Hindi Shayari

Hindi Shayari - A large collection of Hindi Shayari. We and our regular valuable users regularly add their shayari into Hindi Shayari category as well as in other various shayari categories. So We have a best and huge collection of Hindi Shayari and other shayari messages from various shayari categories in various language.

  
Post Hindi Shayari
Name:
Email:
Category:
Shayari :

Enter the code below shown above

List of Hindi Shayari

Showing Hindi Shayari 2731 - 2740 of 3592, Page 274 of 360 pages.


Meri viran jindgi ko ek chaman banaya hai tumne
Sukhe gulshan ko sinch-sinch kai phool khilaya hai tumne
Aansuo ke sagar main jindgi meri dubi thi
Apni chahat ki naiya se par lagaya hai tumne
Apni aagosh main lene ko aayi maut mere dar tak
Mujhko Dil ke ek kone main fir aaj chhupaya hai tumne
Main ek bejan si murat thi tanhai mera sathi tha
Mere jivan ki rajni main ek diya jalaya hai tumne
Sangharsh bhare iss jivan se main dar gayi thi lar-lar kar
Jine ki himmat dekar mujhe jeet dilaya hai tumne
Aisa kuchh mere pas nahi jo tujhko bhi main de paun
Pyar ki daulat dekar ke mujhe rini banaya hai tumne.

 0 People liked it
0 Ratings


Jaate jaate vo mujhe achchhi nishani de gaya
Umr bhar dohraunga aisi kahani de gaya
Uss se main kuchh pa saku aisi kahan ummeed thi
Gham bhi vo shaayad baraaye meharbani de gaya
Sab hawaye le gaya mere samandar ki koi
Aur mujhko ek kashti baadbaani de gaya
Khair main pyasa rahi, par usne itna to kiya
Meri palko ki qataro ko vo paani de gaya..

 0 People liked it
0 Ratings


Dil Ki Batain Bata Deti Hain Aankhen
Dharkanon Ko Jaga Deti Hain, Aankhen
Dil Pe Chalta Nahi Jadoo, Cheroon Ka Kabhi
Dil Ko Tu , Deewana Bana Deti Hain Aankhen
Woh Hum Se Baat Nahi Karte Tu Na Kare
Haal Sara Unke Dil Ka Suna Deti Hain Aankhen
Gham Sada Rehta Nahi admi Ke Saath
Ashk Bana Kar halka Deti Hain Aankhen
Aata Hai Jab Dor – E – Jawani , Tu Ae Dosto
Sunder Sapne Zehan Mein Basa Deti Hain Aankhen
Ma Na Ke Neend Aati Hai Aankhon Hi Ke Raste
Magar Kabhi Kabar Neend ,Ura Deti Hain Aankhen
Eesha Shukar Hai Khuda Ne Ata Ki Aankhon Ki Neamat Humain
Dard -O-Gham Sare Dil Ke Chupa Deti Hain Aankhen

 0 People liked it
0 Ratings

Is soch mai hoon aaj k tum koun ho, kia ho,
Ik khuwab ho, khusboo ho, merey dil ki sada ho,
main iske ilawah tumhey kuch keh nahi sakti,
tum meri mannat ho,tum meri dua ho,
ye silsula-e-shoq kahin toot na jaye,
tum karb ho,tum dard ho aur tum he dawa ho……

 0 People liked it
0 Ratings


Hamko apna pata nahi milta
Kyaon kahin ham khuda nahi milta
Ae shab-e-hijr teri umr daraaz
Tujhsa dard aashna nahi milta
Dosti teri saari dunya se
Mujhse kyaon dil tera nahi milta?
Ho gae gham se is tarha manos
Ab khushi mein maza nahi milta
Khud hi kahete hain khud hi sunte hain
Jab koi dosra nahi milta
Ishq mein kya rakha hai ye mat poch
Dekh ye is mein kya nahi milta!
Kho gaya is tarha mein apne me
Dhondta hoon pata nahi milta
Maekadon mein janab-e-sarwer
Ek bhi parsa nahi milta.
Shayer:- Sarwer Alam Raz Sarwer
Presented by Abu Arba

 0 People liked it
0 Ratings


Bheer me charon taraf chehre anjaaney miley,
Mere apney aaj mujhse bankey begaaney miley.
Tha bharosa doston par itna ki mujhse na pooch,
Jinkey hathon me they patthar log pehchaney miley.
Bankey marham waqt hi bharta hai harek zakhm ko,
Jaisey jaisey waqt beeta zakhm pooraney miley.
Kiske aagey rotey aur sunatey apni dastaan,
Basti thi ujri huyee sunsaan thikaney miley.
Ab na maangengey illahi zindagi ki bheekh hum,
Ishq me shama ki ye kehtey huye parwaney miley.
Dil diya tha naaz se jis jis ne apni jaan ko,
Chand tootey dil ke tukre unko nazraney miley.
Maazi ki yaad me sab doobey huye they is qadar,
Khwab tere shahar ke sab log deewane miley.

 0 People liked it
0 Ratings


Dil Hi Dil Mein,Unhe Chahte Hai,
Dil Hi Dil Mein,Unhe Pyaar Karte Hai,
Mushkil Hai Unka Raah Se Guzarna,
Fir Bhi Har Mod Pe,Unka Intezaar Karte Hai.

 0 People liked it
0 Ratings


Mil jata agar sath tera.
Yun na hota mai tanha akela
Yun na hoti to mayuss kabhi..
Hota har lamha haseen tera.
Zindagi ka har ek pal kar deta naam tere..
Mil jata agar sath tera.

 0 People liked it
0 Ratings

Previous Page

Post Shayari

Next Page

Showing Hindi Shayari 2731 - 2740 of 3592, Page 274 of 360 pages.