Hindi Shayari

Hindi Shayari - A large collection of Hindi Shayari. We and our regular valuable users regularly add their shayari into Hindi Shayari category as well as in other various shayari categories. So We have a best and huge collection of Hindi Shayari and other shayari messages from various shayari categories in various language.

  
Post Hindi Shayari
Name:
Email:
Category:
Shayari :

Enter the code below shown above

List of Hindi Shayari

Showing Hindi Shayari 2901 - 2910 of 3592, Page 291 of 360 pages.


chhod ke jana hi tha to
daaman thama hi kyun tha
hath chhudana hi tha to fir
hath thama hi kyun tha
hum to kehte rahe na uthao
kadam in pagdandiyon pe
bich safar me sath chhodna tha
to kadam badhaya hi kyun tha.
khabar thi tumhe k ye raahein
kitni kathin hain
inme sirf kaantein hin hain
na kahin koi phul hai
par chalna chaha tha tumne
mere sath sanam
ab jab saamne manzil hai
piche mudke dekha hi kyun tha
piche to rote bilakhte log hi milenge
har tarf sirf dard bhare chehre dikhenge
jaante the tum ye sab
oo mere humsafar ye hoga
ab unki iss haalat pe tum
dil me pachchtate kyun ho
jaan ab mere sath se ab
tum ghabrate kyun ho????

 0 People liked it
0 Ratings


Main nahi khud ke liye,hoon main zamane ke liye
Khud ko zakhm de dekar auron ko hassane ke liye
Humne kya kya na kiya tere chale jaane ke baad
Tujhe hi yaad kiya tujhko bhulaane ke liye...

 0 People liked it
0 Ratings

Kya khub kaha tha galib ne ishq ek aag ka dariya hai;
Jaana hai rahi ko us paar jahan basi uski duniya hai;
Sochta hai rahi doob ke jau ya tair ke jau us par;
Ab lautne ka na waqt hai aur na hi bacha koi jariya hai.

 0 People liked it
0 Ratings


Mujh se mera kya rishta hai har ek rishta bhool gaya
itne aaine dekhe hain k apna chehra bhool gaya
Ab to yeh bhi yaad nahee hai farq tha kitna dono main
Us ki baatein yaad raheen aur us ka lehja bhool gaya
Pyasi dharti k hothon per mera naam nahee to kya`
Main woh baadal ka tukda hoon jis ko dariya bhool gaya
duniya wale kuch bhi kahein per apni to majboori hai doston
Uski gali jab yaad aayi hai ghar ka rasta bhool gaya.
——————–

 0 People liked it
0 Ratings

Nahi hai yaha mera koi ,zindagi hai khoyi khoyi,
Jo bhi aaya loot gaya,shisha ye dil toot gaya,
Apnoan aur beganoan mein humne na paya farak koi.
Nahi hai yaha mera koi zindagi hai khoyi khoyi

 0 People liked it
0 Ratings


Mujhe Zindagi Bhar Rulate Gaye Mere Dil Ko Jalaate Gaye,
Hum Kitne Unki Baato Me Aate Gaye.
Bulate The Tanhai Me Apne Matlab Ke Liye Hume,
Hum Kitne Naadan The Ki Unke Pass Jaate Gaye.
Roz Milne Ki Kasam Humko Dete The,
Hum Unki Har Zid Ko Seene Se Lagate Gaye.
Unki Aankho Ko Dekhe Tamanna Hamari Bhi Hoti Thi,
Hardam Bas Is Majboori Ka Fayda Wo Uthate Gaye.
Ab Kaise Kare Is Zamane Par Yakeen Hum doston,
Jo Apne Bahut Khaas The Wo Hi Rulate Gaye.
Ek Wo Bhi Daur Tha Ke Hamari Zara Si Aah Par Gamgeen Ho Jati Thi Wo,
Pata Nahi Ab Kyu Apni Har Wo Bhulate Gaye.
Barso Se Apna Maan Liya Tha Unko Humne,
Fir Beech Majdhar Me Humko Wo Bahate Gaye..

 0 People liked it
0 Ratings


Aap to badi hasrato ke baad hame yaad karate hai,
Aap ke bina mar jaayenge,
Ham tumhe itana pyaar karate hai..

 0 People liked it
0 Ratings


Tere labo ko chu loon wo sham aa jaye,
Tere pyar mein behne ka paigam aa jaye,
Ye zindagi to hai teri amanat,
Bus mere naam ke sath tera naam aa jaye..

 0 People liked it
0 Ratings

Previous Page

Post Shayari

Next Page

Showing Hindi Shayari 2901 - 2910 of 3592, Page 291 of 360 pages.