Hindi Shayari

Hindi Shayari - A large collection of Hindi Shayari. We and our regular valuable users regularly add their shayari into Hindi Shayari category as well as in other various shayari categories. So We have a best and huge collection of Hindi Shayari and other shayari messages from various shayari categories in various language.

  
Post Hindi Shayari
Name:
Email:
Category:
Shayari :

Enter the code below shown above

List of Hindi Shayari

Showing Hindi Shayari 3011 - 3020 of 3592, Page 302 of 360 pages.


Santa to Banta- acha hua tu mil gya, main apna purse ghar par he bhul aaya, mujhe 1000 Rs chahiye.
Banta- dost hi dost k kam ata he, le 10 Rs, riksha kar k le aa.

 0 People liked it
0 Ratings


Kuch door hamare saath chalo,Hum dil ki kahani kah denge,,
JO baat chupaye hai sabse vo baat jubaani kah denge,
Hum jikr karenge gairon ka or apni kahani kah denge.

 0 People liked it
0 Ratings


Wo Nahi Mera Magar Us Se Mohabbat Hai To Hai,
Yeh Agar Rasm-oRivajon Se Baghawat Hai To Hai;
Sach Ko Maine Sach Kaha Jab Keh Diya To Keh Diya,
Ab Zamane Ki Nazar Mein Ye Himakhat Hai To Hai;
Dost Ban Kar Dushmanaon Sa Vo Satata Hai Mujhe,
Phir Bhi Us Pathar Dil Pe Marna Apni Fitrat Hai To Hai;
Kab Kaha Mainey Ki Wo Mil Jaye Mujhko,
Uski Banhon Mein Dum Nikle Itni Hastrat Hai To Hai;
Jal Gaya Parvana To Usme Shama Ki Kya Khata,
Yun Raat Bhar Jalna-Jalaana Uski Kismat Hai To Hai;
Wo Sath Hai To Zinda Hun,
Meri Sansaon Ko Uski Zaroorat Hai To Hai
Dur They, Dur Renhenge Har Dum Ye Zamein Asmaan,
Duriyaon Ke Baad Bhi Dil Mein Khurbat Hai To Hai;
Mainey Kab Kaha Tu Mil Hi Jae Mujhe,
Par Gair Na Ho Jaye Itni Si Hasrat Hai To Hai;

 0 People liked it
0 Ratings


Tu Ne Jo Chonk Kar Her Simth Nigah Ki Hogi
Mere Hi Dard-e-Mohabbat Ne Sada Di Hogi
Ye Jo Moti Baraste Hey, Teri Yaad Mein Aksser
Badloon Ne Meri Aankhon Ko Dua Di Hogi
Jhilmillati Hooye Ek Baat Jo Sochi Mene
MeMoN Ne Jaake Ussay Zaroor Bata Di Hogi
Ziker Aaya Jo Kabhi Mera Uss Ki Mehfil Mein
Khefiyet Mittane Ko Uss Ne Baat Ghhuma Di Hogi
Wo Rah Se Guzrey Bhi Plutt Ker Bhi Na Dekhe
Aakhiri Ummed Mareez-e-Ishq ki Bujha Di Hogi
Dill Saada Tu Barra Khush Fehum Hey Lekin MeMoN
Uss Ne Soorat Bhi Teri Kab Ki Bhulla Di Hogi
Naam Koi Bhi Na Le Meri ZINDAGI ka Yahaan
Shehar Mein Uss ne, Yeh MaNaDi karwa Di Hogi.
-Chayan Jain

 0 People liked it
0 Ratings


So gai hai dua hatheli par,
ik nazar ae khuda hatheli par,
woh bhi taqdeer se gurezan hai,
main bhi takta raha hatheli par,
de gaya umr bhar ke andhiyare,
aik bujhta diya hatheli par,
keh gaya kitni an kahi batain,
phool rakha hua hatheli par,
kho gaya mukhtalif lakeeron main,
jab bhi ansoo gira hatheli par,
zindai ke zaeef lamhon ko,
yun na sathi saja hatheli par,
daikh le khud bhi apni ankhon se,
apne rab ki ata hatheli par.

 0 People liked it
0 Ratings


Har Seene Main Dil Hota Hain,
Har Dil Main Ek Raaz Ki Baat Hoti Hain,
Har Koi Nahi Bana Sakta TAJ MAHAL,
Par Har Dil Main Ek “MUMTAZ” Hoti Hain..

 0 People liked it
0 Ratings


Mere pyare dostoan,
abhi kuch mahine pehle he maine yeh group join kiya hai, bahut accha lagta hai
aap sab ke sher padh kar..
Aaj mein tumhe apne college ke dinoan ka ek waqaya batata hoan, mein aur mere
dostoan nai mil kar ek mushayare ka programme banaya. Jab hum logoan nai hum
mein se ek dost ke ghar per apna programme shuru kiya toa, oos ke pitaji nai
hume apne ghar se ootha kar bahar phenk diya, tab hum door ek jungle mein soch
rahe they ki ab kya karein, tab suno ek nai mujh se kya kaha
” quadar nahi shayaroan ki mere ghar mein,
chalo karein mushayara tere ghar mein”
Yeh soun kar maine bhi eis ka jawaab shayarana andaaz mein kuch eis tarha
diya
” Pitayi hoa gayi humari tere baap se,
ab kya kasar reh gayi pitne ki mere baap se” (aaiye, ama yeh bhi koi baat
huyi)

 0 People liked it
0 Ratings


1.Mat karo koi wada jise tum nibha na sako,
mat chaho use jise tum pa na sako,
pyar kahan kisi ka poora hota hai,
iska to pehla shabd hi adhoora hota hai.
2.Mana ki pyaar ka pehla akshar adhura hai,
lekin ‘p’ ko nikal do to yaar rah jata hai
aur aap jaisa yaar ho
to zindagi se bhi pyar ho jata hai.

 0 People liked it
0 Ratings

Previous Page

Post Shayari

Next Page

Showing Hindi Shayari 3011 - 3020 of 3592, Page 302 of 360 pages.