Hindi Shayari

Hindi Shayari - A large collection of Hindi Shayari. We and our regular valuable users regularly add their shayari into Hindi Shayari category as well as in other various shayari categories. So We have a best and huge collection of Hindi Shayari and other shayari messages from various shayari categories in various language.

  
Post Hindi Shayari
Name:
Email:
Category:
Shayari :

Enter the code below shown above

List of Hindi Shayari

Showing Hindi Shayari 2831 - 2840 of 3592, Page 284 of 360 pages.

Phir se aaya naya saal
Aaj raat machaayege dhamaal
Daaru sutta khoob peena hai
Ek Resolution phir se lena hai
Naya saal khushiyaan bahut laaye
Har kaarya main safalta hum paaye
Gumon ko bhool, karein nayi shuruwaat
Shaanti se raheinge, na karein utpaatt
Naye saal main gilla sikhwaa bhool jaaein
Apno ke sang sang dushmanon ko gale lagaaein
Poorani asaaltaaon ko ab bhool jaaaoo
Apne hausalon se unko iss saal dhool chataaoo
Aaapki khushiyon ko char chand lag jaayein
Bichare huwe apne is baras laut aayein
Aao mil kar karein hum ek nahi shruwaat
Dil se aap sab ko “Happy new year 2010″

 0 People liked it
0 Ratings


Karte hain dua unki khushi ki,
Jo chod ke chale gaye hume kisi ke liye,
Ek din wo mere paas honge,
Kyuki hum bane hain to sirf unhi ke liye..

 0 People liked it
0 Ratings


Zalim Tha Wo Aur Zulm Ki Aadat Bhi Bohot Thi
Majboor The Hum Usse Mohabbat Bhi Bohot Thi
Us But Ke Sitam Seh Ke Dikha Hi Diye Humne
Go Apni Tabiyat Men Bagawat Bhi Bohot Thi
Waqif Hi Na Tha Ramz-e-mohabbat Se Wo Warna
Dil Ke Liye Thodi Si Inayat Bhi Bohot Thi
Yun Hi Nahi Mashoor-e-zamana Mera Qatil
Us Shakhs Ko Is Fan Men Maharat Bhi Bohot Thi...

 0 People liked it
0 Ratings


Khawabon Ka Ek Jazeera Ho,
Jugnu”on ka jaha Basera ho,
Koi waha tak jaa na sake,
Aana jaana sirf Tera Mera ho,
Zulfon se Teri main Khela karoon,
Teri Palkon ka Mujhpe Pehra ho,
Chand Sitare dekha kare,
Us Nagar jab bhi Hamara Phera ho,
Na Khatam hone wali ho Baate,
Aisi Raat ka kabhi na Sawera ho..!!!

 0 People liked it
0 Ratings


Har ghadi roshni charago se ho mumkin nahi
andhere unki kismat me bhi der raat hote hain
khayaal noor ka paya tha humne khwaabo me
andhere raaste tabeer bante dekhe hain
kami sukoon me paayi na humne raato ko
yahi wo pal hai sitare bhi tootte dekhe
ajab khayaal se raaton ko mujhko aaate hain
kahi pe neend bhi uski toh so gayi hogi
jalaana jism ko mere jaha amaavas ho
andheri raat me kuch pal ko roshni hogi
shama bujha di der raat ko humne saathi
mujhe pata tha wo aayenge na andhere me
kabhi sukoon na paaya tha humne raato ko
mera ye dard unki jaan ka dushman kyu kar
koi khwahish na rahi baaki us raat k bad
khuda se or kya maangu ab maut k siwa
huye jaleel jo din ko toh khair jane do
tamasha raat ka ab yu na sabko aam karo
har ek raat ko lagta hai jaane kyu mujhko
yahi wo raat hai kehte hain katl ki jisko.

 0 People liked it
0 Ratings


Wo Ruthte rahe hum manate rahe
unki raho me palhein bichate rahe
unhone kabhi palat kia bhi nahi dekha
or hum aank jhapakne se bhi katrate rahe…
Lot Jate He Sabhi Mere Gum Ko Dekh Kar
Jese Lehar Lot Jati He Kinara Dekh Kar
Meri Mayyat Ko Kandha na Dena
Kahin Fir Se Na Ji Uthe tera Sahara Dekh Kar.

 0 People liked it
0 Ratings


Saza Pe Chor Diya Jaaza Pe Chor Diya
Her Ek Kam Ko hum Ne Khuda Pe Chor Diya
Wo Hum Ko Yaad Rakhe Ya Phir Bhula De
Usi Ka Kam Tha Us Ki Raza Pe Chor Diya
Ab Us Ki Marzi Bhuja De Ya Jala De
Charagh Hum Ne Jala Ke Hawa Pe Chor Diya
Ab Us Se Baat Kiye Bagair Kaise Rehain Gain Hum
Ye Masla Dua Ka Tha So Dua Pe Chor Diya
Is Liye Tu Wo Kehte Hain Dewana Hum Ko
Ke Hum Ne Sara Zamana Wafa Pe Chor Diya

 0 People liked it
0 Ratings


Aansu  hai aankho me par bah nahi sakte,
duniya walo se darte hai isiliye kuch kah nahi sakte,
par ye to aap bhi samjhte hi honge ki
hum aapke bina rah nahi sakte..
sapna bishnoi

 0 People liked it
0 Ratings

Previous Page

Post Shayari

Next Page

Showing Hindi Shayari 2831 - 2840 of 3592, Page 284 of 360 pages.