Hindi Shayari

Hindi Shayari - A large collection of Hindi Shayari. We and our regular valuable users regularly add their shayari into Hindi Shayari category as well as in other various shayari categories. So We have a best and huge collection of Hindi Shayari and other shayari messages from various shayari categories in various language.

  
Post Hindi Shayari
Name:
Email:
Category:
Shayari :

Enter the code below shown above

List of Hindi Shayari

Showing Hindi Shayari 3031 - 3040 of 3592, Page 304 of 360 pages.


khud ke Ishq ko fanna kuan karega,
sabhi nek banenge toh gunhaa kuan karega,
ae khuda bachaye rakhna uss bewafa sanam ko,
warna hamari maut ki dua kuan karega.
————————

 0 People liked it
0 Ratings


AAKHIR MIL HI GAYI MUJHE MERI MANZIL
Manzil mila hai tho badal gayi hai zindagi..!
ruth badal gaya hai kahii,
tho jaha ne le hai karvat kahi,
andaaz jine ka badla hai kahi,
tho mila awsar rakhne ka kush kahi.
Har gujarna tha mera purana,
per gunz nai(new) hoon sunta,
ab mila hai mujhe manzil mera,
tho har koi mujhe apna lagta.
Manzil mila tho sab kush huwe,
kayi chahane lage, tho kayi paichanne lagee
inn kushiyon ko paane k liye,
bahut kuch khoya tha maine,
ab mil gayi hai jo manzil mujhe,
tho paa liya hai sab kuch, jo khoya tha maine.
Ummid tho tha ki kuch aisa he banunga,
ab ban gaya hoon tho bharosa nahi aa raha,
kal tak tha kahi ki,koi nahi paichanta mujhe,
ab hoon kaha ki , kaun nahi paichanta mujhe.
Manzil mil gayi hai mujhe,
tho maano aisa laga hai,
saari duniya ka kushi,
khuda ne mujh per he barsa diya hai.
Ab tho har raat bhi ujjala,
lagne laga hai,
manzil mil gayi hai jo mujhe,
tho maano meri tadir badal gayi hai.
Ab tho jannat bhi mere,
kadmo ko chune lagi hai,
chum k saari duniya ko bayaan kar rahi hai,
mil gyi hai manzil mujhe,
jhoom k saari duniya ko ye bata rahi hai.

 0 People liked it
0 Ratings


“ek wada bhi agar tujhe yad na rha to hum jyada ki chah kyon karte,
kiya hota agar pyar tune to hum kimat ki parwah kyon karte,
teri aankhon se jo lahu baha wo kisi aur ke liye hoga
agar hota humare liye to hum marne ka gunah kyon krte..”
Sapna Bishnoi
Kasam khuda ki humari mohabbat yu bewafa na thi
Ye to aap ki mehfil thi jisme ashiq-e-wafa na thi.
Gumrahi dilo tak itni ki lahu bhi samajh na aaya
Par dekhiye aap ki mohabbat mujhse khafa na thi..

 0 People liked it
0 Ratings


Tere pyar ki hume jarurat bahut thi,
par tujhe pane ki kimat bahut thi,
aakhiri sans tak tera intazar kiya tha humne
par tujhe wada karke bhul jane ki aadat bahut thi…
Jinhe zaurat hoti hai humare pyaar ki
Unhe parwah nahi hoti kisi bhi kimat ki
Aur phir mera pyaar to har ek dil me hai
Use yu shama na banaiye kisi zeenat ki
Aur wado ko jo bhulate wo hi wada karte hai
Wada jo nibhate hai wo koi wada nahi karte hai
Mar jate hai mit jate hai ehsas nahi karate hai
Ankho me lahu baha ke ikrar aeyse karte hai..

 0 People liked it
0 Ratings


Husn tere nakhare hazar,
Per Zindagi ke din hai char,
Do guzare tujhe pane main,
Do guzare manane main!
Kya jiya puchata hun khuda se,
Khuda main kho gaya kahan,
Khuda bata meri zindagi hai kahan,
Toh Awaz ayi dil se,
Mahobaat hi zindagi hai bande mere!
Benam
======================================
Banda Majbure hai mahobaat main teri,
Warna jhukana nahi hai fidarat main meri!

 0 People liked it
0 Ratings


Kash Ye Dil Shishe ka bana hota,
Chot Lagti to Beshak ye Fanah hota. .
Par Sunte Jab Wo Aawaz iske Tutne ki,
Tab Unhe b Apne Gunah ka Ehsaas hota.
Wo mere liye kuch khaas hai yaaro’
Jinke laut aane ki na koi aas hai Yaaro’
Wo najro se door hai to kya huwa..
Banke dil ki dhadkn mere paas to hai yaaro’
Nigaho me or koi dosti ke kabil na raha,
Is kinare ka or koi sahil na raha.
Chand jaisa dost mila hume zamin par,
Aasma ka chand bhi ab deedar k kabil nahi raha.

 0 People liked it
0 Ratings


musaafir ke raste badalate rahe
muqaddar mein chalanaa thaa chalate rahe
koii phuul saa haath kaandhe pe thaa
mere paanv sholon pe chalate rahe
mere raaste mein ujaalaa rahaa
diye us kii aankhon ke jalate rahe
vo kyaa thaa jise ham ne Thukaraa diyaa
magar umr bhar haath malate rahe
muhabbat adaavat vafaa berukhii
kiraaye ke ghar the badalate rahe
sunaa hai unhen bhii havaa lag gaii
havaaon ke jo rukh badalate rahe
lipat ke charaagon se vo so gaye
jo phuulon pe karavat badalate rahe

 0 People liked it
0 Ratings


Na soch ki kadam kahan le jaayenge
honsla rakh
voh tumhe zaroor apnayenge
Dil se chate hai to woh to apne ho hi jaate hai
Par inkaar se shaayad yeh kadam ghabraate hai.
Pyaar karte hai unse yeh to sirf dil apna kehta hai,
Unke dil ka dhadakna to ek sapna lagta hai,
Gum nahi hota jo karte inkaar woh hamari mohobat ko
Sagar jaisa pyaar hai unko! -Phir bhi inkaar hai hamaari izzazat ko,
Chaav ho to Dhoop ko bhi hum sehjayenge,
Sapno se nikal kar jo paas voh hamare aayenge
Shayad isilye log hamein kehte hai ki,
honsla rakh
voh tumhe zaroor apnayenge

 0 People liked it
0 Ratings

Previous Page

Post Shayari

Next Page

Showing Hindi Shayari 3031 - 3040 of 3592, Page 304 of 360 pages.