hawa, Aawarah Badal
Nat Khat Taare Aur Ye Shabb
HAAN!
Koi Nahi Hai, Main Aur Tum

 0 People liked it
0 Ratings


Dosti ke liye deewane chale aate hai,
Shama ke piche parwane chale ate hain,
Tumhe yaad na aayi par aana meri maut par,
Us din to begane bhi chale aate hai..

 0 People liked it
0 Ratings


1. Hamri udaan dekhni ho to assmano se kah do ki aapna kad aur uchha kar le.
ab ke sawan me ye sarart hamre sath hui —-
2. hahaha ke hamara ghar chod kar pure shar me barsat hui.
3. hum rait par naam likha nahi karte
rait par likhe naam tika nahi karte
log kahte hai hum pathar dil hai lekin pathro par likhe naam mita nahi karte

 0 People liked it
0 Ratings


Mai ne chand aur Sitaron ki tamanna ki thi
Mujh ko raton ki siyahi ke siwa kuch na mila
Mai wo nagma hon jise pyaar ki mahfil na mili
Wo musafir hon jise koi bhi manzil na mili
Zaqam paye hain baharon ki tamanna kit hi
Mai ne chand aur Sitaron ki tamanna ki thi
Kisi gaisu kisi anchal ka sahara hi nahi
Raste mai koi dhandla sa sitara hi nahi
Meri nazron ne nazaron ki tamanna ki thi
Mai ne chand aur Sitaron ki tamanna ki thi
Dil me nakam ummidon ke basere paye
Roushi lene ko nikla to andhere paye
Rang aur noor ke dharon ki tamanna ki thi
Mai ne chand aur Sitaron ki tamanna ki thi
Jo baat tujh me hai teri tasweer me nahi
Rangon me tera aks dhala na to dhal saki
Dilbar se pyaar ke shararon ki tamanna ki thi
Mai ne chand aur Sitaron ki tamanna ki thi
Duniya me koi cheez nahi hai teri tarah
Phir ek bar aaja samene mere kisi tarah
Apne sanam se mine bahanon ki tamanna ki thi
Mai ne chand aur Sitaron ki tamanna ki thi.

 0 People liked it
0 Ratings


Dear Diary:
January 5th 2009:
“Kal aisa hi waqt tha
jab hum gum sum say rehthay thay
dil mein hazaar gham chupa kar
kisi ko kuch bi nahi kehtay thay.
Ab sun li hai Rab-ji nay
yeh choti si faryaad humari..
“koi apna aisa zindaggi mein aaye
jo mita kar gham, dayde khushi.”
January 7th 2009:
“Aaj aisa dost mila hai humko
Kaise kahun mein tujhse..
jab bi unka zikr karun
lafz uthar athay hai shayari kay.
Eik aisa rishta jura hai.
Khuda karey, kabhi na tutay!
jaise kaali raath mein achanak roshni chaye
aise hi Woh humsay milay!”
January 15th 2009:
“Jabse dosti hui hai unse
ab hum muskuratay hi rehte hai!!
Ghuzratay hai jab gulshan sai
khushi khushi sab say kehta hai:
“Aisa dost mila hi humko
jo in phoolon say bi khoobsurat hai!!
Rang say barhi hai unki baathay
khushboo hain unki hasi main!!
Chaand sitare chamaktay hai
jab woh eik meethi si ghun gatay hai!!
Aisa dost mila hai humko.
ab kaysay kahun mein tujhse..!!”
January 30th 2009:
“Aisa koi zindaggi mein aaya Tha..
jo kar gaya humsey bewafayi..
daykar do pal ki khushi aur laykar daaman
..chala gaya kahin.”
February 1st 2009:
“Aaj aisa hi waqt hai..
hum gum sum say baythay hai
dil mein eik gham chupa rakha hai.
ab kisi ko kya keh sakthay hai?”

 0 People liked it
0 Ratings

Previous Page

Post Shayari

Next Page

Showing Hindi Shayari 2521 - 2530 of 3592, Page 253 of 360 pages.