Hindi Shayari

Hindi Shayari - A large collection of Hindi Shayari. We and our regular valuable users regularly add their shayari into Hindi Shayari category as well as in other various shayari categories. So We have a best and huge collection of Hindi Shayari and other shayari messages from various shayari categories in various language.

  
Post Hindi Shayari
Name:
Email:
Category:
Shayari :

Enter the code below shown above

List of Hindi Shayari

Showing Hindi Shayari 2911 - 2920 of 3592, Page 292 of 360 pages.


Jaam peene waale haathon se peeya karte hain,
ishq me jalne waale dil se jala karte hain.
Ishq karte nahi, barkhuddar ye ho jaati hain,
Kyunki muhabbat karne waale chitthion se nahi aankhon se izhaar karte hain..

 0 People liked it
0 Ratings


Ek yahi baat ka gila rahaa hume
Har lifafaa dekha par unhe na paaya humne
Ve intezaar ki imtihaan lene lage
Kyun yoon hain aazmaane lage hume..
Haan bas yahi baat ka shikva hain hume
Ek kora kaagaz bhi kyun na likh paaye ve hume
Nahin maang rahe unse hum kuch bhi
Phir kyun ve naaraazgi de gaye hume
Avani

 0 People liked it
0 Ratings


Ankhon se dur ho par dil se nahi,
Dil me zarur ho par milte nahi,
bus yehi gila hai tumse dost,
tum milte zarur ho par dil se nahi..
Chaho to dil se humko mita dena,
chaho to humko bhula dena,
par yeh wada karo ki aaye jo kabhi yaad humari,
Rona mat sirf muskura dena.
Sukhe patte se pyar kar lenge,
hum tuj par aitbaar kar lenge,
tum yeh to kaho hum tumhare hai,
hum zindagi bhar intezaar kar lenge
Aap ka ashiana dil me basa rakha hai,
Aap ki yado ko seene se laga rakha hai,
pata nahi yaad aate hai Aap hi kyo?
vaise dost to humne auro ko bhi bana rakha hai.

 0 People liked it
0 Ratings


Khwahish.
Chashm Hairat Pe koi Darr Nahi Khulne Deta
Aankh Khul Jaye Toh Manzar Nahi Khulne Deta
Ek kwahish Mujhe Pasti Se Uthati Hai Magar
Ek Dar Hai Jo Mere Par Nahi Khulne Deta
Hath ki Saari Lakeerein Hain Jazeeroun Se Bhari
Aur Jazeeroun Ko Samander Nahi Khulne Deta
Taa Naa Khul Jaye Koi Nuqs Pass-E-Naqshgiri
Aaiyena Aks Ke Ander Nahi Khulne Deta
Koun Jaane Kise Maloom Haqeeqat Kya Hai
Bhed Apna Woh Kisi Par Nahi Khulne Deta
Ghair Leta Hai Muheet-E-Gham Laahasil Me
Phir Koi Raasta Bahar Nahi Khulne Deta
Phair Deta Hai Kabhi Mouj-Balaa Qaiz ka Ruqq
Aur Kabhi Aag Ka Johar Nahi Khulne Deta
Dekh Par Qaak Nasheenoun Ke Khudaiye Dawe
Tu Agar Daftar-E-Mehshar Nahi Khulne Deta
Shayar: Unknown Presented by
Mrs Rubina Yasmeen

 0 People liked it
0 Ratings


Bat aisi ho ke jazbat kam na ho,
Khayalat aise ho ke kabhi gam na ho,
Dil ke kone mai itni jagah rakhna,
Ke khali khali se lage jab hum na ho..

 0 People liked it
0 Ratings


Zindagi ne mujhe bahut kuch sikhaya Thanhayi mein jeena sikhaya,
Pyar ko chupana sikhaya, Doston se haske milna sikhaya,
Aur man hi man rona sikhaya,
Ab  kya kahunZindagi ne bahut kuch sikhaya Magar jeena nahin sikhaya

 0 People liked it
0 Ratings


Chaho to dil se hamko mitta dena
Chaho to humko bhula dena
Par Yeh wada karo ki aaye jo kabhi yaad hamari
To rona nahi Bus muskura dena...

 0 People liked it
0 Ratings


Ab ke bichade to shayad khwabon me mile.
Jis tarah sukhe hue phool kitabon me mile..
Na tu khuda hai ,Na mera ishq farishton jaisa..
Dono insaan hai,Phir kyon itne hijabo me mile

 0 People liked it
0 Ratings

Previous Page

Post Shayari

Next Page

Showing Hindi Shayari 2911 - 2920 of 3592, Page 292 of 360 pages.