Hindi Shayari

Hindi Shayari - A large collection of Hindi Shayari. We and our regular valuable users regularly add their shayari into Hindi Shayari category as well as in other various shayari categories. So We have a best and huge collection of Hindi Shayari and other shayari messages from various shayari categories in various language.

  
Post Hindi Shayari
Name:
Email:
Category:
Shayari :

Enter the code below shown above

List of Hindi Shayari

Showing Hindi Shayari 2551 - 2560 of 3592, Page 256 of 360 pages.


Jab usko meri yaad ayaa karegi
Tab vo meri gajal gungunaya karegi
Uthkar dekhegi kabhi tasveer meri
Phir use sine se lagaya karegi
Jab bhi najar aayegi meri nisaniya
Unko daman main chhupaya karegi
Beete dino ki beeti kahani
Chhup chhup ke geron ko btaya karegi
Rakha hai jo usne andhre main “Prakash”
Bhul par apni pchhtaya karegi….

 0 People liked it
0 Ratings


Wo yaron ki mehfil wo muskrate pal,
Dilse juda hai apna bita hua kal
Kabhi guzarti thi zindgi waqt bitane me,
Ab waqt guzar jata hai chand kagaz k note kamane me..

 0 People liked it
0 Ratings


Sachchai kat nahin sakti kabhi talwaron se,
Jazbat chhup nahin sakte kabhi deewaron se,
Koi mita nahin paya mohabbat kabhi kisi ki,
Yeh to shola hai jo nikalta hai angaaron se.

 0 People liked it
0 Ratings


Mohabbat mai hum mashoor huwe
Har harkat humari deewangi lagne lagi,
Lafz jo nikle haal-e-dil ka bayan karne,
Zamane ko har wo baat shayri lagne lagi..

 0 People liked it
0 Ratings


Kahan Tha Itna Azab Ashna Mera Chehra
Jale Chiragh Tu Bujhne Laga Mera Chehra
Woh Tere Hijar K Din Woh Safar Sadiyon K
Tu Un Dino Men Kabhi Dekhta Mera Chehra
Judaiyon K Safar Men Rahe Hen Sath Sada
Teri Talash Zamane Hawa Mera Chehra
Mere Siwa Koi Itna Udas B To Na Tha
Khizan K Chand Ko Acha Laga Mera Chehra
Kitab Khol Raha Tha Woh Apne Mazi Ki
Warq Warq Pe Bikharta Gaya Mera Chehra
Sehar K Nor Se Dhulti Howi Teri Ankhen
Safar Ki Gard Men Lipta Howa Mera Chehra
Hawa Ka Akhri Bosa Tha Ya Qayamat Thi
Badan Ki Shakh Se Phir Gir Para Mera Chehra
Jise Bujha K Hawa Sogwar Phirti Hai
Woh Shama-e-Sham-e-Safar Thi K Mera Chehra
Yeh Log Kiyon Mujhe Pehchante Nahi “Mohsin”
Men Sochta Hon Kahan Reh Gaya Mera Chehra

 0 People liked it
0 Ratings


Ae dost teri dosti per karte hai hum naaz..
har waqt milne ki karte hai fariyaad
hume nahi pata, gharwale batate hai..
hum neend mein bhi karte hai aapse baat
##############################
Kar jaa kuch aisa yaari may,
Ke thanks aur sorry words beimaan lage ..
Nibha aisi yaari ke yaaro ko,
Tumhe chhodna mushkil aur duniya chhodna aasana lage .

 0 People liked it
0 Ratings


Kisi tarah se bhi jeevan gujarna hoga,
Bishud gaya hai jo uss ko pukarna hoga,
Hum apne ahad pe kayam hain aaj bhi “Jana”,
Ki waqt jaise bhi gujre gujarna hoga,
Ajeeb log hain kehte hain khushi ke liye,
Tumari yaad ko dil se utarna hoga,
Hamare waqt me likha tha iss tarah shayad,
Nagar nagar mein kisi ko pukarna hoga,
Wo tou mil jaega “Arshad” magar aise,
Talab mein uski zamane ko harana hoga..

 0 People liked it
0 Ratings


Jinhe dhoondte hain sapno main
Woh haqeeqat main nahi hai
Jo haqeeqat main hai saamne
Woh hamare sapno main nahi hai
Jo Dil main hai hamare
Woh hamare qareeb nahi hai
Aur jo qareeb hai hamare
Woh hamare Dil main nahi hai
Jis se Pyaar karte hain hum
Woh hamare baare main sochta nahi hai
Jo sochte hain humaare baare main
Unse Pyaar hum karte nahi hain
Hum jinka intezaar karte hain
Woh kabhi aate nahi hain
Aur jo aa jaate hain saamne
Unka intezaar hum karte nahi hain

 0 People liked it
0 Ratings

Previous Page

Post Shayari

Next Page

Showing Hindi Shayari 2551 - 2560 of 3592, Page 256 of 360 pages.