Hindi Shayari

Hindi Shayari - A large collection of Hindi Shayari. We and our regular valuable users regularly add their shayari into Hindi Shayari category as well as in other various shayari categories. So We have a best and huge collection of Hindi Shayari and other shayari messages from various shayari categories in various language.

  
Post Hindi Shayari
Name:
Email:
Category:
Shayari :

Enter the code below shown above

List of Hindi Shayari

Showing Hindi Shayari 3001 - 3010 of 3592, Page 301 of 360 pages.


Socho koi pagli thi
Albeli, anjaani deewaanisi…
Ek pagli thi aur uski ek kahaani thi
Paglapan hi jisse kho diya usne
Ek aisi roti hui si kahaani thi
Barish ki us raat ki kahaani thi
Jahan barish na sirf aasmaani thi
Ek pagli aur uske toote dil ki
Ek roti hui si kahaani thi
Ek zindagi si kahaani thi
Bahut kuch paakar kho diya
Ek jaani hui phir bhi anjaani kahaani thi
Haan yeh pagli ki uske khoye hue paglepan ki
Ek roti hui si kahaani thi
Apne aaj ko badalti hui
Phir bhi ateet ki kahaani thi
Kuch reh gayaa hain adhoora shaayad
Ek chubhti hui kahaani thi
Kuch dhoond rahi yeh pagli aaj bhi
Shaayad… kuch khoti hui kahaani thi
Kuch dard aaj bhi hain mehsoos karti
Poorani lekin phir bhi aajsi kahaani thi
Socho ek pagli thi
Aur uski ek yehi kahaani thi
Na socha na jaana
Bas ek ehsaas ko le
Kise sab kuch de diya
Haan ek aise paglepan ki
Ek deewani si kahaani thi
Dil ki dil ke jazbaaton ki
Dil ke ehsaason ki kahaani thi
Kisi ko dil na dena apna
Yeh kehti hui
Dil dekar paaya toota hua
Ek tootese se dil ki kahaani thi
Muskan ki Muskaraahat ki
Inki khoti hui kahaani thi
Dil mein jo yekin tha sabpar
Unki khoti hui kahaani thi
Kuch pyar tha kuch dosti thi
Jaane anjaane
Apne begaano ke liye
Inke kho jaane ki kahaani thi
Khud par jo bharosa tha
Uske kho jaane ki kahaani thi
Socho ek pagli thi
Haan uski yehi kahaani thi
Paakar hain ab itna kuch gavaayaa
Kuch pane se darrti hui
Khud ko khoti hui kahaani thi
Socho ek pagli thi
Uski na pagli si ek kahaani thi…..

 0 People liked it
0 Ratings


DostooN ek bar fir se main oMi, hazir hun, aap ke liye
kuch pyar bhare kuch ehsaas lekar..
umeed karta huN ki, mere yeh ehsaas aapko pasand aayeNge..
sukriyaa..
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Ek Jaam Mohbbat kaa Aankho se pilaa dena
Mujhe Aaj nahi’n shaQi tu kal bhulaa dena
Jab Zikr mohabbat ka mehfil meiN aa jaye
Nazare jhuka ker tum aapna ikrar jataa dena
Tere ishq se mehmaa haiN, yeh meri duniya
Thukara ker mujhe tum kafiir na banaa dena
Jab dard judai ka tumhe bhi lage satanee
Meri tarah tum bhi AshQ naa baha dena
Pass jab tu aati haiN,kheel sa jata mausam
Bin uske jiiyu ek pal bhi,rab aisa na banaa dena
IshQ ke rahooN maiN gar wafa na nibha saka
Tu mout se badh kar mujhe koi aur sazaa dena
Teri ek pal ki bhi judai naa ab seh payege oMi
Meri khawabo se jakar mujhe shayar na banaa dena
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~
Meri Apni Qalam se — OMi ” Tanha ”
~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~~

 0 People liked it
0 Ratings


Hamko kyon tumne bhula diya
Dekhe hansi hontho pe
Phir kyon itna rula diya
Jin hatho ka tha sahara
Unhone hee duba diya
Hamko chhod majdhaar
Khud sahil pe gaya
Mere gum kee ye daasta
Sunta hai zameen ashmma
Ek na sune wahi
Jiske liye jita hoon yahana
Hamko mila ye kya sila
bhulyaa jinke liye sabko
Unhone hee hamko kyon bhula diya
Dard hai dil main
Ankho main anshoo mere
Din ke ujale main
ab bhee sapne dekhoon tere
Na hai ab koi manjil
Mile na kohi raste
Lagta hai jese ye jindgi
Mili hame Gum ke waste
Bhula esa kyon diya
Jee na paaye chahkar bhee
Hum to tumko bhula na paayenge
shayad ab to markar bhee

 0 People liked it
0 Ratings


Abhi To Ishq Main Aisa Bhi Haal Hona Hai
K Ashq Rokna Tum Se Mohaal Hona Hai
Har Aik Lab Pe Hai Meri Wafa K Afsanay
Tere Sitaam Ko Abhi Mahsoor Hona Hai
Tumhain Khabar Hi Nahin Tum To Loot Jaoo Gey
Tumharay Yaad Main Ek Lamha Bhi Saal Hona Hai
Tujhe Jab Bhi Koi Gum Sataye Mere Sanam
Mujko Tere Pyaar Ki Dhaal Hona Hai
Kabhi To Roye Ga Woh Bhi Kisi Ki Bhahoon Main
Yaad Aaon Tab Bhi, Esha Mujhe Lajawab Hona Hai
Milayge Hum Ko Bhi Apne Naseeb Ki Khushiyaan
Bas Intizaar Hai Kab Yeh Kamaal Hona Hai
Har Shaks Chalayga Meri Rahon Per
Mohabatoon Main Humahin Woh Misaal Hona Hai
Yaqeen Hai Mujh Ko Woh Lout Aye Ga
Usay Bhi Apne Kiye Ka Malal Hona Hai…….

 0 People liked it
0 Ratings


Ik taaza hikayat hai
Sun lo to inaayat hai
Ik shakhs ko dekha tha
Taaron ki tarah ham ne
Ik shakhs ko chaha tha
Apnon ki tarah ham ne
Ik shakhs ko samjha tha
Phoolon ki tarah ham ne
Woh shakhs qayamat tha
Kiya us ki karain baatain
Din us ke liye paida
Aur us ki hi thi raatain
Kam milna kisi se tha
Ham se theen mulaqaatain
Rang us ka shahabi tha
Zulfon main theen mehkaarain
Aankhain theen ke jadoo tha
Palkain theen ke talwaarain
Dushman bhi agar dekhain
Sou jaan se dil haarain
Kuch tum se woh milta tha
Baaton main shabahat main
Haan tum sa hi lagta tha
Shokhi main shararat main
Lagta bhi tumhi sa tha
Dastoor-e-mohabbat main
Woh shakhs hamain ik din
Apnon ki tarah bhoola
Taaron ki tarah dooba
Phoolon ki tarah toota
Phir haath na aaya woh
Ham ne to buhat dhoonda
Tum kis liye chonkey ho
Kab zikr tumahra tha
Kab tum se taqaza hai
Kab tum se shikayat hai
Ik taaza hikaya hai
Sun lo to inayat hai

 0 People liked it
0 Ratings


Apne haatho se chehre ko chupate kyun ho,
Sharmate ho to samne aate kyun ho,
Tum meri tarah bhi kar do ikraar-e-wafa,
Pyar karte ho to fir chupate kyun ho..

 0 People liked it
0 Ratings


Jisne chot na khai ho, wo chehra kya pahchanega,
Dil ka hal to yaaro koi dil wala hi janega.

 0 People liked it
0 Ratings

Tarasta hai dil teri awaaz ke liye ,
Tarasta hai dil teri muhabbat bhare do alfaaz ke liye,
Kar do hame fanah aapni is ada ke liye,
Tadapte hain hum teri ik mulakat ke liye.

 0 People liked it
0 Ratings

Previous Page

Post Shayari

Next Page

Showing Hindi Shayari 3001 - 3010 of 3592, Page 301 of 360 pages.