Hindi Shayari

Hindi Shayari - A large collection of Hindi Shayari. We and our regular valuable users regularly add their shayari into Hindi Shayari category as well as in other various shayari categories. So We have a best and huge collection of Hindi Shayari and other shayari messages from various shayari categories in various language.

  
Post Hindi Shayari
Name:
Email:
Category:
Shayari :

Enter the code below shown above

List of Hindi Shayari

Showing Hindi Shayari 2611 - 2620 of 3592, Page 262 of 360 pages.


Dosti ke panno se bhari kitab ho tum,
Rishto ke phoolon main gulab ho tum,
kuch log kahte h ki dost sacche nahi hote,
un logon ke sawal ka jawab ho tum..

 0 People liked it
0 Ratings


Tumse kiya pyar hamne bhool yah mujhse hui
Apne hatho jahar khaya, bhul ye mujhse hui
Jan ke dushman ko ham jane ja kahte hain
Apna jan mal sab kuchh lutaya bhul ye mujhse hui
Teri har bat ka aitbar hamne kiya
Tune hi mere dile aashna ka khun kiya
Tere hi liye main jahan se takraya, bhul ye mujhse hui
Ab bhi teri shokh chanchal adaye kahti hai
Ab bhi teri Bewafai mere dil main saye ki tarah rahti hai
Raton main jata tha milne bhul ye mujhse hui
Leta hoon jab rat ki tanhaiyon main karwat
Kanta ban kar chubhta hai mujhko bistar
Uss Khuda ko chhod kar “Avinash”
Ibadat teri ki, bhul ye mujhse hui.

 0 People liked it
0 Ratings


Aur Kya Ehd-E-Wafa Hote Hai
Log Milte Hain Juda Hote Hai
Kab Bichad Jaaye Hamsafar Hi To Hain
Kab Badal Jaaye Ek Nazar Hi To Hai
Jaan-O-Dil Jispe Fida Hote Hain
Aur Kya Ehd-E-Wafa
Baat Nikli Thi Is Zamane Ki
Jisko Aadat Hai Bhul Jane Ki
Aap Kyon Humse Khafa Hote Hain
Aur Kya Ehd-E-Wafa
Jab Rula Lete Hain Ji Bhar Ke Hamein
Jab Sataa Lete Hain Ji Bhar Ke Hamein
Tab Kahin Khush Woh Zaraa Hote Hain
Aur Kya Ehd-E-Wafa

 0 People liked it
0 Ratings


Sab kahete hai ki tu nahi rukta,
Chalte raheta har waqt,
Per rukne ka naam nahi leta,
Jab gham rahete hai lipat kar saath mere,
Tho kyun fir tu uss waqt,chalne ka naam na leta.
Dhal jaata itni jald,
Jab khelte hum sath khusi k,
Kab guzar jaata tu uss waqt,
Na samaj paate the hum sab.
Tu(waqt) tho sab k sath raheta hai,
Kabhi gham tho kabhi khusi deta hai,
Per jhelna tho hume padhta hai,
Jo kuch bhi yeh waqt laata hai,
Lakin yeh waqt zarur kuch-na-kuch de jaata hai.
Ab tho iss kadar gham se dosti badh gayi,
Ki har waqt lipat kar hai rehata,
Khusi aa bhi gayi kisi waqt,
Tho lagta kya aagaya ye naa mood zindagi main iss waqt.
Khusi kya hooti hai,
Hum tho naa samaj the iss per,
Har waqt tho hum gham ki zanziron main bandhe rahete.
Waqt wo khusi ka,
Aane ka har waqt hum waqt per he saup dete,
Kabhi tho aayega wo waqt khusi ka, pass mere
Intazar main hum jee lete har waqt hass k.

 0 People liked it
0 Ratings


Aye Khuda Aaj Ye Faisla Karde,
Use Mera ya Mujhe Uska Karde.
Bahut Dukh Sahe Hain Maine,
Koi Khusi Ab Toh Muqadar Karde.
Bahut Mushkil Lagta Hai Usse Duur Rehna,
Judai Ke Safar Ko Kum Karde.
Jitna Duur Chale Gaye Woh Mujhse,
Use Utna Kareeb Karde.
Nahi Likha Agar Nasib Me Uska Naam,
To Khatam Kar Ye Zindagi aur Mujhe FANAA Karde.
————————

 0 People liked it
0 Ratings


Jab Royegi Pashemaa Hokar
Ek Uska Tasuvvur Hi to Tha,
Jo Mera Dil Jala Gaya.
Har Waqt ,
Har Lamha Bahot Yaad Karta Hun Use,
Shayad Sochti Hogi Wo,
K Main Use Bhool Gaya.
Aaj Phir,
Dard Hua Aisa Main Sambhal Na Saka,
Khuda Se Maangkar,
Maut Apni Main Hadh Se Guzar Gaya.
Ae Kash Kisi Din,
Padhe Wo Mere Gam K Panno Ko,
Likhe To The Siyahi Se,
Magar Uspar Khoon Utar Gaya,
Jab Royegi Pashemaa,
Hokar Wo Apni Berukhi Par.
Tab Hoga Ehsaas,
Ye Ask Kya Keh Gaya Kya Kar Gaya.

 0 People liked it
0 Ratings


Tumhari is ada ka kya jawab du,
Apne dost ko kya uphar du,
Koi acha sa phool hota to mali se mangwate,
Jo khud gulab hai usko kya gulab du.
Rab ne jab tujhe banaya hoga
Ek surur uske dil mein aya hoga,
Sochta hoga kya doonga tohfe mein tujhe,
Tab usne mujhe banaya hoga.
Kaash ham SMS hote,
Ek click mein tumhare paas hote,
Bhale tum hame delete kar dete,
Par kuch pal ke liye ham tumhara ehsas to hote.!
Tanhaion me unko hi yaad karte hain,
Wo salamt rahe yahi fariyad karte hai,
Ham unke hi mohabbt ka intzar karte hai,
Unko kya pata hum unse kitna pyaar karte hai.

 0 People liked it
0 Ratings


Mili Hai Badi Saza Unse Dil Lagane Ki
Nazar Lagayi Hamare pyar ko zamane ki
Khabar Se Nikle Huwe Dono Hath Kehte Hain
Aarzoo Rehgayi Use Gale Lagane Ki..
————————

 0 People liked it
0 Ratings

Previous Page

Post Shayari

Next Page

Showing Hindi Shayari 2611 - 2620 of 3592, Page 262 of 360 pages.