Hindi Shayari

Hindi Shayari - A large collection of Hindi Shayari. We and our regular valuable users regularly add their shayari into Hindi Shayari category as well as in other various shayari categories. So We have a best and huge collection of Hindi Shayari and other shayari messages from various shayari categories in various language.

  
Post Hindi Shayari
Name:
Email:
Category:
Shayari :

Enter the code below shown above

List of Hindi Shayari

Showing Hindi Shayari 2721 - 2730 of 3592, Page 273 of 360 pages.


Beshak wo nahi karti baat,
Fir bhi unse milne ko dil bekrar kyun hai,
Unki yad to ab raat ko sone bhi nahi deti,
Jaane humko unse itna pyar kyun hai.

 0 People liked it
0 Ratings


Koyi Fariyaad Tere Dil Mein Dabi Ho Jaise
Koyi Fariyaad Tere Dil Mein Dabi Ho Jaise
Tune Aankhon Se Koyi Baat Kahi Ho Jaise
Jaagte Jaagte Ek Umr Kati Ho Jaise
Jaagte Jaagte Ek Umr Kati Ho Jaise
Jaan Baaki Baaki Hai Magar Saas Ruki Ho Jaise
Har Mulaakat Pe Mehsoos Yehi Hota Hai
Har Mulaakat Pe Mehsoos Yehi Hota Hai
Mujhse Kuch Teri Nazar Pooch Rahi Ho Jaise
Raah Chalte Huve Aksar Yeh Ghumaan Hota Hai
Raah Chalte Huve Aksar Yeh Ghumaan Hota Hai
Woh Nazar Chupke Mujhe Dekh Rahi Ho Jaise
Woh Nazar Chupke Mujhe Dekh Rahi Ho Jaise
Ek Lamhe Mein Simat Aaya Hai Sadiyon Ka Safar
Ek Lamhe Mein Simat Aaya Hai Sadiyon Ka Safar
Zindagi Tej Bahut Tej Chali Ho Jaise
Zindagi Tej Bahut Tej Chali Ho Jaise
Is Tarah Pehron Tujhe Sochta Rehta Hoon Main
Is Tarah Pehron Tujhe Sochta Rahta Hoon Main
Meri Har Saas Tere Naam Likhi Ho Jaise
Meri Har Saas Tere Naam Likhi Ho Jaise
Koyi Fariyaad Tere Dil Mein Dabi Ho Jaise
Tune Aankhon Se Koyi Baat Kahi Ho Jaise
Jaagte Jaagte Ek Umr Kati Ho Jaise
Jaan Baaki Baaki Hai Magar Saas Ruki Ho Jaise

 0 People liked it
0 Ratings

Jaan to kardi hamne watan ke naam par,
Shaan to kardi hamne watan ke naam par,
Kurbaaniyo se pai hai hamne aazaadi,
Hamara watan to laakho main ek hai,
Aan bhi kardi hamne watan ke naam par.

 0 People liked it
0 Ratings


Kya hai zindgi,
Dekho to khwab hai zindgi,
Padho to kitab hai zindgi,
Suno to gyan hai zindgi,
Par haste raho to aasan hai zindgi.

 0 People liked it
0 Ratings


Hi All,
I am a big fan of shayari and ghazals. I have collected many from my college days.
I would like to share them with you all.
I would also wish if you also share with me.
Thanks in advance
” Mere Kabr pe phool chada raha hai koi
Mere Kabr ko sajaa rahaa hai koi
Yeh Kudha,
Yeh Khuda, mujhe thodi si aur zindagi de de
Mere Kabr se udhaas jaa raha hai koi ”
Ankhon se dur ho par dil se nahi,
Dil me zarur ho par milte nahi,
bus yehi gila hai tumse dost,
tum milte zarur ho par dil se nahi..
Dil ki hasti bikhar gai hoti,
aur Ruh ke Zakhm bhar gaye hote,
jindagi aap jaise dosto ki amanat hai,
varna hum to kabke mar gaye hote.
“Dilon se khelne ka hunar hume nahi aata
Isiliye ishq ki baazi hum haar gaye
Meri zindagi se shayad unhe bahut pyar tha
Isiliye mujhe zinda hi maar gaye”
“Tanhaiyo me muskurana ishq hai,
ek baat ko sab se chhupana ishq hai,
yu to nind nahi aati hume rat bhar,
magar sote sote jagna or jagte jagte sona ishq hai.”
Hum ne Manga Tha saath unka
Woh judaai ka ghum de gaye
Hum yaadon ke sahare hi jee lete
Woh bhool jaane ki kasam de gaye
Teri Judai Bhi Hamein Pyar Karti Hai
Teri Yaad Bahot Bekarar Karti Hai
Woh Din Jo Tere Saath Guzare The
Talash Unko Nazar Baar Baar Karti Hai
Likho To Paigham Kuch Aisa Likho Ki Kalam Bhi Rone Pe Majbur Ho Jaye
Lafzon Mein Woh Dard Bhardo Ki Padhnewala Milne Pe Majbur Ho Jaye
Teri har adaa mohabbat si lagti hai
Ek pal ki judaai muddat si lagti hai
Aisa pehle nahin tha jo ab lagta hai
Ke zindagi ke har lamhe mein teri zarurat si lagti hai
Tum kya ho humare liye hum keh nahin sakte
Bas itna ki zinda tum bin hum reh nahin sakte
Phir na kehna kabhi humse ki chorh do hum ko
Sirf khyaal hi judai ka tumse, hum seh nahin sakte
Yaadon ki dhundh mein teri parchhai si lagti hai
Sannaate mein goonjati shahnai si lagti hai
Jab se hu-e hai tum se judai ..
seene mein saans bhi parai si lagti hai
Yun Tukkra k usne mujh ko kaha k muskrao,
Mai hass dya akhir sawal uski kushi ka tha
Teri aankho me sama jau kuch is tarah..
Aankho me ashq sama’ee hai jis tarah !!
Teri sanso me sama jau kuch is tarah..
Phoolo me khushbu hai jis tarah !!
Dil me tere utar jau kuch is tarah..
raat me chand nikal aaya ho jis tarah !!
Tere chehare pe aapani nazar chod jau kuch is tarah..
Heer-Ranjha apni kahani chod gaye hai jis tarah !!

 0 People liked it
0 Ratings


Aisa bhi kya kisi ki jindgi hogi
Chahe jise wo kisi aur ki chahat hogi
Bhule se jise samajh baithe the apna
Wo kisi aur ki amanat hogi
Kaise sunaye hale-e dil apna
Ki ye bhi to tauhin Mohababat hogi
Agar ho jaye uski najre inayat hum par
Meri to isi jami par jannat hogi
Tamanna hai kabhi aaye wo dar par mere
Fir na mujhe kisi se koi shikayat hogi.

 0 People liked it
0 Ratings


Hume asqo ki surat na yaad ayi.
Hume ashqo ki surat na yaad ayi
Kitni fursat me aap milne thi ayi
Wo nasha jism-e-haram ka wo nazuk kalayi
Wo ajeeba gareeba jisme dubi teri parshayi
Hum ko waham ye hone laga tha aye naznii
Ki kismat ne kiya kya jadu aisa ki tu aaj ayi
Hume ashqo ki surat na yaad ayi
Kitni fursat me aap milne thi ayi
Tum hi tum ho nahi dusra koi in nazro me
Jaha kahi bhi rahe ye nazre tum hi samayi
Ki dehkte sare nazare inhi ankhon raushan se
Wafa nahi ye, ye hai zamane se Bewafayi
Hume ashqo ki surat na yaad ayi
Kitni fursat me aap milne thi ayi
Ab na dekha karo hume yu tum itni dur se
Ki bahut bachaya khud ko nazr-e-magror se
Magar ab ye khusboo se na bach sakunga
Chali ayo ki tum ab duniya ke un fitur se
Ki teri mehek hai na humne aaj tak aajmayi
Hume ashqo ki surat na yaad ayi
Kitni fursat me aap milne thi ayi
kya pata tha ki yaado me mai hu
Aur waha hi aapki mehek thi ayi
Hume ashqo ki surat na yaad ayi
Kitni fursat me aap milne thi ayi..
Next Dosto ke rehnuma wo.

 0 People liked it
0 Ratings


Kehte hai mujko pyar karna nai aatha,
kya sabooth dhu mere pyar ki,
uss ki yaad me hasna bhulgaya,
uss ki pyaar me khudh ko pehchanna paaya.

 0 People liked it
0 Ratings

Previous Page

Post Shayari

Next Page

Showing Hindi Shayari 2721 - 2730 of 3592, Page 273 of 360 pages.