Hindi Shayari

Hindi Shayari - A large collection of Hindi Shayari. We and our regular valuable users regularly add their shayari into Hindi Shayari category as well as in other various shayari categories. So We have a best and huge collection of Hindi Shayari and other shayari messages from various shayari categories in various language.

  
Post Hindi Shayari
Name:
Email:
Category:
Shayari :

Enter the code below shown above

List of Hindi Shayari

Showing Hindi Shayari 2891 - 2900 of 3592, Page 290 of 360 pages.


Kaanch chubhe toh zakhm reh jaata hai,
Dil toote toh armaan rah jaata hai,
Laga to dete hai waqt marham is dil par,
Phir bhi umar bhar ek nishan reh jata hai……….

 0 People liked it
0 Ratings


To be sung to the tune of Ai Malik Tere Bandhe Hum
Hey Mumbai tere bandhe hum,
Yeh kaise kyun hum-par situm,
Na railways chale, na BEST chale,
Paidal chalte huwe nikle dum.
Hey Mumbai——————
Waise office-se jaldi nikle hum,
Jamke station-thak badhaaye kadam,
Hum khade the magar, gaadi ki na khabar, Toota
ummeed-ka papaddum.
Aake baahar jab pheri nazar,
Dekha Bambai bana tha gutter,
Na auto chale aur na taxi rukhe,
Ab kaise karenge safar.
Hey Mumbai——————
Hua baarishse yun saamna,
Na kahin bijali, koi phone na,
MTNL kho gaya, Ambani bhi so gaya,
Andheremein hamein chod diya,
Cell-phone bhi kare gadbadam,
Yeh kaisa bada sankatam,
Bhejemein fikr aur kuch na clear,
Bheegke tan man hua bahut naram.
Hey Mumbai——————
Thoda rukhke maine saans li,
Yaad aane laga family,
Biwi tum ho kidhar, bachhee hain kya udhar,
Ya kahin phas jaayenge raat-bhar,
Ab kaise karenge aur sabr,
Kare koi na aisa suffer,
Mere dilmein fear, aankhonmein tear,
Tension chadne laga ekdum.
Hey Mumbai——————
Chal pada public-ka caravan,
Girnewalonko kiya saavdhaan,
Hum chalte rahe, saath bhadte rahe,
Door manzil, kadi imtihan.
Man-holes bhi khule the idhar-udhar,
Upar thunder, neeche bhi no cover,
Drainage-ke tale khaddepe gire,
BMC bhi bada be-sharam.
Hey Mumbai——————
Yeh meteorology jaaye bhaadmein,
Saara metro duba paanimein,
Koi Shanghai kahe, future Hong-Kong kahe,
Yaaron unko hum paagal kahe,
Yeh hota hai year after year,
Kab sudhrega apna shahar,
Na Government sune, na bhagwan sune,
Rothe thairthe aa pahuncha main ghar.
Hey Mumbai tere bandhe hum!
GOD SAVE MUMBAI
- Urmila Shah’s poetry
With Best Regards,

 0 People liked it
0 Ratings


Mai ne chand aur Sitaron ki tamanna ki thi
Mujh ko raton ki siyahi ke siwa kuch na mila
Mai wo nagma hon jise pyaar ki mahfil na mili
Wo musafir hon jise koi bhi manzil na mili
Zaqam paye hain baharon ki tamanna kit hi
Mai ne chand aur Sitaron ki tamanna ki thi
Kisi gaisu kisi anchal ka sahara hi nahi
Raste mai koi dhandla sa sitara hi nahi
Meri nazron ne nazaron ki tamanna ki thi
Mai ne chand aur Sitaron ki tamanna ki thi
Dil me nakam ummidon ke basere paye
Roushi lene ko nikla to andhere paye
Rang aur noor ke dharon ki tamanna ki thi
Mai ne chand aur Sitaron ki tamanna ki thi
Jo baat tujh me hai teri tasweer me nahi
Rangon me tera aks dhala na to dhal saki
Dilbar se pyaar ke shararon ki tamanna ki thi
Mai ne chand aur Sitaron ki tamanna ki thi
Duniya me koi cheez nahi hai teri tarah
Phir ek bar aaja samene mere kisi tarah
Apne sanam se mine bahanon ki tamanna ki thi
Mai ne chand aur Sitaron ki tamanna ki thi.

 0 People liked it
0 Ratings


Dil udhaas hai bahut koyi paigaam hi likh do
Tum apna naam na likho, gum-naam hi likh do
Meri qismat mein gham-e-tanhayi hai lekin
Tamaam umr na likho magar ek shaam hi likh do.
———————

 0 People liked it
0 Ratings


Paane se Khone ka maza kuch aur hai,
Band aankho se rone ka maza kuchh aur hai.
Ansu bane lafz aur lafz bani gazal,
Us gazal me apke hone ka maza kuchh aur Hai..

 0 People liked it
0 Ratings


Khwabon mai tum, jab bhi aate ho
Hanste-hanste fir kyon chale jate ho
Mai puchhta hoon tumse, kya kami hai mujhme
Dilbar jo iss tarah mujhe satate ho
Sanam, dil ka kya dhundhta hai dar-badar
Tum to ujalon mai kahi najar na aate ho
Milne ki koshish to karo khulush-e-yar
Hansa kar fir iss tarah kyon mujhe rulate ho
Roj-b-roj naye-naye rup khwabon mai
Dekar tadap aur kashish badha jate ho
Kyon wo iss tarah tumko karte hain ‘Avinash’
Wo khud jagte hain aur tumhe jagate hain.

 0 People liked it
0 Ratings


Good Morning Sunday.
Dil Se Likhi Baate Dil ko Chhu jati hai,
Yeh aksar unkahi baat keh jati he,
kuch log dosti ke mayne badal dete hai,
Or kuch logo ki dosti se duniya badal jati hai..
Gulshan me khuda ne hazaro phool khilaye hai,
Tab jaake hawa ke zonke mahek paaye hai,
Tute hai na Jaane kitne khoobsoorat sitare,
Tab jaake aap Zameen par AAye hai.
Hasin palko ko phir se aabaad kar rahe the,
Chaand se aapki baate kar rahe the,
Dil ko bada sukun mila ye jaankar ki,
Aap bhi hame hi yaad kar rahe the..
Dharmesh Parmar
Surat

 0 People liked it
0 Ratings


Jindagi phir tanhaa ho gai hai/
Benaam si koi daastan ho gai hai//
Tera dard,teri tadap, khalish teri,
Dil ki dhadkano mein ravaa ho g ai hai//
Jee bhar ke na dekhne paye the tumhein,
Bas pal bhar mein tu dhuan ho gai hai//
(Noor)

 0 People liked it
0 Ratings

Previous Page

Post Shayari

Next Page

Showing Hindi Shayari 2891 - 2900 of 3592, Page 290 of 360 pages.