Hindi Shayari

Hindi Shayari - A large collection of Hindi Shayari. We and our regular valuable users regularly add their shayari into Hindi Shayari category as well as in other various shayari categories. So We have a best and huge collection of Hindi Shayari and other shayari messages from various shayari categories in various language.

  
Post Hindi Shayari
Name:
Email:
Category:
Shayari :

Enter the code below shown above

List of Hindi Shayari

Showing Hindi Shayari 2671 - 2680 of 3592, Page 268 of 360 pages.


Mehek dosti ki

Mehek dosti ki, kisi ishq se kam nahin hoti,
yeh duniyan ishq pe khatam nahin hoti,
agar saath ho zindagi mein sacche doston ka
toh yeh zindagi kisi jannat se kam nahin hoti!

 0 People liked it
0 Ratings


Kisiko apna banane me der lagti hai,
ek vada nibhane me der lagti hai,
pyar to pal bhar me ho jata hai,
magar unhe bhulane me umar lagti hai.
Jaan se bhi zyada unhe pyar kiya karte the,
yaad unhe din rat kiya karte the,
ab un raho se guzra nahi jata,
jaha baith kar unka intezaar kiya karte the.!
Gam-e-ulfat main hum had se gujar gaye,
ki unke isqe main hum deewane ban gaye,
humne to sunai thi apni daastain-e-dil unko,
vo zalim samjhe gazal aur wah wah kar gaye
Unki julfo ke tale hum zamana bhula dete hain,
vo ek nazar se kitne armaan jaga dete hain,
ishq to unko bhi hai humse ye jaanta hain hum,
phir bhi na kah kar kyoin vo iss dil ko saza dete hain
Muskan tere Hoton Se Kabhi Jaaye Na,
Aansun tere Palkon Pe Kabhi Aaye na,
Poora Ho tera Har Khwab,
Aur Jo Poora na Ho Woh Khwab Kabhi Aaye Na.
Na misaal milegi tere husn ki iss kaynaat main,
tu itni kasis bhari khoobsurti kahain se layi hai,
labo hain maykhane aur ankhain chalakte pamane,
aye khuda jaane aaj kis kis ki shamat aye hai.
Jalate hai hum apne dil ko diye ki tarah
Teri Zindagi main khushiyon ki roshni lane ke liye
Seh jate hai har chubhan ko apne pairon tale
Teri Rahon main phool bhichane ke liye..
Darta huin kahin main pagal na ban gaoin,
teekhi nazar aur sunahre roop ka kayal na ban gaoin,
ab bas bhi kar zalim kuch to raham kha mujhe per,
chali ja meri nazro se door kahin main shayar na ban jaoin
Dekhi hai humne duniya jahaan husne-e-bazar ke,
too uhin ruk jaye hamari nazar ye itni sasti nahi,
koi hoor, koi noor ya koi zannat ki pari ho to kya,
dava hai hamara tik jaye tere samne aisi koi hasti nahi
Palko ke kinare humne bhigoye hi nahi,
woh sochte hai hum roye hi nahi,
woh puchte hai khwabon me kise dekhte ho,
hum hai ki ek umr se soye hi nahi.
Tere pyaar mein mere sanam,
hum khud se mulaquat kar bhete
Chalte chalte bas yunhi achanak,
hum zindagi se mulaquat kar bhete.
Kashish honi chaiye yaad karne ki,
lamhe to apne aap mil jate hain.
Waqt hona chaiye sath guzarne ke liye,
bahane to apne aap ban jate hain..
Jagaya unhone aisa ki aaj tak so na sake,
Rulaya unhone aisa ke sabke samne ro bhi na sake,
Jaane kya baat thi unme,
Jabse mana unhe apna tabse kisi ke ho na sake.
Heart can skip beat for a while,
Memories can be kept in a file,
A desert can replace the nile,
But nothing can stop a smile,
When your name comes on my mobile.
You can fall from a mountain,
You can fall from a tree,
But the best way to fall,
Is to fall in love with me.’
When Someone Loves You,
U Never Realize It,
When You Realize It,
Its Too Late,
You Always Love The One,
That Leaves You,
And Leave The One,
That Loves You.
Yaadain teray khluuse ki dustti hain aaj bhi
Milnay ki aarzooain trastii hain aaj bhi
Ankhain hazaar zabt ki koshish kay bawajood
Ruk ruk kay baar baar barstii hain aaj bhi
Phul ki tarah haste raho to hum khush hai,
Dil kholkar jeete raho to hum khush hai,
yeh nahi kehte ki roj milo,
bas kisi din yaad karliya karo to hum khush hai
“Zinda rahe toh phir milenge”.
Magar aap se mil ke
Ish dil ne mehasoos kiya hai ki,
“Aapse milte rahe toh Zinda Rahenge”.
Yeh raat itni tanha kyun hoti hai,
kismat se apni sabko sikayat kyun hoti hai,
Ajeeb khel khelti hai yeh kismat
Jise hum pah nahi sakte
Tammana se nahi tanhai se darte hain,
pyaar se nahi ruswaai se darte hain,
milne ki to bahut chahat hai,
par milne ke baad judaai se darte hain
Yaad aaye to aankhen band na karna,
hum chale bhi jaaye to gum na karna.
Yeh zaruri nahi ki har rishte ka koi naam ho,
per dosti ka ehsaas kabhi dil se kam na karna.
Pyasi nigaho ne har pal unka deedar maanga,
Jaise amavas ne har raat chand maanga.
Ruth gaya woh Khuda bhi humse,
Jab humne apni har duwa mein unka saath maanga
usi se mohabbat kyun hoti hai.

 0 People liked it
0 Ratings

Tammana iss dil ki,
Tum na milo jab tak puri na hogi;
Lekin koi gum nahi,
Kyunki sms se har baat adhuri na hogi;

 0 People liked it
0 Ratings


Duniya to meri viran ho gayi
Mohababat ek jhoothi kahani ho gayi
Karke jhoothi ijhare mohababat
Meri janeman to sayani ho gayi
Har pal unke khayalo main rahta
Yah pagal dil ki nadani ho gayi
Unhe dil se kabhi chaha tha hamne
Wah bat ab purani ho gayi
Tanhai main ham tadapte hain aaj bhi
Magar wo rakibo ki rani ho gayi
Yah jindgi ham kaise jiye ‘Dost’
Ab meri jindgi hi begani ho gayi.

 0 People liked it
0 Ratings


1) Barson baad aapse baat hui,
Dil phir ek baar kamzor ho gaya,
Acha bhala akele jee raha the hum,
Aaj phir akele pan ka ehsaas dila diya.
2) Tum ruth jao, hum mana lenge
Tum chale jao, hum bula lenge
Tum inkaar karo, hum phir bhi ikraar karenge
Tum keh do ek baar, jaan bhi de denge.
3) Tumse pyaar kyon hai itna,ki
Koi aur nazar hi nahi aata
Chodkar nahi jaana hamein
Yeh dil to waise hi kacha hai.

 0 People liked it
0 Ratings


“Hasin Palo ko Phir se aabad kar rahe the,
Chand se Aapki baate kar rahe the”
Dil ko bada Sukun mila jankar
Ki Aap bhi hame hi Yaad kar rahe the.!!

 0 People liked it
0 Ratings


Bolaa dukaan-daar, ke kyaa chahiye tumhain
Jo bhii kaho ge merii dukaan per wo paoge
Maine kahaa ke kutte ke khaane kaa cake hai
Bolaa yahiin pe khaaoge yaa leke jaaoge
`
Kuch pal hote hain kuch pal k liye
ji le inhe har pal k liye
Ye waqt to ret ki tarah fissal jayega
de jayega yaade umar bhar k liye.
`
Khuda se Scooter manga.. Car di;
Apartment manga.. bangla diya;
dost manga to tumhain diya..
Khuda ne is bar aisa zulm kyoun kia
`
Ladka: Kaash in hasinaaon kay baap mar jayen’
bahaana gam kaa hota
hum inke ghar to aate
aai murkh tere liye yeh bolna bhi paap hoga.
… kisi din tu bhi kisi haseena kaa baap hoga !
`
Meeting you was fate, becoming your friend was choice,
but falling in love with you was completely out of my control.
`
Chaand ko garoor hai
ki uske pass noor hai to kya hua
Mujhe bhi garoor hai
ki mera dost Langoor hai
`
Suna hai Yaad may hamari,
kisi ko loose motion lag gaye hain….?
Chalo Hain to ye bhi aansu,
bas zara rasta bhatak gaye hain….
`
Shiyari Se Tujhe Koi Kam Nai,
Tu Qatal B Karde Tu Tujh Pe Elzam Nai
Kabhi Tu Ayega Tu Mere Ghar Dawat Khane
Palang Pe Lita K Na Choda Tu Mera Naam Nai.
`
Shraab dard ki dawa hai
Peene se koi khraabi nahi
Dil ke dard se peete hain
Waise hum Shraabi nahi…
`
Ladki: Chandni chand se hoti hai, sitaron se nahi
Mohabaat ek se hoti hai, hazaron se nahi
Ladka: Chandni chand se hogi to sitaron ka kya hoga
Mohabbat ek se hogi to hazaron ka kya hoga.

 0 People liked it
0 Ratings


Koi chehra hua roshan na ujagar ankhain
Aina dekh rahi thin meri pathar ankhain
Le uri waqt ki andhi jinhen apne hamrah
Aaj phir dhund rahi hain wahi manzar ankhain
Phut niklin to kai shahar-e-tamanna dube
Ek qatre ko tarasati hui banjar ankhain
Us ko dekha hai to ab shauq ka wo alam hai
Apne halakon se nikal ai hain bahar ankhain
Tu nigahon ki zuban Khub samajhata hoga
Teri janib to utha karati hain aksar ankhain
Log marte na dar-o-bam se takara ke kabhi
Dekh lete jo ‘Kamal’ us ki samandar ankhain.

 0 People liked it
0 Ratings

Previous Page

Post Shayari

Next Page

Showing Hindi Shayari 2671 - 2680 of 3592, Page 268 of 360 pages.