Hindi Shayari

Hindi Shayari - A large collection of Hindi Shayari. We and our regular valuable users regularly add their shayari into Hindi Shayari category as well as in other various shayari categories. So We have a best and huge collection of Hindi Shayari and other shayari messages from various shayari categories in various language.

  
Post Hindi Shayari
Name:
Email:
Category:
Shayari :

Enter the code below shown above

List of Hindi Shayari

Showing Hindi Shayari 2581 - 2590 of 3592, Page 259 of 360 pages.


Aankhoun Me Sama Jao,
Iss Dil Me Raha Karna
Taroun Me Hansa Karna,
Phooloun Me Khila Karna
Jab Se Tumhe Dekha Hai,
Jab Se Tumhe Paya Hai
Kuch Hosh Nahi Mujhko,
Ek Nasha Sa Chaa Gaya Hai
Aaye Kaash Dhadakta Dil,
Kuch Deir Theher Jaye
Baaqi Hai Abhi Tum Pe,
Yeh Jaan Fidaa Karna
Har Din Yunhi Chamke
Taqdeer Mohabbat Ki.

 0 People liked it
0 Ratings


Chalo ek bar phir se ajnabi banjaen, hum dono
Na mai tum se ummed rakhon dil nawazi ki
Na tum dekho mujhe galat andaz nazron se
Na mere dil ki dhadkan badhe teri baton se
Na zaaher ho teri kashmaksh ka raaz ankhon se
Tumhain bhi koi uljhan rokti hai pesh qadmi se
Mujhe bhi log kahete hai ke ye jalwe paraye hain
Mere humrah bhi ruswaien hain meri marzi ki
Tumhare sath bhi guzri huwi raton ke saye hain
Mere sath bhi guzre huwe zaqmon ke saye hain
Ta’arrfu rog banjaye to uska bholna bahetar
Ta’alluq boj ban jaye to uska tudna bahetar
Wo afsana jise anjam tak lana na mumkin ho
Use ek qobsurat mod dekar chodna bahetar
Chalo ek bar phir se ajnabi banjaen, hum dono.

 1 People liked it
0 Ratings


Dil Jale
Dil jalon say dil jalon ka rabta acha laga
Do ghari ki baithnay ka silsila acha laga
********
Koi khoby tu na thi mujh main kay chaha jaaon main
Phir najanay kyun usay chahra mera acha laga
********
Raat sari jaginay kay baad mujh ko suba dam
Neem baz aankhon say us ka dekhna acha laga
********
Sar meray sinay par rakh kar us nay sharmatay hoe
Saath jeenay marnay ka vaada kiya acha laga
********
Apnay chahray pay jo dekay un kay honton kay naqoosh
Mudatton kay baad mujhay aania acha laga
********
Umer bhat jagay mager rehan us shab ki aasam
Saath un ko bhi jaga kar jagna acha laga
********
Mail Send By ILYAS DE GR8
Aankh se aankh mila baat banaata kyon hai
Tu agar mujh se khafaa hai toh chupaata hai kyon
Ghair lagta hai na apnon ki terah milta hai
Tu zamaane ki terah mujh ko sataata kyon hai
Waqt ke saath halaat badal jaate hain
Yeh haqeeqat hai magar mujh ko sunaata kyun hai
Ek muddat se jahaan kaafile guzzre hi nahin
Aisa raahon per chiraag jalaata kyun hai.

 0 People liked it
0 Ratings


Jindgi k safar me kya khabar hai
kab kaun kis modf par mil jaye kya kabar
hoti hai jab wo dil me is kadar ghar
kar jaye duniya se ho jaye hum bekabar
lekin is dil se uska khyal na jaye aur
wo hai jo humko is dard se milwakar apna
har pal apne humsafar ke saath sukh se
betye.
Dil k Khushiya hoth k nagme raat k ninde
chain k lamhe eak pal me sub kuch lut jaye
gam k aise andhi aye anshu p pkar kab tak koi
pyase dil k pyas bhujaye kyo awaje de dil usko
woqt kabhi jo lout na paye kitna bhulana chahu usko dil
deewana bhul na paye .
Socha tha ab hum na muskuraynge par
jindgi ne jaise hume ye pal bhi na diya
jise chaha tut kar usne jaise eak pal me
bikher diya mangi jo uske saye me apni
kahanike nat k khwaish usne to har pal ko
p6 chodkar hume wo sukh bhi na diya

 0 People liked it
0 Ratings

Apne Mukaddar Ka Ye Sila Bhi Kya Kum Hai,
Ek Khushi Ke Piche Chupe Hazaro Gum Hai
Chehre Pe Liye Phirate Hai Muskurahat Phir Bhi
Aur Log Kehate Hai, Kitne Khushnaseeb Hum Hai

 0 People liked it
0 Ratings


Kaash kabhi hota yeh meray ikhtiar main
maiN rang deta janan tujhe apnay peyar main
main itna peyar deta tujhe jan-e-arzoo
tu khud ko bhool jati meray aitbaar main
tu jo kabhi bulati mulaqaat ke liye
be-chain ho k phirti meray intizar main
main dair say jo aata naaraaz ho ke tum
har baat ka jawab deeti inkaar main
tu jo kisi baat par mujh se rooth jati
main tujhay manata bare israar main
maan kar tu mujh se sirf yehi kehti
hai yaqeen nahin kami koi tere peyar main
kash kabhi hota yeh meray ikhtiar main
main rang deta janan tujhe apnay peyar main

 0 People liked it
0 Ratings


kahin aisa na ho daman jala lo
hamarey aansuo pe khaak dalo
manana hi zaruri hai to phir tum
hamen sab se khafa ho kar manalo
bohat roi huee lagti hain aankhen
meri khatir zara kajal lagalo
bohat maayoos betha hun main tum se
kabhi aakar mujhey herat main dalo
akele pan se khof aata hai mujhko
kaha ho a mere khaabo khayalo?.

 0 People liked it
0 Ratings


Likhana jo chaha maine aaj
Woh daastan kuch meri hai
Sochata hu kaise likhu
Daatan ek kore kaagaz ki.
Jevan ki koi pehchan nahi hai mujhko
Dost har chehre main dundhata rehata hu
Tanha si meri zindagi jaise
Daastan ek kore kaagaz ki.
Na koi kahani likhi gayi ispe
Na hi koi rang paaya hai isko
Kuch panno ki bhi nahi hai yeh
Daastan ek kore kaagaz ki.
Kat rahi hai berang aur suni
Jindagi is kore kagaz ki
Koi na isko samajh paaya hai
Daastan ek kore kaagaz ki.
I hope you like it. I will appreciate anykind of feedback.
Subodh Gupta
I have learned, Joy is not in things, it is in us.

 0 People liked it
0 Ratings

Previous Page

Post Shayari

Next Page

Showing Hindi Shayari 2581 - 2590 of 3592, Page 259 of 360 pages.