Hindi Shayari

Hindi Shayari - A large collection of Hindi Shayari. We and our regular valuable users regularly add their shayari into Hindi Shayari category as well as in other various shayari categories. So We have a best and huge collection of Hindi Shayari and other shayari messages from various shayari categories in various language.

  
Post Hindi Shayari
Name:
Email:
Category:
Shayari :

Enter the code below shown above

List of Hindi Shayari

Showing Hindi Shayari 281 - 290 of 3592, Page 29 of 360 pages.


Hello frnds,
How r u?
Aapke mail nahi aate aaj kal.
Kya baat hai?
Sun le jara sun le jara, dil ki mere kya kahe dhadkane
Jabse mohabbat tumse hui, badhne lagi hain meri uljhane
Raato ko baichain hua karte hain aksar
Khud se hi baate kiya karte hain aksar
Ek pal ka bhi ab to hash nahi hai
Khwaabo mein tera dedaar kiya karte hai aksar
Sun le jara sun le jara dil ki mere kya kahe dhadkane
Chalte hain to apne kadam dagmagate hain
Aksar tanhaiyon mein hum ghabrate hain
Jahan ki khabar na khudh ka pata hai
Ab to bekhabar hi hum hue jaate hain
Sun le jara sun le jara dil ki mere kya kahe dhadkane
Khoye rahte hain, ho chahe aalam khushi ka
Kuch aisa haal hua hai, ab meri jindgi ka
Pal pal chehra tera hi nazar aata hai
Sajaye baithe hai khwaab teri ashiqi ka
Sun le jara sun le jara dil ki mere kya kahe dhadkane

 0 People liked it
0 Ratings


As I mentioned earlier, I bought two collections of ghazals by Bashir Badr. One of them had an introduction by Nida Fazli, another very famous name in urdu poetry. He does not seem of have a very fantastic opinion of Badr – he thinks that most of Badr’s greatness as a poet is only accepted by Badr himself, and he has expressed this opinion in quite an amusing and witty way.
“apni kitaab mei.n unhone kamzor shayari ki pehchaan ke saath tandurust ghazal ki bhi kuch nishaniya.n ginaayee hai.n. Kamzor shero.n ki misaalo.n ke liye unhe taqriban 700 barso.n ke itihaas ki khaak chhaan-ni paDi, lekin tandurust shero.n ki talaash mei.n unhe jyada waqt nahin kharch karna paDa. Ghar me allah ka diya sab kuch tha, ji khol kar apne shero.n ka istemaal kiya”
[In his book, apart from identifying characterstics of weak poetry, he has also enumerated the traits of good poetry. For examples of weak couplets, he had to search through 700 years of history, but he didn't have to spend much time in search of good poetry. The lord had given everything at home, he used his own couplets whole-heartedly.]
Fazli opines that Badr is more famous for being part of ‘Mushairas’ [Poetry recitals] than actually the quality of his poems. Even so, he agrees that Badr’s poetry showed more maturity, and finally deviated from the conventional symbolisms, with time, and concludes that Badr is a wonderful poet of the post-independence urdu ghazal.
The introduction was amusing, due to the humorous style Fazli had written it in (even if it was at the expense of Badr). But what was interesting to note was that unlike the usual introductions, which unquestioningly felicitate the author/poet, Fazli expressed his honest opinion.
I am a novice, as far as the history of urdu/hindi ghazal goes, and I am not well versed with individual poets’ styles, but I have read quite a few poems by many writers, and have found favorite ones from all poets’ works. I have come across some beautiful ghazals by Badr as well, and I was glad to find them in this collection.
*** *** ***
Kabhi yu.n bhi aa meri aankh mei.n ki meri nazar ko khabar na ho
Mujhe ek raat nawaaz de magar iske baad sahar na ho
Come into my eyes some time that my sight is not aware of it
Allow me just a single night, but let not the dawn arise after it
*** *** ***
Mai.n tamaam din ka thakaa hua, tu tamaam shab ka jagaa hua
Zara thahar ja isi moD par, tere saath shaam guzaar loon
I am tired after the entire day, you have stayed awake the entire night
Pause at this very corner, and let me spend an evening with you
*** *** ***
Charaago.n ko aankho.n mei.n mehfooz rakhna
Badi door tak raat hi raat hogi
Musafir hain ham bhi musafir ho tum bhi
Kisi moD pe phir mulaaqaat hogi
Keep the lamps safe in your eyes
The night (darkness) will spread far and beyond
I am a traveller, you are also a traveller
We shall meet again at some corner
*** *** ***
Ajeeb shakhs hai naaraaz hoke hansta hai
Mai.n chahta hoo.n khafa ho to woh khafa hi lage
He is a strange person – he laughs when offended
I wish that if he is angry, he should look so
*** *** ***
Kisi ki raah mein dehleej par diye na rakho
Kivad sookhi hui lakdiyo.n ke hote hai.n
Kadeem kasbo.n mei.n kaisa sukoon hota hai
Thake thakaye hamare bujurg sote hain
Do not light lamps at the doorstep in someone’s wait
The doors are made of dry wood
There is such a comfort in old towns
Our weary forefathers rest out there
*** *** ***
Koii haath bhi na milayega jo gale miloge tapaak se
Yeh naye mijaaz ka shahar hai zara faasle se mila karo
No one will even shake hands, if you eagerly hug them
This city has a new mindset, here, meet people at a distance
*** *** ***
Jis din se chala hoon meri manzil pe nazar hai
Meri aankh ne kabhi miil ka pathar nahin dekha
Yeh phool koii mujhe viraasat mei.n mile hai.n
Tumne mera kaanto.n bhara bistar nahin dekha
Since the day I started, I have my sight on the destination
My eyes have never watched out for milestones
Do you think I inherited these flowers
You have not seen my bed of thorns

 0 People liked it
0 Ratings


Har Baar Unki Salamati Ki Dua Karenge,
Unki Aarzo Me Apni Hasti Fanaah Karenge,
Woh Chahe Daaman Bacha le Humse Lekin,
Hum Marte Dum Tak Unse Wafaa Karenge.
Barsaat ki har boond me samaye ho tum..
Mere dil me khaas jagah banaye ho tum..
Yun to humdard ki kami nahi..
Par na jane aaj bohot yaad aa rahe ho tum
Kar K Aankhe Nam,Kya Dikhana Chahti He Zindgi?
Dekar Itne Gum,Kya Sikhana Chahti He Zindgi?
Pehle Mila Kar Fir Taqdeer Me Likh Deti He Judaai,
Ye Dard-E-Dil Se Hume Kya Mitana Chahti He Zindgi??
Har Baar Unki Salamati Ki Dua Karenge,
Unki Aarzo Me Apni Hasti Fanaah Karenge,
Woh Chahe Daaman Bacha le Humse Lekin,
Hum Marte Dum Tak Unse Wafaa Karenge.
Na to yaado ko yaad rakhte hain.
Na hi sapno ko saath rakhte hain.
Hum to bus unko yaad rakhte hain..
Jo hame dil ke paas rakhte hai
Har mode par shuruwat ho sakti hai
kabhi bhi khin bhi baat ho sakti ha
mana ki bahot door ho aap
aankhe band karo to mulakat ho sakti hai.
Take care..

 0 People liked it
0 Ratings


Baandh len haath pe, Sine pe saja len tumko,
Dil mein aata hai, taweez bana len tumko.
Jaise baalon mein koi phool bana karta hai,
Ghar ke guldan mein phoolon se saja len tumko.
Hai tumhare liye kuch aisi aqeedat dil mein,
Apne haathon se duaon se utha len tumko.
Jaan dene ki ijazat bhi nahin dete,
Warna mar jaen abhi, mar ke mana len tumko.
Ab to bas ek hi khwahish hai,
Kisi morr pe tum bikhre hoe mil jaao,
Sambhal len tumko.

 0 People liked it
0 Ratings


Deewana hu tera inkaar nahi,
Kaise keh du ke pyar nahi,
Kuch shararat to teri nazaron main bhi thi,
Main akela hi gunaahgar nahi.

 0 People liked it
0 Ratings


Dil ka zakhm jubaan par laya nahi karate,
Ham apani aakhon se aansu bahaya nahi karate,
Zakhm kitane hi gahare kyon na ho,
Ham apane hotho se muskuraahat hataya nahi karate.
Ye sach hai dosto kisi se pyaar na karana,
Kabhi kisi ka is jamaane me aitbaar na karana.
Thaam ke khanjar apane hi haatho me,
Bedardi se apne dil par vaar na karana.
Najre na hoti. najaare na hote. chand ke daaman me
Yu sitaare nahi hote. ham isliye karate hai aapki
Parvaah kyonki, dil ke kareeb saare nahi hote.
Kismat pe aitbaar kisko hai.
Mil jaaye khushi to inkaar kisko hai.
Kuch majburiya hai hamaare saamne bhi.
Varna aapki judaai se pyaar kisko hai.
Tujhse milne ki justaju bhi hai,
Dil me tu roobaroo bhi hai,
Hamne socha ki, dil ko jala daale,
Phir khyaal aaya ki dil me bhi tu hi hai.
Shama jalati hai parvaane chale aate hai,
Sar ke bal ishq ke deewane chale aate hai,
Ab to aa jaao meri jaan ki janaza uthane ko hai,
Log to gairo ko bhi dafnaane chale aate hai.
Zindagi bhar tera intazaar karna hai,
Ab aayega ye soch ke jeena hai,
Jaanate hai tu kabhi na aayega,
Lekin dil ki baat maankar chalna hai.
Soorat se aisa lagta na tha,
Ki khafa pal bhar me ho jaaoge,
Pal bhar ke kiye apna na samajha,
Zindagi bhar pyaar kya nibhaaoge.
Unaki mohabbat ka abhi nishaan baaki hai,
Naam hotho pe, jaan baaki hai,
Kya hua agar dekh ke nazar fer lete hai,
Tasalli hai ki abhi shakal ki pahchaan baaki hai.
Hamaari har khata pe naaraj na hona,
Apni pyaari-si muskuraahat ko kabhi na khona,
Sukoon milta hai dekhke aapki muskuraahat,
Hame maut aaye to bhi mat rona.
Aapki zindagi me kabhi koi gam na ho,
Aapki aakhen kabhi aansu se nam na ho,
Aapko mile zindagi me har khushi,
Bhale hi us khushi me ham ho na hoM.
Ab kya kahu tumse,
Agar kuch kahana hai to,
Sirf itna ki maine pyaar kiya,
Ab nahi raha jaata, kah do na pyaar hai.
Raat ko raat ka tohfaa nahi dete,
Dil ko jazbaat ka tohfaa nahi dete,
Ham aapko chand bhi de dete lekin,
Chand ko chand ka tohfaa nahi dete.
Javani ko zindagi ka nikhaar kahate hai,
Patjhad ko chaman ka majhandhar kahate hai.
Ajeeb chalan hai duniya ka yaaro,
Ek dhokha hai jise sab pyaar kahate hai.
Pyaar ki raaho ka hota hai kathin safar,
Dil ki duaa me hota hai bahut asar.
Yadi chalna hai to dil se chal,
Kyonki dimaag kar deta hai use beasar.
Paane se khone ka mazaa aur hai,
Band aakhon se dekhane ka mazaa aur hai,
Aansu bane lafz aur lafz bane gazal,
Teri yaado ke saath jeene ka mazaa kuch aur hai.
Aur abhi cheeje bahut-si lut chuki hai Dil ke saath,
Ye bataya dosto ne ishq farmaane ke baad,
Ab kamare ki ek-ek-cheej check karta hu mai,
Ek tere aane se pahle, ek tere jaane ke baad.
Aakhon ke saamne hardam aapko paaya hai,
Dil me bhi aapko hi basaya hai,
Aapke bin ham jiyenge kaise,
Bhala jaan bina bhi koi jee paaya hai.
Aankh to pyaar me dil kee jubaan hoti hai,
Sachi chahat to sada bejubaan hoti hai,
Pyaar me dard bhi mile to kya ghabrana,
Suna hai dard se chaahat javaan hoti hai.
Aapke baare me ham kya kahe,
Jo bhi kahe vo kam hoga,
Par aisa vaisa kuch kah diya,
To uska bhi hame gam hoga.
Pal bhar me tut jaaye vo kasam nahi,
Aapko bhool jaaye vo ham nahi,
Tum hame bhool jaao is baat me dam nahi,
Kyonki tum hame bhool jaao itane bure ham nahi.
Roothkar tum mujhe bhulaane lage,
Itane door huye ki bahut yaad aane lage,
Kaise bhulaau tumhe ek pal me,
Jab tumhe paane me mujhe jamaane lage.
Anjaane me dil ganva baithe, is pyaar me,
Kaise dhokha kha baithe. unase kya gila kare,
Bhool hamaari thi, jo bina dil vaalo se,
Dil laga baithe.
Bheegi palako ke sang muskuraate the ham,
Pal-pal dil ko bahlaate the ham.
Vo door the hamse to kya hua,
Unhe yaad rakhne ke liye hi to bhulate the ham.
Dete ho kyon ye dard bas ham hi ko?
Kya samajhoge tum in aakhon ki nami ko.?
Yu to honge laakho deewaane is chand ke,
Chand kyo mahsoos karega ek taare ki kami ko.
Dhundh lo koi tumhe mil hi jaayega,
Magar hamaari tarah pyaar tumhe kaun kar payega,
Mumkin hai chaahat ki nazar se koi dekh le tumhe,
Par aakhen hamaari kahaa se paayega.
Na kabhi ye Chupana ki pyaar kitna hai,
Na kabhi yi jataya ki dard kitna hai,
Bas ek hame aur us khuda ko maaloom hai,
Ki aapse mulakat ka intazaar kitna hai.
Aapke khyaalo se fursat nahi milati,
Hame ek pal ki raahat nahi milati,
Mil to jaati hai saans kuch,
Bas aapki ek jhalak nahi milati.
Sabko dost banaane ki aadat hai hame,
Apni alag pahchaan banaane ki aadat hai hame,
Kitna bhi gahara jakhm de koi,
Utna hi jyada muskarane ki aadat hai hame.
Dil cheer ke dekh lo mera, tasveer usi ki hogi,
Kabhi hile agar is dil ka darvaja,
To aahat uski hi hogi.
Dosti nazaro se ho to use kudarat kahate hai,
Sitaro se ho to use zannat kahate hai,
Husna se ho to use mohabbat kahate hai,
Aur dosti aapse ho to use kismat kahate hai.
Aasmaan ne baadal se kaha,
Sooraj ne kirano se kaha,
Havaao ne patto se kaha,
Aur maine tumse kaha. chal chal hava aane de.
Tere aane kaa khyaal acha hai,
Ummeed ka ye jaal acha hai,
Unse pucha kya hua aane ka,
Muskura ke vo bole savaal acha hai.
Teri dosti me ek nasha hai,
Tabhi to ye duniya ham se khafa hai,
Na karo hamse itani dosti,
Ki dil hi hamse puche teri dhadkan kaha hai.
Kalam uthai lafz nahi mila,
Jisko dhund rahe hai vo shakhs naho mila,
Firte hai vo jamaane ki talaash me,
Bas hamaare liye unhe vakt nahi milata.
Kal hamaare aangan me chaand utra,
Sitaro ko ganvara na tha,
Ham to sitaaro se bhi bagavat kar lete,
Par kya kare chand hi hamara na tha.
Ishq-mohabbat to hazaaro karate hai,
Gam-e-judaai se vo sabhi darate hai,
Ham na ishq karate hai, na mohabbat karate hai,
Bas aap jaise dosto pe marate hai.
Dharaye bahti hai to bhanvaar uthate hai,
Jahaa tumhe mushkil hoti hai vaha ham hote hai.
Geet ki jaroorat mahfil me hoti hai,
Pyaar ki jaroorat dil me hoti hai,
Bin dost ke adhoori hai ye zindagi,
Kyonki dost ki jaroorat har pal mahsoos hoti hai.
Mushkil dil ke iraade aajmaayengi,
Khwaabon ke parde nigaaho se hatayegi,
Girkar tu hausla mat khona dost,
Ye Thokare hi tujhe chalna sikhaayegi.
Dard me koi mausam pyara nahi hota,
Dil ho pyasa to paani se gujaara nahi hota,
Dekhe jara koi bebasi hamaari,
Ham uske ho jaate hai jo hamaara nahi hota.
Ummeedo ki shamaa me mat jalana,
Is jahaa se alag duniya mat basana,
Aaj mood me tha to yaad kar diya,
Par roz intazaar me palake mat bichana.
Jab kabhi aapko koi gam sataaye,
Koi baat dil ko na bhaaye,
Aakhen saagar Chalkaaye, yaad karke dekhna hame,
Kya pata ek aansu kam ho jaaye.
Duniya ka har shaukh pala nahi jata,
Kaanch ke khilono ko yu uchala nahi jata,
Mehnat karne se mushkil ho jaati hai aasaan,
Har kaam takdeer par tala nahi jata.
Dosti ka paigaam jo aapka mila,
Dil ho gaya khush mit gaye saare gila,
Kisi dost ko nahi mila hoga,
Dosti ka aisa sila, ki saare gam hoyenge door mere,
Jab dosto ke pyaar ka nazraana mila.
Yaad tumhaari na aaye aisa ham hone nahi denge,
Dost tumhaare jaisa ham khone nahi denge,
Ek-do SMS karate rahana,
Varna saari raat tumhe ham sone nahi denge.
Khuda ki banaai kudrat nahi dekhi,
Dilo me Chupi daulat nahi dekhi,
Jo kahate hai ki dooriyo se mit jaati hai dosti,
Usane shaayad hamaari dosti nahi dekhi.
Aapki ek muskurahat ne hamaare hosh udaa diye.
Aapki ek muskurahat ne hamaare hosh udaa diye.
Ham hosh me aane hi vaale the.
Ki aap phir se muskara diye.
Khud pe bharosa hai, to khuda tere saath hai,
Apno pe bharosa hai, to har dua saath hai.
Zindagee se kabhi mat ladnaa ai dost!
Jab tak ye dost tere saath hai.
Koi ho baat na dil se lagaana,
Agar apna samjho to hi batana,
Bhool ho hamse, to samajhana,
Samjho jo to dil se jatana,
Ki hai dosti to dil se nibhana.

 0 People liked it
0 Ratings


Diwali ke din kuch kami thi tum bin,
Na rang na roshni thi tum bin,
Na baarish na doop thi kahin bhi,
Fir bhi tapish thi tum bin,
Bahut roka hai aankho ko barasne se,
Fir bhi aankhon me nami thi tum bin..

 0 People liked it
0 Ratings


Kis naam se pukaru,kya naam hai tumhara ,
kyu tum ko dekhte hi dil kho gya humara,
dekho kitne ajib ye chahat ke silsiley hai mehsus ho rha hai pehle bhi hum mile hai,
tum khwab zindgi ki takir ban ke aae mere tasavron ki tasveer ban ke aae,
aa hi chuke ho jub tum jana nhi dubara kis naam se pukaru kya naam hai tumhara.

 0 People liked it
0 Ratings

Previous Page

Post Shayari

Next Page

Showing Hindi Shayari 281 - 290 of 3592, Page 29 of 360 pages.